Jump to content
EN
Play

Forum

[Ank 10] Chatur Tanker

Recommended Posts

t2gYEx2.png

ji79Uuj.png

FKytuGy.png

Aapka swaagat hai Hindi Samachaar Patra ke pehli aisi pratiyogita mein jismein na to sirf aapke Tanki Online ke gyaan ki jaanch hogi, balki aapke chaturayi ki aur aapke prashnon ke uttar dene ki kushalti ki. Chaliye aage badhte hain!

Humne aapke liye ek prashnottari banayi hai, jismein kai prakar ke, kai vishayon par aadharit prashn hai, aur aapka kaam hai unke sahi jawab dena. Har ek prashn ke kuch marks honge jinke anusar (aur prashn ke prakar ke anusar) aapko uttar likhne hain. Hai na aasaan baat? Ab jaldi se niyam padh lijiye aur shuru ho jaiye!

Pratiyogita ke Niyam

(aur kuch salah)

  • Iss pratiyogita mein Google form ka istemaal kiya gaya hai. Google account hona ek avashyakta hai. Aap Google form sirf ek baar bhar payenge. Saath mein sahayta ke liye ek pen aur notepad rakhiye.
  • Aapko har ek prashn Hindi bhasha mein hi likhna hai, wo bhi jitni ho paye utni shuddh aur padhne layak.
  • Forum par iss pratiyogita ke prashnon ke jawabon par charcha karna mana hai. Kripaya forum ke bahar bhi aisa na karein kyonki aisa karne se aapki khud ke jeetne ki sambhavna kam ho jayegi.
  • Jinhe sabse jyada marks milenge, jaahir hai unhe hi puraskaar milenge. Lekin, puraskaar ke baare mein baad mein dekhte hain.
  • Jitne ho sake utne prashnon ka uttar dijiye. Sabhi prashnon ko uttar dena anivarya hai lekin agar aapko kisi prashn ka uttar na samajh paye to sirf likh dijiye ki aapko uss prashn ka uttar maloom nahi hai.
  • Aap Wiki, forum aur anya Tanki Online se sambandhit saadhan istemaal kar sakte hain.
  • Ek se yada marks rakhne waale prashnon ka uttar vistaar mein hona apeksheet hai. Kai prashnon mein kisi cheez ka varnan karne ko kaha gaya hai, uss hisaab se likhein.

Pratiyogita ke Puraskaar

Pehla sthaan (marks ke hisaab se) - 30,000 crystals

Doosra sthaan - 25,000 crystals

Teesra sthaan - 15,000 crystals

Chautha sthaan - 10,000 crstals

To ab der kis baat ki. Ye raha wo Google form jo dilayega aapko upar likhe gaye puraskaar: click kijiye. Aap ke paas 28th July tak waqt hai, yaani ki poore teen hafte. Ummeed hai ki aap sab ko iss prashnottari mein bhaag lekar maza aaye, aur shayad kisiko poore marks mil jaye! Dhanyavaad!

ji79Uuj.png

jpOpxGr.png

  • Like 4

Share this post

Link to post
Share on other sites

(I was  going to send this via Pm , but Sagittari , your pm is unavailable)

Hello,

I have participated in the "Chatur Tanker" contest and already submitted my entry.I would like to bring some things in your notice.
1.On page 4 , one question (Changes in maps) has been repeated.
I wrote there "same question" second time.

2.On page 4 , first question, all the questions are related to a specific turret except the "Weak Damage" Question.
I hope that is not a mistake but the demand of that question.I wrote the answer accordingly.

Kindly tell whether what i have written is correct or if you are going to change anything then what should i do.

Thanks for your time.
Btw , Great Contest.
Regards
Snootera

  • Like 2

Share this post

Link to post
Share on other sites

Weird, I had checked the form once but I must have missed that out. Now fixed. The second thing isn't an error, dw. :)

Share this post

Link to post
Share on other sites

(I was  going to send this via Pm , but Sagittari , your pm is unavailable)

Hello,

I have participated in the "Chatur Tanker" contest and already submitted my entry.I would like to bring some things in your notice.

1.On page 4 , one question (Changes in maps) has been repeated.

I wrote there "same question" second time.

2.On page 4 , first question, all the questions are related to a specific turret except the "Weak Damage" Question.

I hope that is not a mistake but the demand of that question.I wrote the answer accordingly.

Kindly tell whether what i have written is correct or if you are going to change anything then what should i do.

Thanks for your time.

Btw , Great Contest.

Regards

Snootera

Sagi's PM always full :ph34r: He never deletes any conversation even if any nuba says just "Hi" or "Hello" to him lol xD

  • Like 1

Share this post

Link to post
Share on other sites

Note kijiye!

Pehle padhaav mein humne ek prashn mein ek badlaav kiya hai. Agar aapko iss prashn ke uttar ko badalna ho, to kripaya mujhe PM se uttar bhejein!

Sabhi paints, modules, turrets, hulls aur unke modifications dhyaan mein rakhte hue kitne tanks ki sambhavnayein (combinations) prapt hoti hain? (1 mark)

Sirf abhi khareed sakte hain aise combinations gine!

Zen ka PM ?

samaj nhi aya

  • Like 1

Share this post

Link to post
Share on other sites

kharid sakte hai, matlab kits?

wo tanks jo ki agar koi abhi khareedna chahe to khareed sake (tanks you can currently purchase)

Share this post

Link to post
Share on other sites

 Share

×
×
  • Create New...