Jump to content
EN
Play

Forum

[Vishesh] Adhyayan - Update #437 aur #439


Recommended Posts

NotifEN2.png     NotifFR2.png

wM8ECmK.pnglong.jpg

hWP02gJ.png

 

Namaste doston! Bas kuch din pehle hi, game mein ek chota sa update aya tha jo tha Update #439, to agar aap utsuk hain ye jaanne ko ki uss update ne apne sath kya laya tha, to aage padhiye...

 

> Patch update #437 ki sameeksha jaroor dekhein <

 

 

To chaliye sabse pehle gaur karte hain, ki iss update ne mool roop se kya kya badal diya hai...

 

  • Rico, Twins aur Vulcan mein kuch balance ke badlaav

  • Twins and Rico ke liye alterations

  • Vulcan ke 'Faster Horizontal Tracking' (M1) alteration mein badlaav

  • Player Ratings formula mein kuch badlaav

  • Bina Micro-upgrades ke battle waale bug fix

  • Clan system mein kuch bugs fixes


To ab shuru karte hain.. Sabse pehle badlaav tha Rico, Twins aur Vulcan mein kuch balance ke badlaav...

 

Twins

 

Twins mein ek kaafi bada antar aaya hai. Jiski wajah se iss turret ke khelne ke tareeke ab badal jayenge. Iss turret ke saath asal mein kya hua hai, uska pata lagana ke liye hume kuch gehrayi mein jaana hoga, to bina ki deri ke shuru ho jate hain.

  • Twins ka 'Weak Damage' ab 10% se badh kar 25% ho gaya hai, saare modifications ke liye.

  • Twins ke plasma ke gend (ball) ka radius ab 0.5 se badh kar 1 ho chuka hai.

  • Iss turret ka Auto-Aim upar ki taraf, 13 degrees se ghat kar 11 degrees kar diya gaya hai. Aur neeche ki taraf 16 degree se ghata kar 14 degree kar diya gaya hai har modification ke liye.


​Ab gaur karte hain iss turret mein aaye sabse bade badlaav ke saath. Jo ki hai ab Twins ke plasma se 'Splash Damage' hone waala hai, bilkul Thunder ki tarah. Yaani ki ab agar ye turret dushmanon ke jhund ke or shoot karta hai to fir wo ek saath sabko damage karne ki kabiliyat rakhta hai.

  • Iss turret ke Max. Damage ka radius hoga 1 Meter, yaani ki ek map ke 'Prop' ka 1/5th hissa.

  • Aur iss turret ka Min. Damage radius hoga 4 Meter.


bMEhhv3.png

  • Kamjor splash damage ka percentage hai 25%, yaani ki iska damage 25 prateeshat tak ghat sakta hai.

  • Aur iss turret ke, kisi tank ke saath contact mein aate hi uske dhamake se bhi ek Explosion Impact rahega jiska jor har Modification ke liye alag hai.
    • ​M0 -> 100.00

    • M1 -> 138.24

    • M2 -> 155.82

    • M3 -> 176.47

    • M3+ -> 200.00



Jaisa ki aap ne socha hoga, inn badlaavon ki vajah se aap ko apna Twins ke saath khel badalna hoga. Aap ko jyada savdhaani se khelna hoga (ek madhyam range ke turret ke jaise), aur ek antar rakh kar hi dushmano ke nazdik jana hoga. Agar aap ko apne hull ke saath dushman ko impact force aur hull ke saath takkar dene mein dilchaspi hai to aap ko ab Twins ka naya alteration khareedna hoga. 

 

Ricochet

 

​Ab Twins ke baare mein to humne jaan liya, to chaliye dekhte hain Ricochet mein kya kya badlaav aaye hain. Dekha jaaye to iss turret mein kuch khaas badlaav to nahi aaye hain, bas iss turret ke Plasma Radius mein badlaav hai, aur kitni baar iske plasma bounce kar sakte hain, uspar thodi seema laga dee gayi hai. Aur badlaav iss turret ke saare modifications (M0, M1, M2, M3, M3+) ke liye barabar hain.

