Jump to content
EN
Play

Forum

[Ank 6] Isida ka Sahi Upyog


Recommended Posts

rRxHrKd.png

7FbtakZ.pngn5OYKqs.png

Pichle ank mein hamne Striker se khelna seekha. Ab ki baar, humne Isida ko chuna. Isida ko pichle kai updates mein bahot badla gaya hai, aur naye Isida se khelna khiladiyon ke liye chunauti ban gayi hai. Iss baar chaliye dekhte hain Isida ka kaise upyog kiya jaye.

 

 

Mool Baatein aur Upyogi Tareekey:

 

Isida, Tanki ka ekmev turret jo apne teammates ko heal kar sakta hain. Isida ki bhoomika Tanki mein ek medic jaise hain. Lekin iske nanobots ke pass bahot damage karne ki bhi kshamata hain. Iska sahi upyog aur aap battle ke sabse prabhavi khiladi ban sakte hain. Chaliye aur jante hain.

 

200px-Turret_isida_m1.png200px-Turret_isida_m2.png200px-Turret_isida_m3.png

 

Isida chalane ke 3 prakar hote hain, aur inme se do hi prakaron mein nanobots ki beam vastav mein dikhti hai.

 

Free Fire - Jab aap kisi tank ki taraf nishana saadhe bina space bar dabate hain. Tab Isida 'Free Fire' karta hain. Iss dohran energy 20 Seconds tak tikti hai.

 

Heal - Jab aap CTF, TDM ya CP ke team battle mein apni team waalo ke taraf shoot karte hain, tab aap ke team ke uss khiladi ki health badhti hai. Heal karte houe energy 10 Seconds tak rehti hain, aur uske baad aap ko energy reload hone ke liye rukna padta hai. Healing karte samay aap ki beam neele rang ki hoti hai (M3 par hare rang ki).

 

Damage - Jab aap apne dushman ki taraf dekhte houe shoot karte hain tab Isida unhe automatically Damage karta hain. Damage karte dohran energy 5 Seconds tak rehti hain. Dushmano ko nuksaan pahunchate samay aap ki beam peeli, narangi ya laal rang ki hoti hai.

 

Dhyaan rahe ki agar aap lagatar heal ya lagatar damage nahi kar rahe ho, to energy 5 ya 10 second nahi tikegi, balki aap kitne der ke liye kaunsa kaam kar rahe hain, iss par nirbhar hogi. Isida ke saath aap ek baar mein 1000 energy kharch kar sakte hain, aur healing ke liye 100 prati-second aur damage ke liye 200 prati-second aisi wo energy kharch hoti hai.

 

Ab jo aap jan chuke hain ki Isida kaise kaam aata hai. Ab dekhte hai iska sahi upyog kaise kiya jaye.

 

Isida battlefield mein bahot bada kirdar nibhata hain. Isida ke sahi dhang se kehlne se battle ki disha badal sakta hain. Isida ko dhyaan mein rakhna chahiye ki uska sabse bada kaam apne teammates ko heal karna hain. Iss dohran aapko bilkul damage liye bagair chalna hai, kyonki ab self-healing ka function bhi Isida se nikal diya hai. Pehle ke Isidas health kam hone par dushmano ke kamjor tank ko damage karke apni health badha dete the, aur phir apna kaam karna shuru kar dete the. Lekin ye takneek ab nakaam ho gayi hai.

 

Par bilkul damage liye bagair? Kaise? Agar aap apne teammates ko heal kar  hi rahe ho to agar wo damage le aur aap heal karte rahein to ye accha hain. Aur tabtak aapka saathi same wale dushman ko mardega. Phir aap ussey acchi tarah se heal karde. Heal karte samay apni tank ko apne teammate ki tank se aise disha mein rakhein ki aapke dushman ka damage sirf aapke teammate ko ho aur aapko na. Lekin ye bhi dhyan mein rakhein ki aap ka saathi aap ke attack cone se bahar na jaye.

