Jump to content
EN
Play

Forum

[Ank 1] Hindi Samachaar Patra Team


Recommended Posts

rRxHrKd.pngsT6tjBm.pngPxqA8FU.png


Namaste pathakon! Jaisa ki aap sabhi ab tak jaan chuke honge ki Tanki Online ne haal filhal me hi Hindi Samachaar patra ka aarambh kiya hain. Iss baar, main samachaar patra admin GoldRock, aur Hindi samachaar patra ke prabandhak Spacecowboy18 aur Zenith101, tatha TriNitroToIuene, ek anubhavi bharatiya EN Reporter ke sath ek choti se baatcheet pesh karunga aap sab ke liye. To ab bina kisi deri ke, yaa apke dhairya ki pariksha liye, ye interview shuru karte hain!



Aap sabhi ko meri taraf se Namaskar! Aasha hain aap sabhi bhale honge. Main chahunga ki aap sabhi apne baare me kuch bataye. :)

@GoldRock: Namaste! Mera naam Arya hain aur main ek 17 saal ka British ladka hoon. Mere parents aur meri puri ki puri family bharatiya hain. Maine pehli baar EN newspaper team ko 11th Issue mein join kara tha. Main iss community mein kaafi samaye se hoon aur maine kai saare pariyojnao me sahayata ki hain, jaise eSports, Tanki Wiki aur Tanki Facebook. Kuch mahino pehle hi mujhe akhbaar prashaasak ka pad diya gaya hain, tabse hi main akhbaar padhne waalo ke liye akhbaar me thode pher badal karke apne hisaab ke vichaar anusar banaya hain (jaise ki yeh Hindi akhbaar).

: Namaste! Main ek satra saal ka bharatiya hoon. Mujhe ghumna-phirna aur vividh prakar ka khana khane ka bahot shauk hain. Iss ke alawa mujhe cricket aur football jaise khelon mein bhi dilchaspi hain. Aur Tanki to hain hi! Maine Tanki Online mein apna pehla account shayad 2014 ke April mahine ke kareeb banaya tha, aur tabhi se main iss game aur community mein acche se sama gaya hoon.

@SpaceCowboy18: Namaste doston! Main SpaceCowboy18, Bharat ke, Hyderabad naamak sheher mein rehta hoon. Main ek Clan moderator hoon, aur ek forum moderator bhi.

@TriNitroToIuene: Namaste! Mera naam Pratyush hain, aur main dakshin bhaarat ka 15 saal ka niwasi hun. Maine TO ko teen saal pahle khelna aarambh kiya, aur mujhe kitaabein padhna aur basketball khelna bahut pasand hain. Mujhe shuru se hi likhna bahut pasand tha, aur mujhe ek reporter banke bahut achcha laga. Uske alava mujhe computers ka bhi bahut shauk hain, saath me quizzing bhi, jo meri manpasand ruchi hain.

Aap sabko jaankar achcha laga. ^_^ Ab main ye janna chahta hoon ki aapko Hindi bhasha ke samachaar patra ki taraf kisne prerit keeya?

@GoldRock: Asal mein main aur Cedric dono hi alag alag bhaasha bolne waale khilaadiyon ke prati kuch karne ke baare me soch rahe the. Hindi bolne waale khilaadiyon ki sankhya ko dekh kar hamara uski taraf aakarshan badhta gaya aur hamne Hindi akhbaar shuru karne ka nirnaye liya.

: Hindi bhasha ke V-Log subtitles pichle mahine se shuru hue the. Uske tatpaschat hi GoldRock ne hamare saath iss project ke baare mein baatcheet ki. Arabic community ko bhi apne bhasha ke samachar patra ka laabh hua tha, iss liye Hindi samacharpatra ki bhi safalta ke baare me aashayein hain.

@SpaceCowboy18: Pehle toh V-LOG ko Hindi mein translate karne ka mauka diya gaya Cedric ke kaaran, aur dheere dheere iss vishay me meri dilchaspi badhti gayi aur sahi mauka milne par maine iss project me sahayata karne ki thaan lee. Phir GoldRock aur Cedric ne ek faisla kiya aur mujhe Hindi newspaper ka aayojan karne mauka diya jiska mein tahe dil se shukriya karna chahta hoon.