  • Plasma ka radius, 0.5 Meter se badha kar 1 Meter kar diya gaya hai.

  • Ab iss turret ke dwara shoot kiye huye plasma bas 20 baar hi bounce karenge aur usse zyada nahi. Sach kehne ko, aapko isse zyada ki shayad kabhi jaroorat hi nahi padti ho.


Ricochet ke badlaav jyada prabhavi nahi hain. Plasma ka radius badhne se nishana lagane mein aasani hogi. Ricochet ke projectiles ke bounces ko seemit rakhne se shayad Minus-Field Stabilization ke alteration se mili dugni range ka log kam upyog kar sakenge.

 

Vulcan

 

​Ab gaur karte hain Vulcan mein aaye badlaavon par. Vulcan ke saath sabse bada badlaav ye hua hai, ki ab iska 'Gyroscopic effect' jiski vajah se dushman ke anant waar karne par bhi iska nishana nahi hilta tha wo ab ghat gaya hai. Jiska matlab ab aap kisi Vulcan ko shoot karke uske choonkne par majboor kar sakte hain. Iske auto-aim mein thode badlaav aaye hain, aur saath hi iske kamzor damage par thoda badhaav hua hai.

  • Iska Gyroscopic Effect ko 1/2 kar diya gaya hai.

  • Kamjor damage 25% se badhkar 50% ho gaya hai.

  • Upar ki taraf ka auto-aim 13 degree se ghat kar 9 degree ho gaya hai, aur neeche ki taraf ka auto-aim 16 degree se ghat kar 12 degrees par aa chuka hai.


​To ab aap jaan chuke hain ki Twins, Ricochet aur Vulcan mein kya kya badlaav huye hain aur unse aapke khel mein kaise fark padh sakta hai... Ab chaliye aa jate hain Alterations par aur dekhte hain ki Vulcan ke alteration ke sath kya badlaav hua hai aur Twins aur Ricochet ke alterations se kya ho sakta hai..

 

Vulcan ke badlaav bahot hi prabhavi hain. Ek taraf weak damage badhne se lambe ranges tak Vulcan thoda aur accha pradarshan karega. Lekin doosri taraf uska auto-aim phirse ghataya gaya hai, aur unchayion se golibaari karne mein issey kathinayi hogi. Aur to aur, ab shayad Dictator ke niche waale hulls par base Vulcans par ab impact force ka jyada asar padega.

 

Twins Alteration - Stable Plasma

 

Twins ke iss Alteration se ab uska Plasma thoda sthir ho jata hai. Jiska matlab hai ki ab wo Splash Damage nahi kar sakta hai. Jiska faayda aapko milta hai ki ab aapko Twins se koi 'Self-Damage' bhi nahi milne waala hai. Iss alteration ke saath ab aap twins ke saath close range mein kaafi achcha kar payenge kyunki aapko iski chinta nahi karni hogi ki kahin aap galti se dushman ko maarne ke chakkar mein khudko hi naa chot pahoncha baithe. Mere hisaab se, ye alteration kaafi achcha hai.

 

d4c83aafc4d248df97816b665e58e5ac.png

 

Stable Plasma ka ye alteration aap 50,000 crystals ke saath khareed sakte hain. Ye alteration Twins ke M1 alterations ki sankhya ko do tak le jata hai, jiska matlab hai ki aap iske saath Twins ka doosra M1 alteration, yaani ki Plasma Core Accelerators, ek saath nahi jod sakte. Railgun ke baad Twins hi turret hai jiske ek hi modification ke do alterations aa chuke hain.

