Jump to content
EN
Play

Forum

[Ank 5] Deck-9 mein XP/BP


Recommended Posts

rRxHrKd.png

7FbtakZ.png

NJmqRza.jpg

hWP02gJ.png

 

Namaste doston! Ab tak to aapko pata hi hoga ki Tanki Online mein 3 maps, pehle ke samay se wapas laaye gaye hain. Unme se ek hai Deck-9. Aur iss lekh mein mai aapko dikhaunga ki aap iss map mein XP/BP khelne mein kaise saksham ho sakte hain.

 


 

Deck-9 Dikhne mein aapko kuch aisa lagega.

 

source.gif

 

 

 

Ye map, saare formats ke liye hi kaafi mazedaar hai. Lekin mere mutabik isme XP/BP khelne ka to ek alag hi maza hai, kyunki iss map ke dono base mein kahani bilkul alag hoti hai, aur dono ke hi apne anokhe faayde aur kamiyan hain. To main shuru karunga Red Base ke saath, aur fir Blue base. Ant mein aapko mai bataunga ki iss map mein XP behtar rahega ya fir BP.

 

Red Base

 

Ye base upari hisse mein hai, jiska matlab hai ki isse aapko thoda faayda milta hai jo ki hai apne dushmanon par achche se nazar rakh pana aur unhe asani se shoot karna jaise hi wo bahar nikle. Saath hi, ye base bahot zyada khula-khula hai jiska matlab hai ki aap apne flag ko chupa nahi sakenge asani se. Iss base mein, mere hisaab se aapko attack karna chahiye iss raaste se:

 

09EIol4r.jpg

 

Mere hisaab se yahi sabse achche attack ka raasta hai kyunki aap iss raste se seede flag ke upar pahonchenge aur aapko bas wahan se bhaag nikalne ki chinta karni hogi, aur haan iss raste se jab aap andar koodenge to aapko ek faayda aur hoga ki aap andar chupe dushmanon ko bhi shoot kar sakenge. Aur wahan se nikalna zyada mushkil kaam nahi hona chahiye agar aapke paas ek anubhavi aur achchi team ho.

 

Jab tak aap wahan se kood kar attack karne ka prayaas kar rahe hain, tab tak aapki team inn jagahon se jaakar aapke unn chalak dushmanon par dabaav daal sakti hai jo ki asani se nazar nahi aate.

 

3nQTeOr.jpg

 

Dushman ke base mein aapne attack to kar liya, lekin aapko wahan se nikalna bhi hoga, aur iss map mein nikalne ke bas do raaste hain, ek piche ka chota raasta, aur doosra, blue base ke dono taraf ke surang. Spawn Zones ko dhyaan mein rakhte huye, mere hisaab se piche ke chote raaste se nikalna hi sabse achcha hoga, kyunki iss tarah aap apne dushman ke base mein kam se kam samaye guzarenge aur palak jhapakte hi wahan se gayab bhi ho jayenge. Saath hi aap jab apne base ki taraf jaa rahe honge to aap apne dushman ke tank par ek ya do shots bhi jad sakenge.

 

KoaccXb.jpg

 

Attacking ke liye to bas itna hi kaafi hai iss base ke liye. Ab baari aati hai red base se defend karne ki.

Defending ke liye, aap kisi bhi ek track ke piche khade ho jaiye, kyunki yahan aapke dushman ke aapke paas pahonche ke gunjaish kam hogi, lekin jaisa ki maine kaha tha ki red base bahot khula khula hai, to aapko apne aankh aur kaan khule rakhne honge. Agar aapne apne dushman ko kahin se bhi nikalte huye dekha to usse shoot karne se dariye mat kyunki aap unhe zyada achche se dekh sakte hain, kyunki aapka base thode unchai par hai. Kuch aise:

 

oGBKYkF.jpg

 

Lekin, aapka dushman bas yahan se hi nahi, map ke doosri taraf se bhi shoot kar sakta hai, jaise yahan se. Lekin chinta mat kariye, aap apni jagah se bhi use palat vaar kar sakte hain.

 

S0Qpf4L.jpg

 

Aur agar apka dushman aapko zoron ki takkar de raha hai, aur aap dono ke paas ek doosre ka flag hai, to aap Blue base mein to kuch khaas nahi kar sakte, lekin Red base mein aap apna flag iss jagah par rakh sakte hain, yahan par aapka dushman asani se nahi pahonch payega, aur sath hi agar aapka flag return ho gaya to aap asani se jakar capture kar sakenge:

 

w3i2kox.jpg

 

To aakhir mein main ye bhi kehna chahunga, ki har ek battle alag hoti hai aur apne tarah ki hoti hai, jiska matlab hai ki mere bataye gaye tarkeeb hamesha kaam mein to nahi aayenge lekin, isse kuch choti choti cheezein jaise team ka support milna aur sahi raaste ka upyog karne se aap har battle mein saksham ho sakenge.