 

c1caf08cd86c44d298c5cc06e964d5c8.jpeg

 

Agli 'trick' bhi hai mahatvapoorna. Ismein aap ko kisi prop ke aadhar se ya phir aise hi khade reh kar auto-aim ke angle ki madad se door se heal/damage kar sakte hain. Tanki Online ke har turret ke paas auto-aim angles hote hain. Waise hi Isida ke pass bhi ye anumati hain. Isida ke cone angle ki maatra hai 20 degrees. Iska upyog kaise karein? Iski madad se aap apne upar/nichey waale dushman/dosto ko heal/damage kar sakte hain aur apna samay bacha sakte hain. Iss auto-aim cone ka upyog Rio, Noise jaise maps mein bhi bahot mahatva ka hota hai.

 

256aaa2592104a138482ff7a58f10013.jpeg

 

Badhte houe, Isida ke nishaane ke baare mein baate karenge. Isida ki range itni badi nahi hai, lekin iska sahi upyog badi acchi tarah se kiya ja sakta hain. Agar aap kisi tank ke kone ko bhi door se shoot kare to bhi Isida ka damage lagbhag utna hi hota hai jab ki tank uske nazdik ho. Isida ka damage Freeze aur Firebird ke jaise kuch antar ke baad ghat-ta nahi hai. Aasan shabdo mein, tank ke kisi bhi part par nishaana saadhke Isida wahi maatra mein heal/damage kar sakti hain. Iska upyog aap angled shooting mein use kar sakte hain. Aur apne nishaane se doori rakhne mein bhi ye kaam aata hain.

 

c7128a6618f6488eb9db262c2d74f73c.jpeg

 

Gameplay mein:

 

Pehle to ye jaane ki Isida ke saath ek hi team ke khiladi ke saath rehna accha nahi. Vulcan (jalan ki vajah), Thunder (self-damage ki vajah) aur ab Twins jaise turret ke khiladiyon par khaas nazar rakhna accha hota hai, kyonki yahi wo turrets hain jinhe jyada baar aap ko heal karna padega. Lekin, iska matlab ye nahi ki aap unse hi chipke rahe. Vulcan aur Isida ka upyog karne waale do saathi ek saath kai maps mein poora base suraksheet rakh sakte hain, lekin phir bhi ek Isida ke bhoomika aap poori tarah se nahi nibha payenge. 

 

CTF mode mein aap ko sabse jyada samay hamlavar aur rakshak khiladiyon ko hi heal karna chahiye. Battle mein sabse prabhavi yahi hote hain, aur inhe zinda rakhna jyada mahatva ka hai. Jyadatar aap ko dushman ka flag nahi lena chahiye, balki hamlavar khiladiyon ke saath jate waqt unke piche jana chahiye. Agar jaroorat ho to Isida ko bhi nuksaan pahunchane mein madad karni chahiye. Isida ke khiladi ho kar bhi aap ka PSD (prati-second damage) baaki short-range turret se jyada hai, isliye agar aap ke paas energy ho, aur aap ka saathi agar apna Railgun ya Thunder jaisa turret reload kar raha ho, to kabhi kabhi dushman ko shoot karna sahi hota hai. Damage aur healing mein santulan rakhna chahiye.

 

CP mode mein Isida ko wahi point par jana chahiye jidhar uske team ko sabse jyada kathinayi ho rahi ho, taaki wo healing ke saath capture aasan kar de. Khaas taur par, agar point aap ke team ka ho, to unhi khiladiyon ko pehle heal karein, jinka PSD jyada ho ya phir wo point par jyada tik sakte ho. Jaise ki ek Titan ya Mammoth jinpar Twins ya Smoky jaise turrets ho. Agar aap point capture karne team ke saath ho, to Striker jaise turret ko pehle heal karein, kyunki Striker ek hi scope shot mein dushmano ko tabah kar sakta hai.

 

Isida ke Saath Har ek Hull ka Upyog

 

Ab jante hain Isida ka upyog sabhi hulls ke saath, ek ke baad ek.

 

Wasp

 

115px-Hull_wasp_m3.png

 

Wasp ki tez gati aur chusti aur Isida ki healing battle mein bahot kaam aa sakti hain. Wasp ke upyog se aap poore map mein kidhar bhi pahunch sakte hain. Wasp ke saath Isida ka upyog jyadatar healing mein hi kaam ayega, damage karne jaoge to dushman ke haath ki mar khaoge. Wasp ke saath Isida ke sahi upyog bahot keemti ho sakta hain. Iss combo ko aap bade CTF maps par kaafi paoge.