 

Ricochet Alteration - Unstable Plasma

 

Ricochet ke iss Alteration se ab iske paas bhi Splash Damage karne ki kabiliyat aa jati hai, jiska matlab hai ki agar aap Ricochet se apne dushmanon ke jhund ki taraf shoot karte hain, to aapke ek-ek shot se sabko chot lagti rahegi jab tak wo mar naa jayein. Lekin iski vajah se aapko Ricochet ke apne Plasma ko bounce back karne ki kshamata ko gavana padega, jo ki ek bahot badi cheez hai. Mere hisaab se ye alteration aapke khelne ke tareeka ke upar nirbhar karta hai. Agar aap chote maps par khelte hain to fir aapko ye alteration lena chahiye kyunki aap isse apne dushmanon par ek saath vaar kar sakenge. Lekin agar aap bade maps ya fir madhyam size maps mein khelte hain to fir aapko shayad ye utna achcha nahi lagega kyunki aap apne chupe huye dushmanon ko nahi maar payenge.

 

f1de2bca2126495e9e4cc618742075d4.png

 

Ricochet ka ye alteration M2 modification ko khareedne ke baad aap ko uplabdh hota hai. Baaki M2 alterations ki tarah ye alteration bhi aap 100,000 crystals kharch kar ke pa sakte hain.

 

Vulcan Alteration - Faster Horizontal Tracking, mein badlaav

 

Iss update mein Twins aur Ricochet ke naye alterations se saath, Vulcan ke ek Alteration 'Faster Horizontal Tracking' jo ki pehle se hi tha, usme kuch badlaav huye hain.

 

Faster_horizontal_tracking.png

 

Pehle, jaisa ki aap jaante honge ki ye Alteration aapke Auto-Aim ke angle ko 50% ghata deta tha, jiski wajah se isse khelna kaafi mushkil ho sakta tha. Lekin ab wo 50% ki jagah keval 30% Auto-Aim ghata deta hai, yaani ki isse aap pehle jaise pareshaan to nahi honge lekin fir bhi iss takleefein to hongi hi, khaas karke unko jinhe iss turret ke saath khelne ki aadat ho.

 

Iss update ne apne saath sabse badi cheezein yahin laayi thi, kyunki ye badlaav aapke khel par asar karenge... Ab jaante hain ki inn badi-badi cheezon ke alava aur kya chote-chote badlaav aaye hain - Player Ratings aur Clan System mein.

 

Player Ratings Formula mein badlaav huye hain. Iske baare mein hume kuch zyada gyaan to nahi hain lekin mujhe jo pata hai wo main aapko bata deta hoon. Wo hai ki ab saari player ratings 10 guna ho chuki hain (x10). Aur VLOG-124 ko mutabik ab khiladi kisi ulti-pulti takneek se apne ratings nahi badha payenge. Sabse shreshtha khiladi banne ke liye unhe khel mein khudko sahi mein takatwar savit karna hoga.

 

Iske alawa, naye-naye aaye 'Clan System' mein bhi kuch sudhaar aur bug fixes huye hain jinke baare mein hume kuch bhi gyaan nahi hai. Saath hi, aap mein se wo log, jo ki No-Supply matches khelne mein dilchaspi rakhte hain aur unhe khelte hain, unhe pata chala hoga ki kuch dinon se wo battles, jahan Micro-Upgrades OFF hain, wahan par bhi 'R/V' dabane se aapko apne dushman ke Micro-Upgrades dikhte the. To humare developers ne usse theek karne ka bhi prayaas kiya hai.

 

 

To doston, aasha hai ki aapne ye padhkar Update #439 ke baare mein kuch gyaan prapt kiya hoga meri sameeksha padhne ke baad. Chaliye ab meri or se to itna hi, updates to aate hi rahenge. :) Aapse khel mein mulakaat hogi. Alvida. Aur haan, niche ka #437 update par adharit lekh bhi padhna.

 

vPSK3rw.png

Edited by Tofu
  • Like 2

Share this post


Link to post
Share on other sites

work_in_progress.jpg

 

Ek aur din phirse ek aur update raha. Iss baar ke patch update se bahot kuch cheeze aasan ho gayi, aur kuch cheeze badli bhi gayi hain. Chaliye dekhte hain iss baar ke update ne hume kya diya hai...

