Jump to content
EN
Play

Forum

[Vishesh] Beete Saal ki Ek Jhalak


Recommended Posts

wM8ECmK.png
xUC4gDp.png

Namaste Doston! Jaisa ki aap sabhi jaante hain, agle hafte se naya saal shuru hone waala hai... Ye sardiyon ka mausam, uske aane ka ek sanket sa hai. :) Ab hum shuruwaat karne waale hain, iss naye saal ki, lekin chaliye usse pehle ek bar peeche mudkar, beete saal ki ek jhalak dekh lete hain! ;)



2016 ki shuruwaat...


Pichle saal ki shuruwaat humne kee thi, bade maze aur aanand ke saath, ek naye mode 'ASL' yaani Assault Mode ke saath. Ye ek bilkul naya mode tha, jo bas kuch dino ke liye hi khel mein laya gaya tha, sirf aur sirf naye saal ke samaaroh ke liye. Isme dono teams ke kaarya alag alag the - red team ko apne base mein sthapit 'flag' lena tha, aur usse lekar doosri or, blue base mein sthit ek 'point' jo ki beecho beech tha, wahan le kar jaana tha, aur red team ko ye kaam jald se jald karna tha, kyunki jitni der wo lagate the, blue team ke jeetne ki gunjaaish utni hi badhti rehti thi.




long_EN2.jpg

Uss map ka nazariya to itna sundar tha ki agar aapne usey dekha hota, to aapka usey kabhi chhodkar na jaane ka man karta. Uske beechon beech ek bada sa rang biranga Christmas tree tha, jispar kayi saare rangon ki battiyan jal rahi thi. Uss map ke baahar ka nazara, bilkul barfeeli aur thandi pahadiyon jaisa tha, jo aapko naye saal ka ehsaas dilata tha.

February ki kuch yaadein...

Iss mahine hum sabne kaafi, kaafi maza kiya tha. Agar aapko sahin sahin yaad ho, to iss mahine humne teen teen baar alag alag vishayon ke liye khushiyan manayi thee. Wo the - sabhi premi-premikaon ka pyara, 'Valentines Day' aur lohe jaise balwaan logon ke liye :P 'Iron Days' ki sale.

Aur ant mein wo samaroh, jiska kaaran tha, ek romaanchak film jiska naam tha 'Deadpool'. Iss khaas film ke liye, Tanki Online mein ek naya paint laya gaya tha, jiska naam tha 'Red Suit', aur iss samaroh ka naam tha 'Red Pool'. Iss event mein aaye khaas Red Suit paint ko Tanki Online ke itihaas mein bas ek baar hi khareeda jaa sakta tha, aur uske liye aapko 'Colonel' ka hona tha. Uss paint se aapko Isida ke khilaaf 30% aur Vulcan ke khilaaf 40% suraksha pradaan ki jaati thi, aur inn dono ko hi aap 50% tak micro-upgrade kar sakte the.



Red_Suit.png

Mahine ke ant mein, ek parade contest bhi rakhi gayi thi jo ki Iron Days ki samaroh ka hi ek hissa tha. Wijetaon ko 30 000 crystals ka inaam bhi diya gaya tha.

March ki kuch yaadein...

Iss mahine ki shuruwaat humne kee thi, 'Daily Mission Chains' ke saath, iske mutaabik agar aap apne 3 missions mein se kam se kam 1 mission har din karte rahenge, bina kisi rukawat ke, to 7 dino ke ant mein aapko kuch inaam diya jayega, jo hain kuch crystals aur kuch supplies.Aagar aap 4 hafton ke liye aisa har roz karte rahein to aapka inaam badhta jayega, aur jab wo chauthe 'chain' par pahonch jayega, to aapko sabse adhik mumkin inaam milne lagega.

Inn sabke baad aya ek chota sa update, jiske badaulat agar kisi battle mein ek hi IP address waale do log khel rahe ho, to Battle_Mods ke liye wo battle ek khaas rang se jalne lagega, jo ki unke dhyaan ko uski taraf kendrit karega. Iske saath hi saath aya 'Private Message ayvam Public Message' ka system jiske badaulat, ab aap chun sakte the, ki kya aapko apne bheje huye messages sabko dikhane hain, yaa fir bas usey, jisey aap wo message bhej rahe hain. Semi-colon ';' ke vyavahaar se aap ek public message bhej sakte hain, aur ':' Colon ke vyavahar se aap private message bhej sakte hain.