@TriNitroToIuene: Hmm... iss savaal ka jawab dena kaafi mushkil hain. Maine tanki se bahut lambi chutti :P lee thi, aur jis din maine mahinon ke baad pehli baar forum par aya, tab mujhe ek khabar mili ki Hindi ka apna akhbaar sthaapit hone vaala hain. Mujhe yeh baat sunkar bahut khushi hui aur mujhe Hindi prabhandhakon ki sahaayata karne ki ichcha hui.

Hmm, sunkar achcha laga ki ab Hindi bhaasha me bhi dilchaspi lee ja rahi hain. Kya aapke iss siddhant ke piche koi khaas kaaran hain?

@GoldRock: Iske peeche ka sabse mahatvapoorn karan hain ki ham saari bhasha ke khilaadiyon ko unke man pasand tareeke aur bhaasha ke vastu dena chahte hain taaki unhe bhi pata chale ki Tanki har bhaansha bolne waalo ka samaan roop se dhyaan rakhna chahti hain.

: Khaas kaaran toh nahi, lekin Indian community aur iss ke alawa kuch aur Hindi bhasha samajhne waalein logon ke liye likhne ka mauka paana hi sabse bada kaaran hain, aisa mujhe lagta hain.

@SpaceCowboy18: Nahi mere mann mein aisa koi vichaar nahi tha...iska pura shrey Cedric aur GoldRock ko hi jata hain unhi ke kaaran aap abhi ye Hindi newspaper dekh rahe hain...unhi ke badaulat ye sambhav ho saka hain.

@TriNitroToIuene: Iss siddhant ke piche mera koi haath nahi tha, ye puri tarah se GoldRock ke bal par hua hain, lekin iss pariyojna ki har taraf se main sahayata karne ke koshish karta hoon.

Kya Cedric ne iss vishay me koi khaas dilchaspi dikhayi hain?

@GoldRock: Bilkul, mere dimaag mein iske baare mein vichaar to the. Lekin Cedric ke paas iss vishay ke baarei mein bahot saare anokhe vichaar the aur unke bal par hi ye Hindi akhbaar sthapit hua hain. Hum dono ne iss baare mein kaafi dino tak baatein kee, kayi samasyaon ka samadhaan kiya. To haan, hamare community manager ka bhi iss pariyojna mein utna hi yogdaan hain jitna mera aur poori Hindi akhbaar team ka hain.

Aasha hain ki iss karya me hame safalta milegi. :D Waise kya aapke paas iss pariyojna ke liye aur bhi koi vichaar hain?

@GoldRock: Jee haan iske baarei me mere paas kayi saarei vichaar hain, main un sabke baarei me sochunga jaise jaise hamari team badhti jayegi :) Aisa bhi ho sakta hain ki Hindi akhbaar ko apna khudka ek sub-section mil jaye forum mein jisme uska apna hi Main topic hoga, bhinn bhinn tareeko ke articles honge, contests honge jo ki har issue me ayenge. Parantu abhi ke liye hamara maksad hain kuch jaroori English lekhon ko Hindi bhaasha mein translate karna aur kuch nayi nayi cheezon ke lekh likhna jaise ki ye. Aur to aur abhi Hindi akhbaar ko alag alag sthaano par badhava dena hain jaise ki V-Log aur social media websites par.

: Hindi lekhon ke liye iss community mein bahut kshamata hain. Vichaar bahot hain, lekin community ki pratikriya pe sab nirbhar hain.

