Jump to content
EN
Play

Forum

[Ank 4] Recruit se Leke Legends Tak ka Safar


Recommended Posts

rRxHrKd.png7FbtakZ.png

QqRrpve.png

 

Crystals kamane ka sahi tareeke aur crystals ki bachat.. Tanki Online game mein ek hi tarah ki mudra hain aur wo kai tareekon se paye ja sakte hain, jaise battles khelne se, pratiyogitaon se, saptahik events se, asli paise se khareed ke, adi. Iss lekh mein hum kaise khelne se sahi tareeke se kama saktey hain wo dekhenge, Recruit se Legend tak ke khiladiyon ke liye!

 


 

Crystals kamane ke tarikey aapke shreni pe nirbhar karte hain. Shuruvat karte hain Recruit se leke Sergeant-Major tak ke ranks se. Iss samay mein crystals ka acchi tarah se upyog karna agey jaake faydemand hota hain, lekin jyada crystals kaise paye jaye?

 

Iss shreni ke dohran aapke liye sabse accha game mode Control Points (CP) hota hain. Control Point me apka lakshya saare points apni team ke liye kabja kar ke rakhne ka hota hain, ye aap un points ke paas jake kar sakte ho, haar bar koi point ek team se doosri point ke pass jata hain tab battle fund badhta hain, Ye badhna players kee sankhya pe nirbhar hota hain. Jaise jyada khiladi, jyada crystals badhenge. 

 

300px-CP_preview2.jpg

 

Lekin dhyan rakhey, samney waali team mein bhi utne log hote hain jitne aapke team mein hote hain, iss vajah se aapke khelne ke anubhav aur tareeke ka battle ke parinaam pe asar padta hai. Hamesha CP ko lene ke liye hi dushmano se war karein. Issey aap ka score badhiya rahega, aur fund ke dher se jyada crystals aap ko milenge. Ek hi CP par dhyaan rakhna bhi accha nahi, agar pehle se koi CP ki raksha kar raha ho, to doosri jagaho ki disha mein jao. CP mode ke liye Polygon, Arena, Sandal, Brest aur anya maps apne andaaz ke anusar chunein.

 

Inn ranks mein bachat bahot jaroori hai. Jyada M0s lene ka mat sochiye. Ek ya do turrets aur ek hi hull kaafi hain. Aap Firebird M1 jaise jaldi unlock hone waale M1s ko khareed sakte hain, lekin dhyaan rahe ki agar aap inhe M2 tak MU nahi karna chahte to aap baaki ke M1s mein se koi khareedein.

 


 

Ab hum dekhnge Warrant Officer 1 se leke Warrant officer 5 ke ranks. Iss samay me apke pass M1/M2 khareed ne ki anumati hoti hain, lekin kaise khareede jay aur konsa khareeda jay? Iss samay crystals ki jaroorat bhi badh jati hain, kyunki jyada tar log M1/M2 tak upgrade kar chuke hote hain, to unke samney khelna mushkil hota hain.

 

Isliye aapke liye Capture the Flag khelna jaroori hain, jis mein aapka lakshya apne jhande ko bacha ke samney waali team ke jhande ko leke apne jhande pe rakhna hota hain. Yaad rakhey capture tabhi ginta hai jab aapka ka flag uski jaghe oe ho. Isliye is mode me khelte samay aapko apne jhande ki bhi nigrani rakhni hogi. Iss mode me har kill aur har flag capture pe fund badhta hain, jaisehi control points me jyada player pe zyada fund, waise hi capture the flag mein bhi hota hain.

 

300px-CTF_preview1.jpg

 

CTF mein flag ki raksha ya phir dushmano ke flag par hamla sochein. Jyada se jyada dushman ke ilaake par baajuon se golibaari karein. Iske alawa kuch bhi karne se team ko haani pahunchti hain. Nayi nayi yuktiyon ki khoj karein aur man mein yojna rakhkar khelein. Aap ki yuddhneeti se aap ke team ko labh ho sakta hain, aur issey team jeet sakti hain aur aap bhi crystals. Aap ke khelne ki jagah aur bhoomika ke anusar hi hull aur turret aur protection module bhi chunein. CTF ke liye mazedaar maps mein hai Rio, Sandbox, Kungur, Noise, Highland, adi.