6th March ko, jaisa ki aap sabhi jaante honge, 'Womens Day' ka samaroh hua tha. Iss khaas din ke liye ek khaas ghatna bhi taiyaar kee gayi thi. Jo thi INT vs RU community ka ek battle jisme antar-rashtriya, aur Russia ke mahila khiladiyon ko ladhne ka mauka diya gaya. Ismein jeet hui thi Russia ke mahila khiladiyon ki.




VyIfqlp.png

Jaise jaise ye mahina beet raha tha, sabhi logon ke chehre par muskurahat thi lekin jab iss mahine ka ant saamne aaya, tab humne saamna ki ek bahot hi dukh bhari ghatna ka. Wo hai, humare purane, lekin sabke preeya Community Manager 'Semyon Kirov' ka AlternativaPlatform ko alvida kehna. Semyon ne March mahine ke ant mein ek post kiya tha iss forum par, ye kehte huye ki wo ab iss khel ko chhodkar jaa raha hai, aur tabse hi humare naye Community Manager, @theFiringHand, yaani ki Cedric Debono, ne unki jagah le lee. Humare naye CM bhi kaafi achche hain, unhone hume Semyon ki yaad nahi aane dene ki poori koshish kee, lekin humare purane CM, jinhe hum har hafte ke V-Log mein dekha karte the, unhe bhula paana bilkul bhi asaan nahi tha.

April ki kuch yaadein...

April ki shuruwaat humne ki, har saal ki tarah, 'April Fools Day' ke samaroh ke saath. Iss samaroh ko khel ke sabhi khiladiyon dwara pasand kiya gaya tha, kyunki isme sabhi logon ko such much itna maza aaya tha, ki wo khelna band hi nahi kar paa rahe the. Iss samaye, khel mein Gold Boxes 5 guna zyada giraya jaa raha tha. Lekin, inn sabhi golds mein kuch khaas tha, aur wo tha, ki aap jaante hi nahi the ki inn golds mein se kya niklega :D Uss samaye gold boxes mein se kayi saari cheezein nikal sakti thi, jaise 1 000 crystals, 5 000 crystals aur 50 000 crystals bhi!




0811c476f1e24f77aacd1479e27df15b.jpg

Bas crystals hi nahin, unme se aur bhi mazadaar cheezein mil rahi thee, wo hain 'Premium Account' ka much samay, April Fool gold lete hi 2 aur samaanya gold boxes ka girna, ek bomb, jiski madad se gold box lene waala, aas-paas se sabhi khiladiyon ko maar gira deta tha, aur 60 seconds ka diya gaya samaye, jab aapko koi bhi maar nahi payega, chahe vo jitni koshish kar le aur isske sath hi sath aapko ek nirdhaarit samaye tak teeno supplies dene waala gold box.

Iss samaroh ne iss mahine ki shuruwaat ko itna achcha bana diya, ki wo bas sabke dil ko choo gaya. Isi samaroh ke dauran ek contest bhi rakkha gaya tha, jisme sabhi tankers ko apna ek video banana tha, jisme wo ek April Fools gold le rahe honge aur uss gold mein se Invincibility yaa fir Bomb ka inaam mile. Inke wijetaon ko bhi kaafi achche inaam diye gaye the, jaise ki sone pe suhaga. :P

May ki kuch yaadein...

May mahine ki shuruwaaat hui thi aur bhi sales ke saath jinka naam tha 'May Holidays sale'. Iss mauke par, 1st se lekar 9th May tak, har din battle funds badhte gaye, wo shuru huye 1.25x funds ke sath, aur khatam huye 2x funds ke saath, iske alawa turrets, hulls, paints aur crystal khareedne ke keematon par 25 prateeshat kam ho gayi thi. Inke sath hi sath, kuch khaas taufe bhi aaye the, lekin bas kuch dino ke liye hi. ;)




gold.pngtank.pnglenta.png

Inn sales ke alawa, May mein, Tanki Thinking Challenge ki bhi shuruwaat hui thi, jise kaafi logon dwara pasand kiya gaya tha. Iss pratiyogita mein har hafte aapko kuch prashnon ka jawab dena hota tha, agar aapke diye huye jawab sahi hote aur aapko kismat achchi ho to aap jeet sakte hain kaafi anokhe inaam.