 

 

Clan License khareedne ki anumati -

 

Clan System ke aatey hi logo ke beech clan banane ka utsah badh gaya tha. Ye jyadatar iss liye kyunki aapko aapke naam ke samne aapke clan ka tag nazar aata hain, ek clan mein samaane par. Isi ke saath aapko Pro Battles mein khelne ke liye PRO Pass ki jaroorat nahi padti. 

 

Aisa hone se kaafi saare 'naye' clans prakat ho gaye hain, yaani ki aise clans jo pehle forum pe maujood nahi the ya phir unka forum par clan page nahi tha. Kai saare mitron ne taiyar kiye gaye clans bhi paye gaye hain, aur kuch random clans bhi, jinhe lobby chat par se members mil rahe hain. Lekin inn clans mein jo khiladi gaye aur phir unhe wo clan pasand nahi aaye unhe ek kathin prasang ka saamna karna pada - kyonki clan se bahar nikalne ke baad 24 ghanto ka timer jo hai.

 

Jab Clan System pehli baar Tanki ke servers pe release kiya gaya tha tab ye sirf kuch jaane-maane bade clans ko diya gaya tha. Lekin iss update ke baad aap mein se koi bhi apne aapke liye Clan License khareed sakta hain aur apne aap ki Clan bana sakta hain.

 

c63b11dd6c034af6ac809dae223fe046.jpeg

 

Filhal ke liye to itna hi uplabdh lekin bhavishya ke updates mein aap apne clan ke members 12 se badha payenge aur kai aur labh pa sakenge. 

 

 

 

518ba97b31114f5a888e24eaa63805c3.jpeg

 

Player Ratings -

 

Player Ratings ye vibhaag Tanki mein pehle bhi tha. Tab jo formula thi wo itni adhunik nahi thi ki ye 'ratings' ke liye acchi tarah kaam kare. Tab sare players chhote-mote raasto ki madad se apni ratings badha dete the. Lekin ab joki tanki ke upyogi adhunik formula aya hain to ab ummeed hain ki jyada saral aur spasht ratings hum sab ko milengi.

 

2015 ke bade update ne laye gaye 'Ratings page' ke utsah ke baad Tanki ne individual player ratings phir se banayi hain. Iska matlab aab agar aap dekhna chahte hain ki aap kitna accha khelte hain ya aapka dost ki tulna mein kaise khele hain to aap apne ratings ke kramank ko dekhe. Jiska 'rating' jyada hoga wo zyada accha khelta hain, iss naye formula ke anusar.

 

84dacaad40a04030b5eba9a60db089b1.jpeg

 

Settings ka naya roop - 

 

Abhi tak hamare khel ke settings ke window ka roop jyada kuch adhunik nahi tha. Bas kuch options thi. Lekin is update ke baad Settings Window 4 alag-alag bhaagon mein divide kardi gayi hain. Inn char settings ka upyog kar ke aap pehle se jyada acche se aur tarah-tarah ke options se apne aap ke liye iss khel ko uchit tareeke se istemaal kar sakenge. Wo hain,

  • Game
  • Graphics
  • Accounts
  • Controls

Game :-

 

Game menu mein aapke paas saadhaaran game ki cheezon ki setting uplabdh hoti hain. Jaise ki aap ke dware kiya gaya dushman pe damage ke numbers, drop boxes ki jagahe, aur 'alternate camera' jissey band jagaho mein camera alag tareeke se upyog hota hai. Iske alawa aap ko chat ki settings bhi uplabdh hain, jaise ki sirf aap ke mitron se 'PM message' ya phir chat dikhane ya na dikhane ka option. Isike saath yaha pe aap tanki ke audio meter ko bhi badal kar apne hisaab se kar sakte hain. 