@SpaceCowboy18: Aage hum Hindi akhbaar ke liye naye naye pratiyogitaon ka ayojan karenge jaise ki debates ityadi.. hamare paas is vishay me karne ko bahot kuch hain.. Hum Hindi se jude kayi saari cheezien karna chahte hain, iss Hindi community ke liye. ;)

@TriNitroToIuene: Pehli baat toh yeh hain ki aap yeh savaal galat insaan se poonch rahe hain, lol. Main keval prabhandhakon ki sahaayata karunga. Lekin main yeh sahaayata jab aavashyak hain, tab dunga, kyonki ye pariyojana ek aisa vastu hain jisko main safal dekhna chahta hun. Aur haan, ek kaaran to bata sakta hun. TO mein hamaare Hindi/Urdu bolne vaale bhain-behen ki sankhya itni ho chuki hain ki mujhe lagta hain ki ek Hindi akhbaar toh banta hi hain! Aisa karna nishpaksh hoga, taaki hamaare bhainyon aur behenon ko apne manpasand akhbaar ke sandeshon ko apni "desi" bhaasha me milegi! Aur toh aur, main hindi akhbaar ko apne haardik shubhkaamnaein deta hoon taaki voh aage jaake aur bhi safal ho. :D

Chaliye dekha jaaye kya hota hain. ^_^ Waise kaafi Hindi samachaar patra padhne waalo ke man me ye sawal hain ki kya Hindi Ssamachaar patra ko bhavishya me bhi phonetic Hindi ke upyog se hi likha jayega, yar fir kabhi Devanagari lipi ka bhi prayog hoga?

@GoldRock: Iss phonetic hindi aur Devnaagri lipi ke baarei mein shuru se hi bahot unche sthar par vaad vivaad kiya jaa raha tha. Maine khud Cedric aur Hindi Akhbaar prabandhakon (Zenith aur Space) se iss baare mein baat kee thi aur ham sabne Phonetic Hindi ko hi chuna. Fir bhi Devnaagri lipi bahot aupchaarik lagti hain, lekin Phonetic ke istemaal ke piche ye kaaran tha ki iss tareeke se lekhon ko saare padhne waalo tak adhik se adhik matra me pahunchaya jaa sakta hain. Aur hamara lakshya yahi tha, naaki akhbaar ko aupchaarik banana. Ye kaafi mushkil hi hoga ki ham apna nirnaye achanak badal lein aur Devanagari lipi ka prayog karne lage, fir bhi aisa hone ki sambhaavna tabhi banegi jab ham dekhenge ki hamari akhbaar padhne waali janta ko Phonetic se zyada Devanagari mein hi dilchaspi hain.

: Shuru mein toh Phonetic Hindi ka hi prayog hoga. Lekin bata nahi, shayad baad mein kuch badalna hoga. Devanagari ka hamne upyog nahi kiya hain, taaki sambhandhit bhasha ka upyog karne waalon ka bhi laabh ho.

@SpaceCowboy18: Humne phonetic Hindi ka isliye chunav kiya kyunki aaj ke zamne ke paathak zyada tar ussi bhasha ka istemal karte hain, Facebook, WhatsApp ityadi ke aane ke baad iska istemal kaafi hadd tak badh chuka hain isi karan se hamne phonetic Hindi ka istemal karne ka socha, par ye pakka nahi hain...ho sakta hain ki hum bhavishya mein Devanagari ka bhi upyog karein.

@TriNitroToIuene: Nahi pata. Phonetic Hindi ke saath paathakon ko padne me aasani hogi, lekin Devanagari lipi hi shudh Hindi hain. Dekhenge, janta ka kya kahna hain!


Mera ab ye sawal hain ki aap sabhi apne niji jeewan me Hindi ka kis sthar tak prayog karte hain?

@GoldRock: Ghar par mere parents aksar Hindi mein hi baatein karte hain lekin main aadat se lachaar English me hi uttar deta hoon. :P Iska kaaran hain ki meri Hindi bolne ki kshamta puri tarah se buniyadi hain, kyunki main apne har din ki zindagi mein Hindi se zyada English ka hi upyog karta hoon. Mere Hindi lekh ka bhi haal bilkul aisa hi hain. Asal mein maine ye saari jawab English mein hi likhe the kyunki agar maine Hindi me likha hota to shayad aap padh bhi naa paate. :P Fir bhi main Hindi samajhne aur padhne me bilkul bhi anaadi nahi hoon. Aur ye meri Hindi akhbaar ke kaam mein kaafi sahayata karega, main sabhi articles ko padhkar unhe samajh paunga. Jaisa ki maine kaha tha ki saarei uttar maine English mein diye the aur Phantom ne mujhe saare prashna Hindi me hi puchhe the! Main Hindi bolne aur likhne par abse thoda dhyaan dunga jaise hi mere pre-university pareekshaye khatam ho jayengi. Mujhe apne parivaar ke bharatiya hone par naaz hain!

