Jump to content
EN
Play

Forum

[Ank 5] Clan Vyavastha aur Update #436


Recommended Posts

rRxHrKd.png
7FbtakZ.png
long.jpghWP02gJ.png

 

Ek aur din, ek aur Update raha. Patch update #436 se kai badlaav laye gaye aur ab kuch din baad ussey test ki gayi clan vyavastha akhirkar sabhi logon ke liye uplabdh ho gayi hai. Chaliye dekhte hain kya kya hua aur jaante hai uske parinaam.

 

 

Clan System (akhirkar):

Akhir kar besabri ke intezaar ke baad hum naye Clan system ko dekh payenge. Ye Clan system antim nahi hain. Na hi ye iske sab labh abhi uplabdh hain. Patch update ke aate hi aap sab ne 'Tanki Online' naamak ek test clan to dekha hi hoga. Isko dekh kar hume clan vyavastha ke baare mein kaafi kuch pata chala.

Clan ke kisi member ke naam pe click karte hi aap ko drop-down list mein option dikhega, jis par click karte hi aap ko uss khiladi ke clan ki "profile" dikhegi. Clan profile par uss clan ka naam, clan ki sthapna ka din, clan ke community ka jhanda aur clan ke members ki sankhya. Isi ke saath aap ko clan jis khiladi ne banaya hai, uska naam bhi dikhega.

8OsACK0.jpg

Uske thode niche dekho ko kuch numbers dikhenge. Idhar phir se clan ke members ki sankhya hai aur iske alawa clan ke members ke jitne kills aur deaths hain, uski total dikhegi. Uske baaju mein arthat clan ka apna K/D ratio bhi hai.

Clan ka naam kam se kam 4 characters lamba aur jyada se jyada 20 characters (*,_,^,/,' characters ke sahit) lamba ho sakta hai. Waise hi clan tag ki lambayi 2-5 characters ho sakti hai aur iss clan tag ko aap apne game ke naam aur rank icon ke beech mein dekh sakte hain. Clan ka ek chhota description bhi aap likh sakte hain, aap ke clan ke baare mein.

Iske theek niche hai clan members ki soochi. Har ek clan member ka rank ke sahit naam, usne clan mein bitaya samay, pichli bar ke log-in ke baad beeta waqt aur experience points dekhne ko milte hain. Aur to aur, agar aap ne pichle ek V-Log mein suna hoga, clans ke bhi apne 'ranks' honge aur sach much waise hua hai. Ranks jaise ki 'Supreme Commander', 'Officer', 'Commander', 'Novice', 'Veteran' aur 'Private' dekhe gaye hain.

 

  • Supreme Commander matlab clan ka kaftan. Sirf ye khiladi clan ko band karva sakta hai.
  • Commander aur Supreme Commander ke baaki sab adhikaar samaan hote hain. Ye khiladi clan ko edit kar sakte hain.
  • Officer, Commander aur Supreme Commander ye sab aavedano ko sweekar kar sakte hain aur kisi member ko clan se bahar kar sakte hain.
  • Ye teen ranks ke saath Sergeant aur Veteran khiladiyon ko clan ke liye nimantran bhej sakte hain.
  • Clan mein aate hi naya khiladi Novice rank ka ho jaata hai. 24 ghanto ke baad ussey Private rank milta hai aur wo ab clan battles mein hissa le sakta hai.
  • Agar koi member kisi clan ko chhod de to ek 24 ghante ka timer shuru hota hai, jis samay mein wo khiladi kisi aur clan mein nahi ja sakta.

Clan Chat:

Clan chat iss vyavastha ki anokha suvidha hai. Iss chat mein sirf clan ke hi khiladi baat-cheet kar sakte hain aur ismein agar koi bol raha ho to ussey normal chat lobby mein se nahi pahuncha ja sakta hain.

66x96Ob.jpg

Clan chat saare khiladiyon ko ikattha kar ke kuch ghoshna karne ke liye, ya phir kisi vishay par charcha karne ke liye upyogi hoga. Iss chat ki ek aur suvidha hai, jissey aap ko bata chalta hai ki ek sandesh (message) kis samay bheja tha.

yGf3aRi.jpg

Clan invitation ke liye do tabs maujood hain. Dono ka naam abhi ke liye 'Accept Invitation' hain lekin ek tab se aap kisi clan ko aavedan bhej sakte hain aur doosre se aap ko mile hue invites sweekar kar sakte hain.

Clan Vyavastha ke Labh:

Clan vyavastha ka sabse bada labh ye hoga ki clans apne beech mein ek vishesh prakar ka 'clan battle' taiyar kar ke aasani se mukaabla kar payenge. Inn battles mein agar ek team mein koi clan bharti ho gaya to uss team mein sirf uss hi clan ke members aa payenge. Apeksha hai ki iss vyavastha se 'mults' door chale jayenge. Ye system 'clan wars' ke liye bahot upyogi hogi.