 

Hornet

 

110px-Hull_hornet_m3.png

 

Hornet Isida ke saath bahot dikhayi deta hain. Adhiktar Wasp jaisa prayog theek hain. Lekin Hornet mein thoda bahot nuksaan pahunchane ki bhi kshamata hain. Baaki Hornet Isida ke saath acchi jodi bana leta hain. Ye combo bade aur madhyam maps mein bahot dikhta hai aur iska ek kaaran hain ki iska ek M2 kit hai, Stinger aur M3 kit bhi hai, Healer. 

 

Hunter

 

110px-Hull_hunter_m3.png

 

Hunter ek aisa hull hai jo Hornet aur Wasp ka hybrid lagta hain, iski raftaar aur drift ki vajah se. Asal mein to ye Dictator aur Viking ke beech hai, kyonki iski raftaar sabse madhyam hai, aur iski acceleration bhi. Hunter iss khel mein kam upyog kiya jata hain. Iske acchi height aur madhyam stats ki vajah se ye Isida ke saath uttam mel karta hai. Height ke kaaran aap auto-aim ka accha istemaal kar sakte hain. Lekin Hunter pe turret thodi piche ki taraf hoti hai, isliye apna tank ulta chalayein kyunki issey thodi jyada range milegi. Madhyam stats hone se ye Isida ka santulan banaye rakh sakta hai aur tarah tarah ki bhoomikayen nibha sakta hai.

 

Viking

 

115px-Hull_vicing_m3.png

 

Medium hull mein sabse tez Viking Isida ke saath sabse jyada upyog kiya jata hain. Viking ki shaandar speed aur health ke karan Viking hamla aur raksha dono mein lajawab hai. Agar aap Viking ko Isida ke saath hamesha hamle mein upyog kare to bhi ye accha hai. Viking ki height se auto-aim karna thoda kathin hai phir bhi Isida iske saath bahot upyogi hai. Isida ke saath Viking ka jaroor upyog karein, kisi bhi map ke liye accha hai.

 

Dictator

 

120px-Hull_dictator_m3.png

 

Dictator, naam sunte hi lambayi yaad aati hain, aur lambayi sunte hi auto-aim ki yaad aata hain. Jee ha, Dictator auto-aim ke saath sabse accha hain. Lekin, doosri taraf agar dushman ya saathi aap ke nazdik ho to aap ki beam kabhi kabhi unke tank tak pahunch nahi paati. Dictator ka tezi mein thoda maar kha jata hai aur poore map mein jald nahi ghoom pata aur ye accha nahi. Flag ki raksha mein upyogi hai lekin ye bada hone se heal karte waqt chhip nahi pata.

 

Titan / Mammoth

 

120px-Hull_titan_m3.png115px-Hull_mammoth_m3.png

 

Ab baat aati hain Isida ka upyog heavy hulls ke saath, Titan aur Mammoth, dono hi badi acchi tarah se isida ke saath upyog kiye ja sakte hain. Ek minute... Isida..? Wo bhi heavy hulls ke saath? Jee haan. Isida heavy hulls ke saath bhi accha pradarshan kar sakta hai agar map chhota ho to. Agar aapne kabhi Legend rank ki Polygon CP No Supplies (NS) battle dekhi hogi to aap ye jante honge ki har team mein kamse kam 1 Isida hona jaroori hota hain. Mammoth aur Titan Island, Farm aur Atra jaise battles mein kaam aate hain. Aur Baat aati hain CTF mein raksha ki, isme to hum jante hi hain Titan aur Mammoth ki kahaaniya.

 

 

Ab jo aap jan chuke hain ki Isida ka sahi upyog kaise kiya jaye, kin cheezon par nazar rakhi jaye aur konse hull ke saath kidhar khela jaye to jaiye aur apne aap khel ke dekhiye Isida ke saath. Agar aap ko meri tips acchi lagi ho to jaroor batana aur niche apni pratikriya jaroor likhna!

 

Pichle lekh

> Striker ka Sahi Upyog <

 

mp4rsxW.pnghM5Vegh.png

Edited by Tofu
  • Like 5

Share this post


Link to post
Share on other sites

 Share

×
×
  • Create New...