: Mere ghar mein jyada Hindi nahi boli jaati. Meri matrubhaasha Marathi hain. Lekin, maine school mein Hindi seekhi hain, aur main Hindi films aur entertainment shows bhi kaafi dekhta hoon.

@SpaceCowboy18: Mere niji jeevan mein apne ghar pe Hindi hi baat karta hu par kaam ke samay English hi baat karna hota hain.

@TriNitroToIuene: Main dakshin bhaarat ka hoke ghar pe Hindi nahi bolta, iske jagah main English ya Tamil mein vaartalaap karta hun. Lekin, mere pitaaji ki naukri aisi hain ki hum har 4-5 saal hum log ghar badalte hain. Abhi main Kerala mein rahta hun, parantu meri zindagi zyaada se zyaada Delhi aur Mumbai mein beeti gayi hain. Aur, main ek aise vidyaalay mein padhta hun jahan bhaarat ke anek raajyon ke chaatra padhte hain, toh paathshaala mein main kaafi hindi bolta hun. Haan, bas itna hi. Hindi achchi hain na?


Aap sabke saath baat karke achcha laga. :D Kya kuch aisa hain to aap hamare sabhi paathakon se kehna chahte hain?

@GoldRock: Ummeed hain ki aap sabhi Hindi akhbaar ke samagreeyon ko pasand kar rahe hain. Agar aapke paas issey sudhaarne ke koi bhi vichaar hain to aap bilkul bhi deri naa karein aur mujhe ya fir prabandhakon ko Forum-PM ke upyog se gyaat karein. Ham ye sabhi Hindi akhbaar padhne waalo ke liye hi kar rahe hain, isiliye aapke vichaar hamare liye kaafi mahatv rakhte hain.

: Zyada kuch nahi, par mein chahta hoon ki hamare sab dost Hindi akhbaar ke aarambh ki varta failayein.

@SpaceCowboy18: Aap logon ne toh English akhbaar ke kai saare articles to dekhe hi honge.. Ab taiyaar jo jayiye dhamakedaar Hindi samagri ka laabh karne ke liye, aasha hain ki aapko hamari mehnat achchi aur manoranjak lagegi. :)

@TriNitroToIuene: Main paathakon se yeh kahna chaahta hun ki jo bhi TO ya asli zindagi mein paani hain, dil lagaake prayaas karo. Mila nahi toh uthke firse koshish karo! Aasha hain aap mere uttar dekhke pak na gaye ho, aur main asha karta hun ki aap sab bhi hindi akhbaar me ruchi lein, uska khoob sahyog karein, aur bindaas karein.




Isi ke saath main ye baatcheet khatam karna chahunga, aasha hain ki aap sabko isey padhne mein anand hua hoga. Agar aapko bhi ek Hindi patrakaar banne ki ichcha hain, to kripya yaha aavedan kariye: Hindi patrakaar ke aavedan ke niyam.
Meri or se bas itna hi, ummeed hain aapse khel me mulakaat hogi. ;)

 

vPSK3rw.png



mp4rsxW.png

hM5Vegh.png

Edited by Tofu
  • Like 11

Share this post


Link to post
Share on other sites

For a moment, I actually thought Gold write all that pro Hindi... -_-

Space, I live in Hyd top... XD.. We should meet sometime. :p

  • Like 2

Share this post


Link to post
Share on other sites

For a moment, I actually thought Gold write all that pro Hindi... -_-

Space, I live in Hyd top... XD.. We should meet sometime. :P

mee 2

  • Like 1

Share this post


Link to post
Share on other sites

Bhai ho sake toh hindi by font  laneka try karo.

Kyunkti kuch hindi words   itneh hard hoteh he ke  english se hindi samjhneh me time lag jatah hai.

(Tanki devs  ko bol kar hindi by default language meh add karvana.)

 

 

Good work Ph.Keep it up. ^_^

  • Like 3

Share this post


Link to post
Share on other sites

 Share

×
×
  • Create New...