Iske alawa ye bhi ghoshna hui hai ki clan mein bharti hone se aap ko ek alag prakar ka PRO pass muft mein mil sakega. Iss PRO pass se aap PRO battles mein ja sakenge, parantu aise PRO battles bana nahi sakenge. Isliye ek clan ka member banne se aap ko jyadatar PRO pass alag se nahi kharidna padega.

Clan Vyavastha ab Game mein:

Iss sab ke kuch dino baad kuch diggaj clans aur unke members ko iss vyavastha ko test karne ka mauka diya gaya. Unki salah aur kuch badlaavon ke baad, 3rd February ko clan vyavastha tamaam players ko uplabdh ki gayi. Abhi ke liye clan 'license' uplabdh karne ke liye clan ke leader ko 35.99 USD ka shulk laagu hai. Ye clan license sirf ek clan banane ke liye hai. Agar baad mein yah clan band ho jaye to naye clan license lena padega aisi jaankari mili hai.

 

Clan_license.png

Clan banane ke baad aap ko aur aap ke khiladiyon ko clan tag aur clan profile milegi. Aap naye khiladiyon ko invite bhej sakte hain ya phir khiladi bhi aavedan kar sakte hain. Clan mein aap Warrant Officer 1 ya upar ke rank waale logon ko bharti kar sakte hain. Agle kuch updates mein isi clan system ko aur badhya, sudhaara jayega.

 



Aise kuch bhavishya ke mudde hume V-Log ke 107th episode mein bataye gaye the. Jaise ki clan currency, jo kai raasto se kama kar clan members ke liye fayde kharidne ke liye upyogi hogi. Kuch aise fayde (bonuses) bhi bataye gaye the, jaise ki free PRO pass, experience aur crystal boost aur daily gifts. Yahi clan currency ko shayad jyada clan member slots paane mein bhi upyogi hogi.

Khair, ye to bhavishya ki baatein hain. Aap jaante hai ki #436 se teen aur badlaav aaye the.



Ricochet mein Badlaav:

Dekhne se to lagta hain Ricochet iss update ke baad istemaal karne mein thoda aur balwan lagega.

Iss Update ke baad, Ricochet mein:

Ek poori magazine/clip mein se total shots 12 se 14 ho jayenge

Ab agar aap Ricochet ka upyog karenge to ab do 2 jyada shots fire kar payenge. Iski vajah se heavy hulls ko nazdik se poori tarah marne mein aasani hogi.

Upar ka auto-aim angle kam kar diya jayega

Jab aap apni tank ko leke kisi dushman ko shoot kartey ho, Jo aapke tank ke thoda unchayi par ho to aapka turret ussey apne aap se angle theek karke shoot karta hain. Iss Update ke baad ye angle kam hoga. Iska matlab agar upar ki taraf aapko shoot karna ho to aap nichey shoot karey aur auto-aim ke karan aapke projectiles jameen ko chu kar upar ki taraf uchlenge. Ab Ricochet ko bridges par raaj karna lathin hoga.

Kam max. damage range

Ricochet se fire karte samay aapke paas ek range hoti hain. Iss range ke andar agar aapke projectiles dushman ko chhutey hain to unpar sabse jyada damage hota hai. Lekin agar ye us ragne ke aagey jake dushman ko chhute hain to projectile ka damage kam ho jata hain. Iss update mein jo max damage range hain wo kam kardi jayegi. Iska seedha matlab nikalo to keh sakte hain ki Ricochet madhyam range par lam prabhavi hoga.

Smoky mein Badlaav:

Ye to hona hi tha. Smoky ke saath khilvad to karni hi thi. :P Waise Smoky ke badlaav bahot chhote hai, isliye jyada farak nahi padega.

Jyada reload ka samay

Iss update se Tanki ke default weapon Smoky ka firing rate kam kar diya gaya hain. Aasan shabdo mein Smoky ke reload ka samay thoda badhaya hai. Issey uska PSD bhi kam ho jayega.

Critical damage thoda sa kam

Critical damage bhi thodi maatra se kam kiya gaya hai. Lekin ye maatra abhi bhi pehle jaisi hi hai, issey jyada kuch nahi badlega.

Game interface mein Badlaav:

Garage button pe click kartey samay ab aap sidhey garage mein pahunchenge bina battle ko leave karey. Issey ye bhi labh hai ki khiladi battle list ko kisi battle mein hote hue nahi dekh payenge aur lagatar khelenge.

 



Bas itna hi. Kya aap ko hamari sameeksha acchi lagi? Ye update kaisa tha, aap ke anusar? Jaroor batayein!


mp4rsxW.pnghM5Vegh.png

Edited by Tofu
  • Like 4

Share this post


Link to post
Share on other sites

Clan license renew karwana padega ya permanent rahega?

Agar aap ne clan license se clan banvaya to wo permanent hoga. Lekin agar uss clan ko band kar diya aur ab naya clan banana ho to naya license lena padega. :)

  • Like 1

Share this post


Link to post
Share on other sites

 Share

×
×
  • Create New...