Jump to content
EN
Play

Forum

[Ank 10] Kyun Mera Tank Sabse Badiya Hai


Recommended Posts

t2gYEx2.png

ji79Uuj.png

articlepic8.png

 

Su-swaagatam, aap sabhi ka swaagat hain hamare iss lekhan se sambandhit pratiyogita mein. Ye pratiyogita khaas hain kyunki ismein aap apne priy combo ke baare mein likhenge aur yuddhbhoomi par uske khoobi, mazbooti aur faydon ka varnan karenge.

 

 

Hamare sabke priy combo hain, adhiktar logon ke liye XP/BP aur baaki logon ke liye anya har roz ke saadharan (bina format ke) battles mein se combo. Iss pratiyogita mein aapko bataana hain ki kyun aapka combo sabse badiya hain, sabhi vastivik muddo ki charcha kar ke. Ek udaharan niche likha hua hain.

 

 

Turret: Smoky

Hull: Mammoth

Module: Lion T-A

 

Khaasiyat/Visheshta

 

Smoky-Mammoth ek bahot balwaan combo hai. Mammoth ke kaafi jyada HP aur weight aur Smoky ke bahumukhi roop ki vajah se aap keh sakte hain ki Smoky-Mammoth kisi bhi map mein dushmano ke khilaaf ek bhayankar sankat ke swaroop mein khada ho sakta hai. Ye chhote maps mein toh accha pradarshan karta hi hai parantu bade maps mein bhi ye base mein camper ki tarah khel kar rakshak ki bhoomika nibha sakta hai.

 

Ye combo CTF mode mein flag par baith kar dushmano ko flag lene se acche se rok sakta hai. Iske critical shot ke saath ye camp kar rahe Railguns aur Shafts ko door se haani pahuncha sakta hai. Iska prati-second damage saadharan hai lekin ye phir kisi bhi turret ka saamna kar sakta hai aur jeet bhi sakta hai. Apne dhakelne ke bal se ye dushmano ki pragati par rukavat la sakta hai. Agar koi chhote range ke turret istemaal karne waale dushman iske nazdik aaye toh pir iska Lion T-A module iski madad karega. Hammer, Firebird aur Twins se suraksha milne se isse piche se war karne waale bhi itne safal nahi honge.

 

DM mode mein ye aasani se pehle kuch sthaano mein se ek ho sakta hai. DM ke kisi bhi map ke kone se ya phir unchayi ke sthaan se poore map par shoot karke ye tabahi macha sakta hai. TDM mein bhi ye sahi chunaav hain kyonki TDM battles mein base mein hi raho toh bhi koi dikkat nahi hoti aur iske paas utna HP bhi hai. CP mode mein ye team ne capture kiya hua point kaafi badiya tareeke se suraksheet rakh sakta hai.

 

 

Niyam

  • Issi format se aap iss topic pa apne hisaab se apne manpasand combo ke baare mein likhiye.
  • Aapko sirf kisi ek combo ki visheshtaon ka varnan karna hai. Agar aapne ek se jyada combo par likha toh aapka antim lekh hi sweekar kiya jayega.
  • Kripaya acchi, shuddh Hindi ka istemaal karein aur acchi formatting bhi chunein. Images ka upyog bhi aap kar sakte hain, agar aapko lagta hai ki unse aap ka lekh poorna lagega.
  • Aap ka varnan kam se kam 250 shabdon ka hona chahiye. Usse kam hua toh aapka lekh nahi sweekara jayega.K
  • Kisi bhi anya vyakti ya phir khiladi ke lekh/lekhon ki nakal karna sakt mana hai.
  • Aap Devanagari ya phir Latin script, kisi bhi tarah se likh sakte hain.
  • Kripaya aapka lekh spoiler ke andar rakh kar isi topic mein post kijiye.

Puraskaar:

 

Pehla sthaan - 30,000 z3p5.png
Doosra sthaan - 20,000 z3p5.png
Teesra sthaan - 15,000 z3p5.png

 

aur kuch anya lekhon ke liye 10,000 z3p5.png, agar jaroorat hui to.

 

 

Aapke paas kaafi jyada samay hain. Aap apne combo se sambandhit, diye gaye niyamon aur format ke anusar lekh hume 28th July tak bhej sakte hain. Ummeed hai kuch acche lekh padhne ki. Aap sabko shubhkamnayein!