June ki kuch yaadein...

Jaisa ki aap sabhi jaante hi honge, June mahine ke shuruwaat, har saal hoti hai, Tanki Online ke janam-din ke saath! :D 2016 mein TO 7 saal ka ho gaya tha, aur isi khushi mein iss saal hume mile the turrets, hulls, paints, gifts, micro-upgrades aur speed ups par bhaari bharkam 50% ki sale, jiska matlab tha ki hum sab kuch aadhe keematon par khareed sakte the!

Aur har saal ki tarah iss saal bhi TO ke janam din ke saath ek aur khaas pratiyogita aayi, jiska naam tha 'THE GAME', iss khel mein 5 din, 5 clues diye jaate hain, iss baar wo kala aur gaane se jude huye the. Jo tanker in sabhi clues ko samajh kar iss pratiyogita ko jeet leta tha, usse shayad uska 'Dream Tank' mil jaane ka mauka tha.




kolpak.pngkub.png

Iss mahine, eSports mein ek naya tournament hua tha, jiska naam tha 'TOF' yaani ki Tanki Online Fighting, Dream Team. Iss pratiyogita mein aap apne doston ya clan ke saath ek team banate the aur vibhinn maps mein vibhinn game modes khelkar, apni sakshamta ka pradarshan karte the. Iss tournament ke wijetaon ko Acid paint ka upahar diya jata hai, aur saath hi dher saare crystals aur XT samaan.

Iss mahine mein bas itna hi nahi, aur bhi 2 contests huye the. Unme se ek tha 'Football Frenzy' contest, jo ki khaas taur par UEFA Euro 2016 ke avsar par hua tha. Iss pratiyogita ke bhi do bhaag the, pehla bhaag tha, jisme sabhi tanker apne man pasand team ka paint khareed lete hain aur jo team jeet jaati hai, uss team ke paint jinhone khareede the, unhe inaam diya jata tha. Kaafi saare logon ne Germany ko vote diya tha.

Doosra bhaag tha jisne ek Community Event ka roop liya tha, usmein kuch chune huye logon ko Hammer turret ke upyog se, Tanki Online mein ek football match khelna tha, jisme ek wasp ko ball ka roop diya gaya tha. :P Mila julakar, inn dono bhaagon ne milkar hum sabka khoob manoranjan kiya tha. :D

Aur jaisa ki maine kaha tha, iss mahine 2 pratiyogitaon ne apni jhalak dikhayi thi, doosri pratiyogita ka naam tha 'Welcome Tanki Contest'. Iss pratiyogita mein pratibhagiyon ko asal zindagi mein ek jut hokar ek video banana tha, jisme wo Tanki Online ki team ko apne sheher mein bula rahe ho. Ismein jeet hui ek sheher jiska naam hai Tbilisi jo ki Georgia mein sthit hai. Iss pratiyogita ke Russian bhaag ko jeeta Yerevan naamak sheher ne jo ki Armenia mein sthit hai. August mahine mein saari Tanki team inn gine chune sheheron mein, jahan par humare CM Cedric, Russia ke CM Maksim aur Nikolay pahonche the, vibhinn prakar ke prashnon ka jawab de rahe the, aur kayin saare romanchak taufe de rahe the..

July ki kuch yaadein...

July ke mahine ki shuruwaat hui thi, ek gambheer samasya ke saath. Iss samasya ne apna chehra dikhaya uss mahine ke 11 tareekh ko, aur iss durghatana ko naam diya gaya tha 'Tankopocalypse'. Baad mein pata chala ki ye ek 'bug' tha jo ki kayi saalon se bina halchal keeye, humare iss pyare game ke codes ke jaal mein kahin chupa hua tha. Uss din kuch RU servers mein jo bhi tankers ghuse the, unhone iss bug ka bhayankar chehra dekha tha. Isne sabhi tankers ke PRO pass, Double Crystal Cards chheen liye the. Ye bug aise chupa hua tha, ke humare developers ko isse dhundne mein aur theek karne mein lag-bhag 13 ghante lag gaye.

