Jump to content
EN
Play

Forum

[Ank 9] Dus XP/BP ke Jokhim-bhare Pal


Recommended Posts

t2gYEx2.png

ji79Uuj.png

dus92.png

 

Railgun. Wasp. Hornet. Teen cheezein, itna saral? Phir bhi itna anokha aur romaanchak. Yahi hai XP/BP - jiske sabhi anubhavi khiladi iski tareef hi karenge, kyonki ye format hi aisa hai. XP/BP ke har ek khel mein shayad kuch ine-gine kshan honge jismein aapko aapka dimaag lagakar aur apni shakti aur yukti ke saath na khelna pade. Shayad honge hi nahi. Har ek pal kuch bhi ho sakta hai aisa furtila ye khel hai.

Kuch bhi ho sake, aise khel mein aise kai pal aapke saamne aayenge jinmein aapko kathinayi ho, jinmein aapke vichar karne ki shakti ki jaanch ho, jinmein aapke kushalta ki pariksha ho. Yahi hai wo jokhim-bhare pal jinmein aap maut ke aur vijay ke theek beech mein khade rehte ho aur ek chutki mein sikka palatkar kisi ek baju par girte dekhte ho. Kya aap inn sthitiyon mein vijeta banke nikal aate ho?

1) Kinaare ka Yuddh

Aapne iss prakar ki sthiti Sandbox mein jaroor dekhi hogi, upri ilaake ke charo taraf jo kinaare hain vahi. Ye sthiti shayad har roz ke khel mein itni saamanya hai ki ek baar to iss sthiti ke hal V-Log ke Pro's Advice vibhaag bataye gaye the. Aisi sthiti aap Sandbox aur kai anya maps mein payenge.


dus2.png

 

Kinaare ke bagal mein khade ho kar niche waala tank auto-aim ki sahayta lekar apna hull piche ki taraf ucchla kar shot lagata hai aur doosri taraf upar khade hua tank niche ki taraf jhuk kar apna shot lagane ka prayas karta hai. Dono tanks ke liye ye sthiti jokhim-bhari hoti hai. Niche waale tank ke shot ka samay mahatvapoorna hota hai. Upar waale tank ko doosre tank ke shot se bach kar rehna hota hai kyonki uske hull ko jhatka lagne se uska shot deflect hone ki sambhavna hoti hai.

2) Chhipne ka Khel

Aksar aap apne team ke rakshak ki bhoomika nibhate honge. Kabhi kabhi aisi sthiti paida hoti hai ki battle ke antargat chhote battles taiyar ho jaata hai. Jaise ki aap, apne team ke rakshak camper, aur enemy ke base mein se shoot karne waala unka rakshak, inke beech mein chalti jugalbandi. Jyadatar log kahenge ki aise battles se door rahein, kyonki inmein ladhne se aapka khel ke dhyeya se niyantran hat sakta hai aur kai baar dushman ye sthiti jaan-bujh kar laate hain taaki ve khel ki baazi palat sakein.


dus91.png

 

Lekin, aise palon ko bhi sikke jaise do baju hote hain. Maan lo ki aap Parma mein CTF khel rahe ho aur aisi hi ek campers ki jugalbandi mein atke ho. Aap aasani se piche hat kar jyada suraksheet jagah mein apna kaam kar sakte ho lekin kuch log sochenge ki dushman bhi to yahi sthiti mein hai. Agar use humne jokhim le kar maar dala to dushmano ka base par hamla karne hamari khudki team ke liye aasaan hoga. Kisi bhi taraf se nirnay lo, par iss tarah ki camping mein kathin sthitiyan to hoti hi hain.

3) Milliseconds ka Farak

Kai baar aisa hota hai ki aapko pata hai ki dushman cover se bahar kisi disha se jane waala hai lekin iss sthiti mein bhi kuch kathinayian aa jaati hain. Agar wo bahar jayega, to kab jayega aur uss hisaab se hum kam Railgun ka power-up shuru karein ya phir agar usne hume dekh liya ho to wo cover se bahar aate waqt hi shoot karega ya phir thoda bahar aake phir andar chala jayega ye sab dhyaan mein lena padta hai.


dus8.png

 

Aur to aur, agar, wo cover se bahar aakar doosre suraksheet sthaan ke disha mein ja raha ho to aapke shot ka samay atirikt mahatva rakhta hai. Agar ek millisecond idhar-udhar ho aur aap ke power-up karne mein vilamb ho to aapka dushman bach jaata hai aur aapke pareshaniyon mein ek bekaar gaye shot ka vazan adhik ho jaata hai.