 

ji79Uuj.png

jpOpxGr.png

  • Like 5

Share this post


Link to post
Share on other sites

KYU MERA TANK SABSE BADIYA HAI

 

Turret: Smoky (Precision targeting system Alteration ke sath)

Hull: Titan

Module: Emerald LGC

Paint: Emerald

 

smok.png

 

Tanki Online mein kai hulls, turrents, modules aur paints hai. Sabhi khiladiyo kai alag-alag pasandida combos hote hai. Wese to combo naksho par nirbhar karte hai magar mera pasandida combo hai Smoky aur Titan kyuki yahe combo sabhi naksho (chote, bade aur madhyam) mein upyogi aur balwan combo hai. Sath hi sath smoky k critical damage se vipakshi team k khiladiyo ko bijli ka jhatka lagte dekhne ka maja hi alag hai. :P

 

critical.png

 

 

Sabse phele baat karte hai hamare combo ke phele Nayak Smoky ki. Smoky ek esi turret hai jo sabhi prakar k naksho mein kaam mein li ja sakti hai, jaise ki:-

  1. Bade nakshe: Jaisa ki sabhi jante hai ki smoky ka critical damage dhuri k sath jayada nahi ghatata, isse wajaha se bade naksho mein smoky  bhut hi kargar turret hai.
  2. Madhyam nakshe: Madhyam naksho mein bhi smoky bhut badiya turret hai. Smoky apne bal prabhav (Impact force) s asani s vipakshi khiladi ka nisana bigad sakti hai sakti hai.
  3. Chote nakshe: Smoky mein lagatar marne ki shamta hai, wo bhi kisi bhi prakar ki swayam shati ( slef damage) k bina, isse wajaha s yhe turret chote naksho mein bhi prabhavi aur upyogi turret hai.

Iske alawa, Smoky ek asi turret hai jiske khilaf jayadatar khiladi  suraksha leke nahi rakhte, isse wajaha se smoky anye turrets se badiya hai.

 

 

Mere pasandida combo ka dusra nayak hai Titan. Sabhi jante hai Titan Tanki online ka sabse balwaan hull hai. Titan ek bharri hull hai. Titan ki gati sabhi bharri hulls (mammoth aur titan) mein sabse adhik hai jisse wajaha se yahe hull akraman aur bachav dono mein saksham hai.

Iske alawa apni banawat aur akar ki wajaha s ye hull gold pakadne mein bhi bahut kargar hai.

 

 

Iske baad hum baat karte hai Emerald legacy ki. Yahe module Thunder, Twins aur Railgun se bachave deta hai, jo ki isse khel mein sabse jayada upyog mien liye jate hai. Isse wajaha se yahe bhut hi upyogi aur prabhavsali module hai.

 

 

Ant mein bari ati hai paint ki, Emerald paint jisse hum Hindi mein “Panna” kehte hai bhut hi chamakdar aur khubsurat paint hai. Yahe paint mere pasandida combo ka abhinne ang hai.

 

 

Ab baat karte hai isse combo ki alag-alag prakar ke modes mein upyogite ki:-

  1. CTF: CTF mein yahe combo aakraman aur bachav dono mein prayog mein liya jaa sakta hai. Titan ki gati aur HP aakrman karne ke liye bhut badiya hai, wahi Smoky ki lagatar marne ki samta aur critical damage bachav karne mein bhi samane rup se upyogi hai. Isse prakar CTF mode mein yahe combo bhut badiya hai.
  2. CP: CP mode mein Titan se badiya koi aur hull nahi hai. Titan apni gati se bindu par jaldi se phuche jata hai aur apne HP ki wajaha s jaldi se phutata bhi nahi hai. iske sath yahe combo team dawara capture kiye hue points asani se surakshhit bhi rakh sakta hai.
  3. TDM: TDM mode mein akraman karne ke sath hi sath apna bachav karna aur dusmane s dhuri banaye rakhna bhi bhut hi jaruri hai aur isse kaam ke liye isse combo se badiya koi aur combo nahi hai.isse combo se aap vipakshi se dhuri banaye rakh kar lagatar maar sakte hai.
  4. DM: DM mode mein yahe combo dusre khiladiyo ki kills churane mein bhut badiya hai. Smoky ko jab Precision targeting system Alteration ke sath prayog karte hai to har shot se shati (damage) bhut adhik hoti hai jiski wajaha se dusre khiladiyo ki kills churana asan rehta hai.