Inn sabhi cheezon ke baad aaya 'Paint Separation Update' jisme saare tankers ke garage ke saare paints ko do (2) bhaagon mein baant diya gaya. 'Paints' aur 'Protection Modules'. Paints ab bas ek dekhne ke cheez thi, saare paints ki keematen alag alag ho gayi, ye sab uski sundarta par nirbhar karne laga. Doosri or humne kayin saare naye protection modules dekhe, aur in modules ka kaam tha aapko vibhinn turrets ke kilaaf suraksha pradaan karna. Iss update ki ek aur nayi baat thi ki jo paints kisi tanker ke garage mein pele se the, unhe 'LGC' modules yaani ki 'Legacy modules' ka naam diya gaya, aur baaki saare modules jo ki bilkul naye naye aaye the, unhe M1, M2 aur M3 levels diye gaye, bilkul hulls aur turrets ke jaise.




f434f691cd794af9ae75dab26b73810b.jpegc9841e94b608402d9742ddfe485ace09.jpeg

Isi ke sath ek chota sa update bhi aaya jahan aap 'R' button ko dabakar kisi bhi tanker ke Micro-Upgrades ka pata laga sakte hain, aur unke Module ka bhi gyaan kar sakte hain. Saath hi, aap jab 'tab' dabate hain, to aapko saare tankers ke naam ke saath ye bhi dikhega ki unke paas aapke khilaaf kitni suraksha hai.

July mein shuruwaat hui thi DM Tournaments ki. Shuru shuru mein bas Generalissimos ko hi inme bhaag lene diya jaata tha, lekin dheere dheere saare ranks Warrant Officer 1 tak bhi isme bhaag lene lage. Dm tournaments mein ghusne ke liye aapko ek 'entry fee (shulk)' dene ki zaroorat hoti thi, jise dene ke baad aapko kuch der tak intezaar karna hota tha jab tak registrations khatam nahi ho jate. Iske baad, aapko kisi ek server mein ek DM battle mein pahoncha diya jata tha, aur aapko bilkul pata nahi hota tha ki aap kiske saath khelne waale hain, aur yahi cheez sab kuch romanchak aur mazedaar banati thi.

Ek aur chhota sa update tha 'Gold Box Supply' ka, jisse ki aap bas asli paison se hi khareed sakte the, ya fir missions ke dwara paa sakte the. Battle mein gold box girana ab kisi bhi tanker dwara sambhav hai, aisa karne ke liye unhe bas '6' key dabana padta hai. Iske kuch din ke bheetar hi iss update ka sabhi alag alag tareekon se faayda uthane lage, jaise haare huye khel ko jeetne ke liye, dushman ka dhyaan bhatkaane ke liye, doston ko upahar ke roop mein dene ke liye, ityadi. Mahina bas khatam hone hi wala tha, ki Tanki mein 8 naye chamchamate huye paints aa gaye, unme se kuch hain Night, Golden Star, aur Frost. (Pichle dono ko bas premium account ke sahayata se khareeda jaa sakta hai)

August ki kuch yaadein...

Iss mahine ki shuruwaat hui Community Events ke saath, jaise Mine Hunt, Box Collector, Last Man Standing, Combat Area etc, Tanki Race ityadi. Iske saath hi, har mahine, ek 'Event Calendar' aane laga, jisme hume darshaya jaata tha ki kis din kaunsa event hone waala hai, taaki hum apne man pasand events ko dimaag mein rakhte huye, unhe choonk na jayein. Events ke links ko Tanki Onilne ke Facebook Page par post kar diya jata tha, aur hai jahan se ki sabhi pratibhagi uss khaas event ke battle ko join kar sake.




ziggZCI.png

Aur har saal ki tarah iss saal bhi, Mister and Miss Tanki Online contest ne apni jhalak dikhayi jinme log, vibhinn communities se apne kabiliyaton ka pradarshan karte huye apni asal zindagi ka ek Video banakar bhejte hain, aur unke wijetaon ko anokhe inaam diye jaate hain, jaise ki 'Dream Tank', ek Smart Phone, T-Shirt ityadi. Iss saal iss pratiyogita ka vishay tha 'krida', yani ki sabhi pratibhagiyon ne apne videos asal zindadi ke khelon ke kshetra mein banaye the.

September ki kuch yaadein...