4) Dushman ke Drishtikon se

Aksar nazarandaaz kiya gaya mudda. Dushman ke drishtikon se sthitiyon ko dekhne se anek yuktiyan prakat hoti hai. Dushman ki aakhon se dekhne ka prayas kiya to kai baar aap unse bach sakte ho. Dushman ke shots ka vistaar kidhar se kidhar tak aa sakte hain isko dhyaan mein rakh kar apne tank ka sthaan badla ja sakta hai. Lekin agar aapka dhyaan doosri taraf ho aur tabhi dushman apni jagah badle tab aati hai kathinayi.


dus4.png

 

Jaise ki aap Sandbox mein kone ke idhar dushman se jab saamna karne jaate ho tab yahi sthiti prakat hoti hai. Dushman ki taraf se dekho to pata chalta hai ki kitne aage tak wo tumhe dekh sakta hai. Waise hi agar aap upar diye gaye chitra jaise Zone mein apne flag ki taraf mudkar khade ho aur udhar hamla karne waale dushmano se nipat rahe ho to kai positions mein aapko doosre dushman maar sakte hain. Usi tarah, dushman ke drishtikon se vichar karna chahiye jab aap flag ko apne team ke khiladi ko F button dabake de rahe ho tab. Jokhim waali sthiti paida ho sakti hai agar aap aise sthaan par flag rakh do jahan aapke team ka khiladi aane par dushmano ke shots ki barsaat aa jaye.

5) Saral lekin Kathin


Sach mein, kai baar aisa hota jaata hai ki seedhe saadhe shots, jinko aapne practice bhi kiya ho wo aap gadbad kar dete hain. Jaise ye Zone ka ilaaka jidhar seedha shot marne mein main asafal raha. Kai anya maps mein aisi sthitiyan hoti hain jahan aapka pata hone waala shot bhi aap gadbad kar dete hain aur iski vajah hai battle ki teevrata, jiske kaaran aap props mein atak jaate hain ya phir kisi se takra jaate hain.


dus5.png

 

6) Andaaz aur Anuman

Aapne iss prakar ke jokhim se bhare palon se nipatna Sandbox mein shayad seekh liya hoga. Jaise ki yaha, jab dushman ka tank mere jane ke theek baad spawn ho gaya aur main samay mein doosri disha se nahi ja paya. Aise waqt aap agar full health na ho to museebat ho sakti hai. Agar ek se jyada tanks spawn hue aur aapke piche lag gaye, to aur bhi museebat. Aise sthitiyon ko roka nahi ja sakta aur isiliye ye romaanchak hain.


dus3.png



Aise samay aap ek to dushman ke shot ko lekar acchi jagah par jakar uttar de sakte hain ya phir dushman kab power up karega iska anuman lagakar khud shot le sakte hain jisse uska nishaana kharaab ho.

7) Antim Upay


Kitna bhi alag tarah ka khel ho to bhi aise kuch pal aap aasmate ho jinmein aapke dushman aapko gher dete hain aur aap kuch bhi nahi kar pate ho. Iss nirashajanak sthiti se bachne mein aap jaldbaazi mein galat tareeke se shots le sakte hain.

dus9.png


Aise waqt agar flag aapke paas saunpa hua ho to aapke upar aur bhi dabaav aa jaata hai. Flag ko lekar ek acchi jagah par marna, jidhar aapka mara hua tank aur aaju-baju ke props dushmano ko flag tak pahunchne se roke ye har baar aasaan nahi hota, isiliye ye sthiti bhi dus mein se ek hai.

8) Aage Badhne ka Adhikar, Kiska?