 

Isse prakar se mera pasandida  combo bhut hi baidya, prabhavsali aur aprajaye hai.

Edited by tankerkuldeep
  • Like 4

Share this post


Link to post
Share on other sites

Turrent - Firebird (AgniPanchi)

Hull - Wasp (Hadda)

Module - Ursa T-A

 

 

Visheshtaye-

 

Firebird aur Wasp ek tez tarrar evam jyada se jyada khiladiyo ko jalaane wala combo hai. Iski raftaar se hum jyadatar Turrents se bach salte hai.

 

Firebird se hum ek saath kai khiladiyo ko dhul chata sakte hai. Hume kisi Tank ko maarne ke liye wahi khade reh kar maarte nahi rehena padta, hum use achha khasa nuksaan pahucha kar dusre tank ki taraf bhi badh sakte hai, kyuki baaki kaa kaam "Burning Damage" kar deta hai (Isiliye bhi mujhe Firebird itna pasand hai).

 

Wasp se khelne me maza kise nahi aata? Sabhi ko raftaar pasand hoti hai. Jitni der me koi Shaft ya Railgun reload kar paate hai utme me Wasp se hum kahi bhi chhup sakte hai. Maza to tab aata hai jab Wasp ke saath humne Nitrogen use kari ho aur humare peeche se Isida ya Freeze aa jaye, bichare hume pakad hi ni paate jyadatar. Unhe bhagaane me bahut maza ata hai.

 

Yeh Combo CTF, DM aur TDM me sabse jyada kaargar hai. CP me ye bohot "Experience" haasil kar sakta hai par CTF, DM YA TDM jitna nahi.

 

CTF me iski tez raftaar se Jhanda churaana aasan ho jata hai, CTF Battles me Wasp hi jyadatar Jhande Capture karte hai.

 

DM aur TDM me is combo ka koi jawab nahi. Ye khiladiyon ko ese maarta hai jese Rajnikant gundo ko. Kai khiladiyon ko ek saath. Itne saare khiladiyon ko ek saath maarne ki kshamta ki wajah se yeh combo jyadatar pehela sthaan haasil karne me kamiyab hota hai, aur maza tab aata hai jab "Swarn-Dibba" girta hai, "Dugna Nuksaan" leke saare khiladiyo ko ek saath maarne ke baad "Swarn-Dibba" asani se mil jata hai.

 

Is combo se khelne me maza to bohot ata hai, aur Tanki Online ek khel hai to jis combo se jyada maza aye wo hi sabse achha combo hai. Kyuki khel me maza ana chahiye, Jeet Haar to asal zindagi me mayene rakhti hai.

 

Jai Hind.

  • Like 3

Share this post


Link to post
Share on other sites

Turrent - Hammer

Hull - Dictator

Module - Swash

 

 

 

Ye combo bohot shaktishali, ucha, evam madhyam gati wala combo hai, mujhe jyadatar madhyam evem choti battle khelne me maza aata hai jiske liye ye sabse badhiya combo hai.

 

CTF- Ye combo CTF me achha pradarshan karta hai. Agar apna Flag dushmano ke paas ho to ye combo unka Flag bohot samay tak apne paas surak**** rakh sakta hai. Iski jyada nuksaan seh paane ki shamta se Dushmano ka Flag iske paas surak**** reheta hai. Hammer dushmano ko bohot jyada nuksaan pahuchane me kaabil hai or wo bhi kam reload samay me.

 

CP- Iske jyada nuksaan seh paane ka fayeda CP me or jyada kaam aata. Jab kayi saare Tanks ek saath jhund bana kar Point ke paas ya us par khade hote hai or ladte jhagadte hai, tab iska balshali Dictator bahut der tak tika reheta hai or Hammer kayi Tanks ko ek saath ghayal karne ya maarne me lag jaata hai.

 

DM/TDM- Is combo me Hammer ki jyada nuksaan pachuchane ki shamta se ye combo DM ya TDM ke bahut hi uttam pradharshan karta hai. Hammer "Kills" chori karne ke liye bhi jana jaata hai. Jab do Tanks apas me lad rahe ho to dono ko ek-ek Shot marne se hi dono Tanks me Dhamaka ko jata hai,or wo mar jaate hai.

 

Parkour- Ye combo Parkour me bhi bahut UPyogi saabit hota hai. Hammer Tanks ko hawa me uchhalne me maahir hai or Hammer ke Tanki Online me aane ke baad se hi ise Parkour ka sabse badhiya Turrent mana jata hai.