 

Blue Base

 

Iss base ke liye kuch khaas alag to nahi hai, lekin iss base mein khelte waqt aapko zyada satark rehna hoga kyunki aapka base ek gufa jaisi jagah par hai to aapka dushman aap par asani se nazar rakh payega lekin aapko use dhoondne ke liye joojhna hoga. Lekin isse aaapko fayda milta hai ki aapka dushman aapke base mein agar ghus gaya to use bhaagne mein bhi pareshani hone waali hai.

 

Aap iss base mein defend asani se kar sakenge, sabsi achchi aur saaf jagah raksha karne ke liye aapko yahi milegi, kyunki iss jagah se aap apne dushman ko dekh payenge, aur unhe bhaagte samaye shoot kar sakenge:

 

zIDA4qL.jpg

 

Aur iss base mein ek bahot achchi tarkeeb jiska aap istemaa kar sakte hain attack karne ke liye. Jaisa ki aap jante honge ki iss base se bahar nikalna hi sabse badi mushkil hai, jiske liye koi tarkeeb nahi hoti, uske liye bas aapko ek achchi aur sahara dene waali team chahiye. To agar aap apne base se nikal paaye, aur dushman kar flag le liya ho, to first poori ki poori doori chal kar aane mein khatra ho sakta hai kyunki aapka dushman aapko piche se kabhi bhi aakar maar sakta hai. To iska sabse achcha rasta hota hai apne dushman ke flag ko yahan le ana:

 

SGcXCr2.jpg

 

Yahan par, iss tarkeeb ko kaam mein laane se aapko faayda hota hai ki agar aap yahan se apne base mein koodne ka prayas kar rahe hain, aur usi samaye peeche se aapka dushman aapko maarta hai, to agar aap mar bhi gaye, to bhi dushman ka flag aapke apne base ke andar girega, jisse ke aapke saathi jaldi se usse capture kar payenge aur aapki mehnat rang layegi.

 

Lekin fir main kehna chahunga, ki har battle apne aap mein anokhi hoti hai, aur har waqt inn tarkeebon ka istemal nahi ho sakega aur aapko apne khudke dimaag ka istemaal karke chalna hoga.

 

XP behtar, ya fir BP?

 

Sach kehne ko, iss map mein XP aur BP dono ke hi alag alag bhoomika hai, ek or aap BP se zor dar attack kar sakte hain aur dushman ke hilne se pehle hi flag leke raffu chakkar ho sakte hain, lekin doosri or XP ki sthirta se aap ek zordar defence bana sakte hain, jisse bachna kabhi kabhi namumkin ho jayega. 

 

Lekin saath hi inn dono ki alag alag kamiyan bhi hain, jaise ki BP, XP ke mukable thoda sa ooncha hai, to uspar shoot karna aur use flip karna bahot hi asaan ho sakta hai. Doosri or, XP thoda neecha hai, to kabhi kabhi dushman ka BP aapko aisi aisi jagahon se shoot kar sakta hai, jahan aap use choo bhi nahi payenge.

 

To mere ye sab kehne ka taatparya hai ki, XP aur BP iss map mein dono ki hi apni alag bhoomika hai, aur dono ke hi apne aap mein faayda aur ghaate hain. Lekin agar aap pooche ki iss map mein MUJHE kya pasand hai, to mai kahunga XP, kyunki XP ke saath mujhe thodi sthirta  milti hai jo ki mujhe pasand hai, aur upar se mujhe defend karna bhi achcha lagta hai.  :D 

 


 

Aasha hai ki aapko, ye padhne ke baad thoda gyaan hua hoga iss baare mein ki aap iss map mein XP/BP kaise khel sakte hain. Lekin saath hi main ye bhi kehna chahunga ki ho sakta hai ki aapke man mein iss map mein khelne ke alag tareeka rakhe ho, jo maine naa batayein ho.. To aap apne man ki baat neeche post bhi kar hi sakte hain.  :P Ab bas itna hi, aapse khel mein mulakaat hogi!

vPSK3rw.png

 

mp4rsxW.pnghM5Vegh.png

Edited by Tofu
  • Like 6

Share this post


Link to post
Share on other sites

 Share

×
×
  • Create New...