Jump to content
EN
Play

Forum

[Ank 6] Supplies ke Saath 48 Ghanto ka Prayog


Recommended Posts

rRxHrKd.png

7FbtakZ.png

482.png

 

Namaste doston! Haal mein hi aapne ek naye 48 ghanto ke badlaav ka saamna kiya hoga. Ye badlaav hua tha Supplies ke upar, ek prayog ke roop mein. Supplies ab wapas pehle jaise roop mein ja chuke hain lekin agar aap iss prayog ke baare mein jaanna chahte hain, to aap bilkul sahi jagah par hain!

 


 

To doston, kuch samaye pehle hi, khel mein Supplies ke saath kuch pher badal huye the. Lekin wo hamesha ke liye nahi the, wo bas ek prayog ka hissa the. Iss prayog ka kaam tha, ye sunischit karna ki Supplies ke upyog mein kaise badlaav ane chahiye, taaki ve bas kuch button dabakar jeet jaane ke yantra se buddhi ka upyog karke unse neeyamit labh uthane ki cheezein ban sake.

 

Aaiye dekhte hain ki inme aakhir badla kya tha..

 

Iss prayog mein, Smart Cooldowns ko hata diya gaya tha, Supplies ke kaam karne ke samaye ko 30 seconds kar diya gaya tha. Ek hi supply ko baar baar istemal karne ka samaye bhi badh gaya tha. Sabse badi cheez, aapke marne ke baad bhi cooldowns jaari rahte the. Iske saath hi ek nayi cheez, aap battle mein ghusne ke seedha Supplies ka upyog nahi kar pa rahe the, aapko kuch der intezar karna tha.

 

Inventory_double_armor.pngInventory_double_power.pngInventory_nitro.png

 

Chaliye ab inn cheezon ko thodi aur gehrayi se dekhte hain, aur samajhte hain ki supplies mein badlaav kya huye the...

 

  • Repair kit
    • ​​​Cooldown: 90 Seconds​
  • Double Armor

    • Kaam karne ka samaye: 40 ke jagah par 30 seconds
    • Cooldown: 60 Seconds
  • Double Damage

    • Kaam karne ka samaye: 40 ke jagah par 30 seconds
    • Cooldown: 60 Seconds
  • Speed Boost

    • Active time: 40 ke jagah par 30 seconds
    • Cooldown: 60 Seconds
  • Mine

    • Damage: Koi badlaav nahi
    • Cooldown: 45 Seconds

​Aur inn sab badlaavon ke alawa, unn 48 ghanto ke dohran aap kisi bhi battle mein ghusne ke sath hi sath supplies ka vyavahar nahi kar pa rahe the. Aapko 20 seconds tak intezar karna tha, bas uske baad hi aap teeno supplies ka ek sath istemal kar sakte the, kyonki Supplies ke cooldowns ek-duje ke upar nirbhar nahi the.

 

Supply experiement ke liye 3:01 tak skip karen.

 

Iss poore system ki ek jhalak aapne pehle se hi dekh rakkhi hogi agar aap Tanki X khel chuke hain, haal filhal mein. Humare abhi waale supplies ke vyavahar ke system mein kuch kamiyan hain, jaise ki agar aapke paas dher saare supplies hain, aur aap har waqt unme se ek ka istemal karte reh sakte hain, to aapke liye jeetna, aur maze karna koi badi baat nahi hain. Lekin wo, jo supplies ko har samaye khareed nahi sakte aur jinke paas wo kaafi matra mein nahi hain, unhe kaafi takleefein jhelni padti hain, aur unka iss khel mein maza karna mushkil ho jata hai.

 

Inhi baaton ko dhyaan mein rakhte huye humare developers ne ye siddhant liya ki unhe iss maamle mein sochna chahiye, aur uchit kaarya karna chahiye. Isiliye, unhone ye prayog karne ke faisla liya.

Iss prayog mein sabse anokhi baat ye thi, ki ye aapko saare supplies ko ek sath istemal karne to deta tha, lekin sath hi sath ye aapko uss 30 seconds ke baad ek kamzor, aasani se maare jaa sakne waala nishana bhi bana deta tha. Sabhi supplies ek saath upyog karne ke mauke to the, lekin aisa karne ke baad aap lagbhag ek minute ke baad hi DD ya DA ka upyog kar sakte the. Iss ke kaaran, poore battle mein sabse upyog kiye gaye Supplies ki maatra bhi kam thi.

 

Iss prayog ke 48 ghanto mein, supplies bas kuch 'dabane waale button' nahi reh gaye the.  Sahi samay par sahi Supply dabane se hi cooldowns se aap ko kam farak pad raha tha. Uss samaye ke dauran aapko unka soch samajhkar, halat ke mutabik aur bilkul sateek samay par istemal karna tha, jo ki itne kam samaye mein samajhna mushkil ho raha tha, ya shayad namumkin tha.