 

125px-Kit_siberian_small.png125px-Kit_matrix_small.png125px-Kit_stinger_small.png

 

Apne liye crystals kaise bachay jaye - Iss dohran sabh chahte hain ke wo kits khareedey, iske liye crystals ka sahi istemaal jaroori hain. Aap bina Tanki Online ke promotional sales ke bina koi upgrades na kare. Sales jyada tar garmi ki chuttiyan, naye saal, Halloween aur Tanker's Day ke liye laye jaate hain. Konsi kit khareedi jaye? Ye bilkul aap pe nirbhar hota hain, kits aap apne khelne ke dhang pe adharit khareed le, jaise- agar aap attack khelte hain to aap ke liye Predator, Fighter, Boar adi upyukt honge. Waise hi agar aap defense khelte hain to aap ko Harvester, Siberian, adi kaam aayenge.

 


 

Ab hum Third Lieutenant se Colonel tak dekhenge,

 

Iss samay me apke paas Generalissimo aur aas-paas ke ranks ke sath khelne ki anumati hoti hain, lekin accha hoga ki aap apne rank se 2-3 rank upar ke log ke saath hi bhaag le. Ye isliye kyunki Generalissimos ke pass M4 equipment hoti hain, jo aapke M1/M2 k liye bhaari padti hain. Iss liye apne aap se 2-3 rank upar se hi khelna chuney. Varna aap M3s ke saath mukaabla karke apne keemti supplies bhi kho jayenge. Supplies ka prabhavi roop se upyog karein, bekar mat jaane dein. 

 

Inventory_double_armor.pngInventory_mine.png

 

Iss samay aap ke pass adhiktar M2s khareedne ki anumati hoti hain, issliye iss samay mein teen se chaar M2s, kam se kam, hona jaroori hain. Apne liye sahi upkaran chunna bhi bahot jaroori hota hain, iska karan ye hain ki iss shreni se agey badh kar apke samney adhiktar log M3 waale upakaran istamal karte hain, isliye apne resistance aur damage ko balance rakhna jaroori hain. Agar aap ke paas pehle se ek ya do M2 combination aa chuke hain, to jyada M2s lene ke bajay M3s ke liye bachat karein, ya phir M2s ke liye MUs aur alterations khareed lein. Aap ke shresht combinations par accha hona jaroori hai.

 

Attack aur midfield ke liye aapke liye Viking M2 badhiya rehta hain, Viking acchi health ke sath acchi speed (sab medium hulls se jyada) bhi deta hain. M2s mein Titan sabse accha heavy hull hain. Issey khelte samay dushmano ko dhakele aur jyada health ka poora istemaal kare. M2 Wasp dono light hulls mein se accha waala hain. Iske tez gati aur choosti ka upyog ho aisi bhoomika mein khelein.

 

Attack ke liye, mid-range hathiyaar aur short-range hathiyaar, jaise Smoky, Hammer, Firebird, Ricochet, Twins kaam atey hain. Agar aapke hathiyaaro ke pass impact force aur recoil ho, iska matlab jab aap ye hathiyaar se shoot karenge taab apke hull ke khisak ne ka mauka jyada hota hain, lekin ye sare hathiyaar agar sahi tareke se istamaal kiye jay to samnewale khiladiyo ke hull ko bhi hila sakte hain jo unke hathiyaar ke nishane ko bigad dete hain. Freeze, Shaft, Smoky, Vulcan, Twins ko raksha ke liye istemaal karein. Apne hull ke vajan aur turret ke visheshta ka sahi upyog karein. Agar aap Thunder, Isida, Railgun ya Striker ka upyog karte hain, toh inmein se dono mein madad karein, map ke baajuo se ya phir vishesh jagaho se.

 

300px-DM_preview.jpg

 

Battle mode ke liye CP ya DM upyogi hote hain, aap Control Points ke bare me to jaan gaye, chalo DM ke bare mein baat karte hain. Iss mode me sab apke dushman hote hain, jee haan yani koi aapko Isida leke heal nahi karne wala. Iss mode mein aap apne aapki sacchi shakti janenge. Isme jyada players ke sath khelne ki siphaarish hain kyuki zyada players hote hain to ek samay pe jyada kills hoti hain jo fund jaldi badh jaata hai. Sare modes ki tarah ant mein aap ke score dusro ke saath tulna karke uske hisab se crystals milte hain. Yani is mode me apka lakshy simple hain, sirf samne walo ko marna hota hain, jaise chahein marein lekin maar ke marna. Aur haan, kills bhi churaana. DM ke liye bahot saare maps uchit hote hain, aur DM ke maps mein bahot vividhata bhi dikhti hain.