Iss mahine ki sabse mahatvapoorn yaad thi, TO ke Game Client ka taiyaar hona. Jiska matlab tha ki ab aap Tanki Online ko ek program ki tarah download kar sakte the, aur bina kisi browser ki sahayata ke Tanki Online khel sakte the. Iss client ko khiladiyon ki taraf se khoob wah-wahi mili, aur kuch sudhaar karne ke sujhaav bhi mile, aisa hi ek sudhaar jo uske kuch samaye baad hi kiya gaya wo tha refresh feature ka aana jo ki 'F5' dabane se sambhav tha.




Heavy_capacitors.pngPlasma_core_accelerators.pngBroadband_emitters.png

Iss mahine ek V-Log mein hume kuch development ki khabar mili, jisse sunkar sabhi khiladi kushi se bechain ho gaye, wo the 'Alterations'. Iske mutabik saare turrets ke liye M0, M1, M2 aur M3 version ke alterations honge. Ye alterations kisi bhi turret ke sath kuch aise badlaav karte hain, jisse ki usse khelne ka anubhav poori tarah se badal jaata hai; Alterations kisi turret ke alag alag bhaagon ko shaktishaali bana deta hai, aur sath hi kisi doosre hisse ko kamzor kar deta hai. Kehne ko, alterations ke aane ki khabar se hi pata chal jata tha ki saare turrets aur hulls se khelne ka tareeka poori tarah se hi badalne waala tha.

October ki kuch yaadein...

Iss mahine mein Tanki Online mein eSports ek baar fir jaag utha, Domination Series ke aane ki ahat sunkar. Ye tournament EN community ke eSports mein bilkul naya tha, aur ye ek aisa tournament tha jo bahot dino baad aya tha. Iske 2 bhaag the, Elite aur Junior. Inme kuch purane formats aur sath hi naye naye formats bhi khele gaye the jaise ki XP/BP, Plasma format (ismein bas Twins and Ricochet istemaal kiye jaa sakte hain), aur DR (Dictator-Railgun), Light Format ityadi. Ye ek bahot hi lambi chalne waali pratiyogita thi, jo ki December mein aakar khatam hui. Elite bhaag ko jeeta gaya 'Vavilon' clan ke dwara, aur unhe mile Acid Paint ke saath ek Module jisse ki Mines aur saare turrets se 20% suraksha milti hain. ur Junior's mein wijai huye Hell Girls jinhe mile crystals aur Gladiator paint.




news_forum_vk_fb2.jpg

October ka mahina, kaafiyon ka chaheeta hai, kyunki iss mahine ke ant mein aata hai 'Halloween' jiske saath aati hain kaafi manoranjak cheezein jaise ki sales, zyada battle funds, khaas golds ityadi. Iss saal hume mein 2 dino ke liye 5x golds jo ko Halloween map mein paani ki tarah baras rahe the. Adhik taur par Drop Zones map ke beecho beech hi gir rahe the, lekin kabhi kabhi wo bilkul alag si aur nayi si jagah par gir rahe the jisse ki unhe dhundne ka alag hi maza aa raha tha. :P




Zombie.png

Iske sath hume mile the har cheez par 31% ki chhoot aur khaas Holiday paint, aur ek paint jo ki bas asli paison se 'Shop' mein hi khareeda jaa sakta tha, uska naam tha 'Zombie'. In sab ke alawa ek chota sa contest bhi ayojit kiya gaya tha jismein ki aapko apne asal zindagi ke Halloween Costume ka upyog karna tha kuch khaas inaam jeetne ke liye.

November ki kuch yaadein...

Iss mahine mein humse milne ko aya, iss saal ke itihaas ka sabse bada update, jo ki hai 'Global Update'. Iss update ke baare mein kaafi baate hui thee, kuch achchi, to kuch buri. Lekin hume ye hamesha yaad rakhna chahiye ki jo hota hai, achche ke liye hota hai ;) Iss vishay mein main zyada gehraai mein nahi jaunga, lekin agar aapko aur padhna hai, to aap mere pehle likhe gaye sameeksha par ek nazar daal sakte hain.




LEGEND.jpg

Inn sab ke saath, aya ek naya rank, jiska naam hai 'Legend'. Iss rank ke hone ke liye aapko 1 600 000 experience points ki zaroorat hai. Lekin iss rank ko jo khaas banata hai, wo hai ki iska koi ant nahi hain. Aap jitni baar 200 000 experience kamayenge, aap utni baar rank up karenge aur aapko utni baar 40 000 crystals ka upahar bhi milta rahega.