 

Goldbox- Ek cheez hai Tanki Online me, Sabhi ko pasand hai, sabhi marte hai uske liye, hum sabhi ko chahiye hi chahiye or hum "Admin" ko iske liye bahut tang karte hai (jabki admin ka isse koi lena dena hi nahi hai)

Batao wo kya hai? Sahi pehechana. Goldbox.

Ye Combo Gold box pakadne ke liye bahut hi badhiya hai. Dictator ka ucha aakaar, Hammer ka dusre Tanks ko paltana ya girana, ye sabhi ise Gold pakadne ke liye achha combo banati hai.

 

Dhayawaad. ❤

  • Like 2

Share this post


Link to post
Share on other sites

Meri Entry (Kripa karke bataye ki yeh sahi hai ya nhi) [approx.448 words]

                                                      Kyun Mera Tank Sabse Badiya Hai

Tanki ka vishwa aapko kai vikalp deta hai jinmein se aap apna man pasand tank chun sakte hain.Vaise to koi bhi tanker ek jagah nahi rehta par fir bhi har kisi ka koi na koi manpasand , priya combo ban hi jata hai.Isi tarah mera priya combo hai – Riconet . Ji aapne sahi pehchana Ricochet aur Hornet M2 ka adbhud mel.

Nimanlikhit shabdon mein main apne is pasandeeda combo ki khaasiyat ka spasht roop sein varnan karne ki poori koshish karoonga.


Turret-Ricochet M2
Hull- Hornet M2

 

rufu1j4.jpg

Ricochet

-Ricochet ek aisa turret hai jiski reload time bahut kam hai aur iski vajah se ise istemaal karne ke liye jyada kushalta ki jaroorat nahi padti. Aap dham dhama dham marte reh sakte ho.Iski yeh baat mujhe bahut acchi lagti hai.

- Iski sooraj jaisi chamakti goli aapke dushman ko aise padti hai ki voh buri tarah se ghayal ho jata hai.Badi goli ki vajah se nishana chootne ka dar bhi kam ho jata hai.

-Aur to aur,iski visheshta ,jo ki iske naam mein pratyaksh hai, ki iski goliyan deewaron aadi ko takrakar laut jati hai jiski vajah se aap chhup ke bhi doosron ko mar sakte hai.

-Iski goliyon ka ‘Impact force’ doosron ka nishana kharab kar deta hai.

-Yeh apne bhai Twins ki tarah tedhe gir jane se fas nahi jata par apni goliyon ki shakti se vaapas khada ho jata hai.

-Iski ek aur baat jo mujhe acchi lagti hai ki yeh door khelne ke saath saath paas khelne mein bhi bahut kushal hai kyunki pass aane se yeh khud ko nuksan nahi pahunchata.

- Iski yeh visheshtayen sab jagah kaam aati hai chahe vo DM mein logon ko maarna ho, CP mein thaat ke saath kabja karna ho ya fir CTF mein jhanda chura ke bhagna ho.

Hornet

-Combo ka doosra ang, yani ki Hornet bhi apni tez gati aur samanjanak suraksha se mere tank ko uski jagah deta hai.

-Hornet mere tank ko sundar banata hai. Keval baahar se hi nahi par pardarshan mein bhi.

-Yeh itna tez bhaagta hai ki jhandon ko churana to iska man pasandeeda kaam hai.

-Iski lambi banawat ise girne se bachati hai aur isiliye main chote chote pahadon se kood paata hai vo bhi bina gati kam kare.


In dono ka mera priya hone ki ek badi vajah hai ki mere garage mein yeh dono hi M2 ke pad ke hain.
Ricochet apne sateek nishanon se aur hornet apni tej gati se mere tank ko niraala aur anokha banate hai . Atah yeh apne aap mein ek uttam tank hai jo apni baahri aur androoni sundarta se sabko ashcharya chakit kar deta hai.