 


 

Badhte houe Brigadier se General tak,

 

Iss samay aapke paas m3 kits khareedne ki anumati hoti hain, lekin hum dekhte hain kaise M3 khareede bina hum dushmano ke samney kaise jeeta jaye.

 

Iss samay me apke liya micro-upgrading karna jaroori hota hain. Micro-upgrading adhiktar mahanga hota hain, isliye aap micro upgrade jyada tar sales mein hi karein. Har hull/weapon mein 50 micro-upgrades hote hain, har ek upgrade pe apka hull ya hathiyaar thoda-thoda behtar banta hain, adhiktar tafavat 5-10 micro-upgrades se dikhti hain. Aap ke khelne ke tareeke anusar nishchit karein ki aap ko resistance jyada chahiye ya damage, aur usi tarah micro-upgrading shuru kijiye.

 

Probitva2.png

 

Aap apne hisaab se koi bhi battle khel sakte hain, lekin Brigadier sthan pe pahunchtey aapke paas XP/BP khelne ki sambhavnayein badh jati hain, XP/BP mane Rail-Hornet/Wasp, ye ek tarah ka format battle hai. Inn battles mein sab tank kareeb-kareeb samaan hi hote hain, aur iss liye aap ke Railgun khelne ki kushalta aur game mode ke gyaan peh bahot kuch nirbhar ho jaata hai. XP/BP battles khelne ke liye aap Sandbox, Parma, Red Alert, Osa jaise maps lein. Parkour ke saath XP/BP aur DR khelne ke liye aap ke paas PRO pass chahiye hota hai.

 


 

Akhir mein, Marshal Se leke Legends tak,

 

Marshal Rank pe kadam rakhte apke pass M3s khareedne ki anumati hoti hain, wo bhi bina koi kits ke, Is sthaan par phoch ke aap ke pass M3s hona jaroori hota hain, to aap apne calendar me dekh ke jaanle ki kab sales aane wale hain, aur jab aye tab yaad rakhey ki kam se kam ek M3 hull aur ek M3 weapon khareedey, aur agar aur crystals ho to protection module bhi. Sales ke liye pehle se crystals kama ke rakhein. Daily missions, daily mission chains ka bharpur istemaal karein.

 

Mission_4.png

 

Phir bhi, do aise tareeke hain, jo sabse shresth crystals kamaane ke tareeke hain...

 

Pehla: XP/BP. Inn battles ka ye fayda hota hain ki in battles mein na koi micro-upgrades hote hain, na koi asantulan hota hain, har ek tank ko marne ke liye 2 ya 3 shots ki jaroorat hoti hain. Adhiktar inn battles mein supplies bhi off hoti jissey apko koi nuksaan na ho, lekin battles me drops ka istamal kiya ja sakta hain. Iss format battle ke liye 100-CP Polygon ya 5-15 Flags Sanbox CTF khelna aviskari hain.

 

Doosra: Non-Format PRO Polygon CP ya phir Arena CP Firebird-Wasp. Agar aap ke pass XP/BP ke liye sahi equipment nahi hain, yaa aap sare hulls aur weapons ke sath khelna chahte ho to apke liye, Polygon CP Pro Battles sahi hain. Inn battles me adhiktar anubhavi pratiyogi hote hain, to apne aap ko sambhalna mushkil ho sakta hain, lekin shuruaat me sab ke saath aisa hota hain, dheere-dheere sab aasan ho jata hain. Inn battles me jatey samay dhyan rakhey ki ye battles jyada lambe chal sakte hain, isliye ya timer battles mein jaye ya phir apne khelne ke samak ke barabar point limit dekh ke hi join karein!

 


 

Bas itna hi. Asha hai ki aap ko mere iss lekh mein kuch seekhne ko mila ho. To aap ko kaisa laga mere crystals kamaane, crystals bachane aur yuddh mein awwal aane ke tareeke? Niche likhiye!

 

mp4rsxW.png

hM5Vegh.png

Edited by Tofu
  • Like 4

Share this post


Link to post
Share on other sites

Bohot hi badiya article hai

Ise padhke lag raha ki maine marshal tak jane ka rasta bilkul sahi chuna :D

Ek cheez aur include kardete jaise ki contest apne newspaper wale aur events jo ki roz hote ya har do din mai hote hain.

Logon ko batate ki inme bhi participate karke achche crystal kama sakte to users ko aur sahuliyat ho jati kuch extra crystal kamane ke liye

Share this post


Link to post
Share on other sites

 Share

×
×
  • Create New...