 

Haal mein hi ek livestream mein ne ye jataya tha ki iss prayog ke nateeje kuch acche nahi the, kyunki ek, ye bahot chote samaye tak hua tha, aur doosra iss takneek mein kaafi kamiya thi.

 

Isi ke saath, Semyon Strizhak, arthat inhone forum pe charcha ke liye kiye gaye topic par bhi iss prayog ke dohran apni rai likhi.

 

Main chal rahe prayog par adharit kuch shabd kehna chahunga. Pehle to dhyaan rahe ki agar humne iss prayog ko game mein lane ka nischay kiya to aapko battle purane Smart Cooldowns ke saath khelna ka option diya jayega. Aap ne dekha hoga ki humne PRO battle banane ke menu ko badla hai aur hum samay-samay par usmein badlaav karte rahenge. Ye sab Play button ki vajah se mumkin hai aur hum iss baar bhi waisa kar sakenge.

Ye prayog game mein laya jayega ya nahi iss prashn ka mein uttar 'nahi' aisa dunga agar hum supplies ke prayog ki vartamaan sthiti ko dekhein to. Aisa lagta hai ki nayi aur purani system ko ek saath upyog karne ka tareeka hona chahiye. Ek hi baar mein 2-3-4 ka upyog karna mazedaar hota hai, lekin wo Smart Cooldowns ke accha prabhav ko hata deta hai.

 

Prayog ke naye system se battle thoda bahut nishpaksh jaroor banata hai, lekin wo kai acchi cheezein le jata hai. Mujhe lagta hai ki kuch hafton baad ek aur prayog hoga, jab tak hum iss prayog se mile jaankari ka adhyayan karenge.

 

~ Semyon Strizhak, Tanki Online ke game developer

 

Iss prayog ne supplies ke jude huye har pahelu ko badal diya tha, unke istemal ka tareeka, unke kaam karne ka tareeka, unse bani hui khel ki chaal-chalan.. Sab kuch jaise badal sa gaya tha. Lekin inn sabhi cheezon mein ek aisi cheez thi, jo ki bilkul nahi badli thi, aur wo hai 'Supply Drops'. Supply Drops ke saath koi bhi fer badal nahi kiye gaye the, yaani ki agar aap drops ke saath supplies ka vyavahar karte to jiss supply ka aapne drop uthaya tha, uspar cooldown NAHI aa raha tha, yaani ki aap uska dobara, bina kisi deri ke istemaal kar sakte the. Aur isiliye, un 48 ghanto mein drops ki keemat bahot badh gayi thi, saare ke saare khel tab uspar nirbhar karte the, ki kaun drops ka uchit laabh utha sakega, aur kaun samay aur halaat ke hisaab se apni buddhi ka pradarshan dikha raha tha.

 

Iss prayog ke baare mein main bas itna hi kehna chahunga ki, mujhe iss prayog se huye badlaavon mein jhoonjhkar, aur unka saamna karke khelne ke ek naye tareeke ko jaankar bada maza aya. Iss prayog ke dohran, maano wo sabhi, jo kisi samaye par bas ek ke baad ek button dabakar sabko maar diya karte the, unki taakat ghat si gayi thi, aur kahin na kahin har khiladi ko ek samaanta ka ehsaas ho raha tha. Mujhe aisa pehli baar laga, ki ab mujhe apne har kaam ko dhyaan mein rakh kar, battle ke alag alag hisson ke haalat ka pata karne ke baad kisi supply ka istemal karna chahiye, aur jald baazi nahi karni chahiye. Lekin mujhe aisa ehsaas prayog ke ant ki taraf hua, jab sab kuch khatam hone waala tha.  :P

 

Main iss prayog ke baare mein bas itna hi kehna chahunga kyunki iski jhalak dekhne aur iske saath khelne ka mujhe upyukt samaye nahi mila, lekin aasha hai ki itna bhi aapke liye kam nahi hoga.  ;) 

 

 

Aasha hai ki ye padhne ke baad aapko iss chote se, lekin gambheer prayog ke baare mein kuch-kuch pata chala hoga. Hum iss prayog ke baare mein aapki raay lena chahenge, aur aapke nazariye se isse dekhna chahenge, kripaya apne man ki baat neeche post kariye..

 

vPSK3rw.png

mp4rsxW.pnghM5Vegh.png

Edited by Tofu
  • Like 3

Share this post


Link to post
Share on other sites

 Share

×
×
  • Create New...