Iss prakar ke saamne shayad anya maps mein bhi kaafi jyada hote honge, lekin Garder mein niche ke chitra mein dikhaya gaya saamne mere hisaab se sabse mazedaar aur chunauti waalon mein se ek hai. Ye sthiti maano do rajaon ke tang raaste mein milne ki kahaani samaan lagta hai. Shresth khiladi ka hi doosre tank ko harakar aage jane ka adhikar hota hai. Aise hi anya maps ke ilaakon mein bhi ho sakta hai, jab ek khiladi camp kar raha ho aur samaantar par khade doosre tank ko bhi aage badhne se pehle camp karna pad raha ho.

 

dus6.png

9) Gharon ke Ird-gird

 

Tanki ke lagbhag har map mein vividh prakar aur aakaar ke ghar rakhe gaye hain. Yadi ismein koi rehta hai ya nahi ye kisi bata nahi lekin inke aage-piche ghoomte aur ladhte khiladi to bahot jyada sankhya mein hote hain. XP/BP mein kai campers gharon ko pasand karte hain kyonki nasdik aaye dushmano se bhi inke sahayta se nipat liya ja sakta hai. Isiliye kaafi jyada ladhayi gharon ke aas-paas ho jaati hai.
 

dus7.png

 

Upar ke image mein ek udaharan hai, do tank ek-duje ko shoot karne mein ghar ke ird-gird ghoomte hain taaki unka shot dushman par lage aur dushman ka nishaana chook jaye. Iss tarah ka khel saamanya roop mein har battle mein nazar aata hai iski saralta ki vajah se. Aksar inn gharon ki suraksha ki vajah se idhar campers maujood hote hain aur inse nipatne ke liye aaye dushman inhe ek jokhim-bhare ilaaka bana dete hain.

10) Torque ki Madad?


Mera aakhri aur kaafi prachalit pal. Torque matlab tank ko ghoomane waala wo ghatak jisse sabhi XP/BP khiladi dushmano ke khiladi ke tank ko muda dene ki koshish karte hai taaki dushmano ke nishaana bigad jayein. Torque ki madad sabhi sthitiyon mein ho jaati hai aur ye sabhi khiladiyon ka saathi hai jo mushkil se mushkil ghadi mein bhi aapki jeet pakki kar sakta hai.

 

Iski avashyakta to hai lekin gaarantee koi nahi hai. Agar aap iski madad ke bharose par kaam karte rahe to ye aapko daga bhi de sakta hai aur isiliye iske istemaal mein bhi ek had tak jokhim hai hi. Dushman ki chaal, dushman ki map mein jagah, aapke shot ki disha aur anya cheezon ki vajah se manchaha parinaam na ho to aap, agar ispar vishwas rakh kar saavdhaan nahi hon, to museebat aa sakti hai.



Kya aap ko iss bar ki dus cheezein pasand aayi? Hum kya agle Ank mein bhi iss tarah ka lekh likhein? Agar haan to kis vishay par aap isse dekhna chahenge? Aapki pratikriya niche likhe dijiye, dhanyavaad!

 

ji79Uuj.png

yx3eKq2.png

Edited by Zenyth
  • Like 6

Share this post


Link to post
Share on other sites

1st :3

 

How to participate???

 

lol, now dont make fun of me if i didnt get it right :x

 

After all hindi is a hard language

Edited by Indian_Tanker

Share this post


Link to post
Share on other sites

1st :3

 

How to participate???

 

lol, now dont make fun of me if i didnt get it right :x

 

After all hindi is a hard language

Participate in what?

Share this post


Link to post
Share on other sites

1st :3

 

How to participate???

 

lol, now dont make fun of me if i didnt get it right :x

 

After all hindi is a hard language

It aint a contest

  • Like 2

Share this post


Link to post
Share on other sites

1st :3

 

How to participate???

 

lol, now dont make fun of me if i didnt get it right :x

 

After all hindi is a hard language

They are tips so that by the time you play xp / bp know how to play

Edited by Mr.Meowth
Arranged in order. Quote, then response.

Share this post


Link to post
Share on other sites

Nahi yeh XP/BP ke liye tips nahi hain, sirf dus prakar ke XP/BP ke kathin situations hain. :p

Share this post


Link to post
Share on other sites

 Share

×
×
  • Create New...