 

f4399f1ffb5d4daab93967ec884e2050.jpeg

 

Graphics :- 

 

Ek game ki sundarta uske 'Graphics' ko dekh ke milti hain, Tanki ki graphics ko high level pe rakhke khela jay to adhunik lagne se kam nahi. Iss graphics menu mein aap apne game khelte samay ke graphics ko badal sakte hain. Ye unke liye hain jinke computer mein khas tarah ke GPU (Graphical Processing Unit) hain. Aasan shabdo mein ye unke liye hain jinka FPS (frames per second) kam hain. Aap iss menu ke prayog se Tanki ke graphics ko kam karke apne FPS ko badha ke khel ka 60FPS mein anand le sakte hain.

 

Graphics badalne ke liye dher saare options maujood hain. Jaise ki dynamic lighting, deep shadows, dynamic shadows, jo map ke props aur tank ke upar ki roshni aur chhaya ko santulit karte hain. Iske alawa hai fog, soft particles, skybox, dust ye sab options jissey map aur tank ko jyada sundar banaya ja sakta hai. Mip-mapping aur anti-aliasing ke options ko off karein, agar aap ko kam FPS mil rahi ho to. 

 

e5cd4b8ea92e44b78fd25131ae534d74.jpeg

 

Account :- 

 

Tanki par agar aap ne e-mail nahi link kiya hai to hamesha kaha jata hain ki apne account se apna email link kijiye. Ye jaroori hain kyuki agar kisi tarah aap apna account kho dete hain to aap is linked email ke dwara apna account wapis pa sakte hain. Iss menu mein aap apna account Email aur Facebook se link kar sakte hain. Kripya apna account kamse kam apne e-mail se jaroor link karein. Issey aap kai saare pratiyogitaon mein ya phir Support help desk se sampark saadhte waqt upyog hoga. 

 

9ffc28c4b31f48d79bc0ecc1c2553ec0.jpeg

 

Controls :-

 

Sabse khaas badlaav. Ab tak Tanki mein aisa option nahi tha jo hume apne keyboard ke keys ko badalne deta. Iss update ke baad aap aapne keyboard ke keys ko iss menu mein ja kar sirf iss khel ke liye badal saktein hain. Ye menu khaskar naye tankers ke liye hain kyuki naye controls pe haath rakhna aasan nahi hota aur jo pehle ke anubhavi tanks hain wo abhi ke controls pe chipak chuke hain ki unhe controls badal ne ki jaroorat nahi padegi.

 

Iska kaise faida liya jaye? Chaliye maante hain ki aapke pass 'Gold Box supply' hain lekin aap inn keemti supplies ka upyog nahi karna chahte. Lekin kabhi kabar Mines ko use karte samay galti se aap Gold Box supply ka button daba sakte ho. Ye kaam aap kar de to na chahte bhi aapko Gold Box kisi ko muft mein dena padta hai. Isiliye ab aap controls menu mein jaye aur Gold Box supply ke sthaan pe kuch na rakhe aur phir jab unhe giraana ho to key aap 6 ke alawa kuch aur rakh sakte hain. Aur ek jaroori badlaav aap kar sakte hain agar aap 'C' key ka kuch jyada istemaal nahi karte to uske alawa R/V key 'C' ke sthaan par rakh sakte hain.

 

38536ef8de68481897a7f2817cdc7c95.jpeg

 

Visual Badlaav :-

 

Pichle kai updates ke baad '"An Error Occurred" wali error badhne lagi thi. Tanki developers ne isse naam diya hain 'Critical Error'. Iss error ke badhne ke kaaran se Tanki ne drop zones ko map ke kisi bhi kone se dekha ja sake aisa badlaav kar diya hain. Iske karan khelte samay transparent cheezain kam hogi aur akhir mein ye 'Critical Error' ki sambhavnaye kam hongi. Aise aur badlaav bhi jald aane waale hain.

 

 

Inn dono patch updates ne khel ko kaafi had tak badal diya hain, kya aap bhi sehmat hain? Waise ye updates 2017 ke saal ke shuru hone ke baad kuch jyada hi baarambaar ho gaye hain, na? Aap ko kya lagta hai? Hume aap ke vichaar jaroor batana!

 

gR0TJlE.png

  • Like 2

Share this post


Link to post
Share on other sites

 Share

×
×
  • Create New...