Coloring_mint.pngColoring_amber.pngColoring_lime.png

Aane waale kuch update's mein hume 'Shop' ke liye kuch khoobsurat paints mile, jaise ki Amber, Lime, Liquid Metal, Domino, Mint ityadi. Inhe bas asli paison se hi khareeda jaa sakta tha, ab 'Kits' ko bhi paison ke dwara shop se khareeda jaa sakta tha. Inke hi saath aya ek update jisme humne dekha 'BATTLE' button ko, ye button aapko apne server mein kisi bhi ek battle mein pahoncha dega aur aapko bilkul nahi pata hoga ki wo kaunsa mode ya map hoga, iss button ko kaafi logon ne pasand bhi kiya. Saath hi ek aur update aya ki ab aap bina PRO pass ke khudse battle nahi bana sakte hain. Kehna padega, BATTLE button ke aane ke sath hi, ajkal hume kuch aise maps dikh rahe hain jinme pehle kabhi koi nahi khela karta tha..

Aakhri mahine ki kuch yaadein...

Iss antim mahine ki shuruwaat hui Tanki Online ke poorvi samaye ke 3 maps ko wapas laakar, jinka naam hai - 'Deck-9', 'Magadan', aur 'Canyon'. Ye teen chaheete maps, jo ki koi mushkil se bhula paaya ho, akhir kar khel mein wapas aaye, aur aate hi sabe man pasand ban gaye. Ek khaas baat jo inke baare mein thi, wo hai ki ye maps bas PRO pass dwara hi banaye jaa sakte hain, aur BATTLE button kabhi bhi aapko inn maps par nahi bhejega.




news_forum_vk_fb2.jpg

Inke sath sath, December ke 17 tareekh ko 'Masters of Parkour' pratiyogita ke finals ka samaye bhi aa chuka tha, ye pratiyogita ka aakhiri hissa tha, jisme ki sabhi teams ko 3 maps, jo the - 'Kungur', 'Wolfenstein' aur 'Kolhoz', mein anoke parkour tricks karne the. Saari teams ko ek building par chadne ki koshish karni thi, aur jo team wo kaam sabse jaldi aur sundar tareeke se kar sake, use hi sabse zyada points mile aur jeet ki taraf uske kadam aur badte chale gaye. Iss pratiyogita mein wijai huye, ek baar fir EN community ke Official Parkour Team - The Flying Parkourists, jo ki 45 points se pehla sthaan grahan kar chuke the, aur unke piche the Fight & Flight aur German Tanki Tutorials. MoP ke finals ke video ko aap

dekh sakte hain.

Aur itne sab ke baad, hum aa pahonche hain aaj, iss din, December 23rd par, jahan humne dekha ek bilkul naye turret ko, jiska naam hai 'Striker' aur uske saath aye kuch choti choti cheezein jaise, naye modules, micro-uprades aur alterations ko alag karne ke PRO battle settings, lagbhag saare turrets ke liye naye chamchamate alterations ityadi. Shayad abhi aur bhi kaafi kuch dekhne ko hai, iss saal ke inhi aakhiri kuch dino mein. ;)



Aasha hai ki, ye sab kuch padhne ke baad iss khel mein aapke, beete huye saal ki kuch yaadein taaza hui hongi, aur shayad abhi in kuch dino mein hume aur bhi kuch dekhna ho. ;) Bas yahi kaamna hai, ki aane waala naya saal, 2017 bhi, isi beete huye saal jaise kuch haseen lamhe le aaye aur iss khel mein hume naye aur romanchak ehsaas deta rahe! Meri taraf se, aap sabhi ko naya saal mubarak ho!

vPSK3rw.png

gR0TJlE.png

Edited by Tofu
  • Like 12

Share this post


Link to post
Share on other sites

Ye lekh Tanki Online Samachaar Patra ke vishesh ank ka bhaag hai. Hindi Samachaar Patra ki team baaki avsar, jaise Diwali, Holi ityadi, pe bhi aise vishesh ank jaroor pesh karegi - Tanki Online ke khiladiyon ke vividh sanskritiyon ko manane ke liye. Asha hai ki aap ko upar likha hua lekh pasand aye!
  • Like 8

Share this post


Link to post
Share on other sites

 Share

×
×
  • Create New...