 

Edited by Snootera
  • Like 1

Share this post


Link to post
Share on other sites

My entry :)

 

 

 

Screenshot_7.jpg

 

 

Turret    :-  Hammer

Hull        :-  Viking

Module  :-  Emerald LGC

 

Tanki online mey annek prakar key hull aur turret hai sab ki apni apni khubiya aur kamiya hai. Koi turrent lambi duri tak maar kar sakthe  hai  par aamne samne wali dwand mey maar kha jata hai  koi 1 he vaar mey 1 se jada dushmano  dhool chata sakta par sath hi sath khud ko bhi ghayal  kar bethata  hai  par  ek combitation  asa hai jo ki ye sab kam badi aaram se kar sakta hai vo bhi badi aasani se bhina kuch jada khud ko nuksan pahuchaye aur vo hai hammer - Viking ki jodi.

 

Phele ate hai Hammer par. Hammer meri pheli pasand ku bana iske teen karan hai phela mujhe chotte aur madhyam map mey khelna pssand hai dusra hammer ki marak shamta bhut adhik hai aur tisra aur sabse pramukh karan hai koi hammer key khilaf protection ka upyog nhi karta. Ye hi karan that ki mera sab se phela M4 turret hammer hi bana  aur fir hammer alteration ane key baad to  ware niyare hogye. Ab to double damage key sath to 1 hi vaar mey hornet aur wasp jase hull ka to kam tamam aur baki sab hull 2 waar mey khatam karna mere baaye haat ka khel hai aur fir hammer ka impact force itna hai ki mammoth jase hull ki bhi disha bada de.

 

Dosto tanki online asa khel hai ki bina ache hull key aap kuch bhi nhi kar sakte ye bhut jaroori hai ki aap apne hull ka chayan apne prakartik khel key anusar kare. Mujhe apne base mey rehne key bajaye aakramak khel jada pasand hai aur doosmano ka flag ya doosmano ka marne mey jada mja ata hai yehi karana tha ki mne apni sabse pheli M3 Kit Jackhammer hi kharadi aur uske baad to sab itihaas hai. Viking sach mey ek bhut damdar hull hai iski gati aur iskia  arrmor ise baki sab hull se alag karta hai. Aur viking  ka bakhubi sath deti hai iski uchai(hight). Uchai kam hone key karan ye aaram se choop key ghaat laga kar bharpur waar karna sambhav bna deta hai.

 

Jackhammer kit key sath mujhe hammer aur Viking to mile par meri tank ki kammi puri ki Emerald LGC ne. Emerald LGC thunder twins aur railgun se bachav karta hai. Dosto ye tinno hi turrent hi tanki online key sab se aam turret hai, too inse bachav bhut jaroori hai.

 

Mere tank ka maanpasnad sikkar hai wasp aur hornet par madhyam hull wale tankaro ki bhi kher nhi.

 

CTF mode mey main chahey to badi aaram se apne base mey reh kar flag ka bachav kar sakta hu aur ya  sath kay sath doosmano kay flag ko la bhi sakta hu aur agar jarrurat padi to doosmano se apna flag lane ki bhi shamta rakhta hu.  Aakhir 2160 ka damage karne wala ek waar(double damage key sath) aur fir kini hi shamta wale 4 aur waar kon jheel sakta hai bhala.

 

DM mode mey bhi mera tank aaram se 30-35 kill kar sakta hai aur agar mera sikar hornet aur wasp ho to ye sankhya 50 tak bhi ja sakti hai :P

 

CP mode mey bhi ye bada kargar hai aur point key pass camp kar rhe dooshman tankaro ko bhi maar bhaga sakta hai.

 

TDM mey mera tank itna kargar nhi hai kuski TDM mey sab camp karna pasad karte hai to khule mey apna tank le jana aatamhatya key brabar hai.

 

Agar koi mujhse puchega to mey ye hu kahuga ki hammer-Viking hi le aur khel ka aanand le.

 

 

 

Edited by KILL_BILL_CHAUHAN

Share this post


Link to post
Share on other sites

I want to send my entry too... I was really busy aur college mein tests bhi shuru ho gaye the.... pls reply and clarify

Edited by MJROCKS05

Share this post


Link to post
Share on other sites

Can we still send entries?

 

I want to send my entry too... I was really busy aur college mein tests bhi shuru ho gaye the.... pls reply and clarify

You can't since u have already passed the due date I would say.

Share this post


Link to post
Share on other sites

Kisi bhi prakar ka lekh nahi swikara jayega kyuki contest ki anthim tithi nikal chuki hai.

Aur ummid hai contest ki date ko bhadaya nahi jayega kyuki paryapt matra mein lkeh aa chuke hai...

  • Like 2

Share this post


Link to post
Share on other sites

 Share

×
×
  • Create New...