Jump to content
EN
Play

Forum

[Ank 4] Legend Rank ka Game par Prabhav


Recommended Posts

rRxHrKd.png7FbtakZ.png

cqlR7ds.png

 

 

 

Namaskar!

 

Aaj mai Dr.Tina aap logon ke liye pichle saal ke November mahine mein hamare game ke lokpriya update “Legend rank” ka vishleshan karungi. Usi ke saath laye gaye "Battle!" button ke prabhav par bhi thoda bataungi. 

 

 

Legend rank November ke ek V-Log mein jaahir kiya gaya tha. Kuch hi dino ke baad wo game mein laagu kiya gaya. Jo bhi khiladi Generalissimo rank ko paar kar ke 200,000 experience point kamaye the, usko turant ye Legend naamak rank milne waala tha. Legend ranks ne nirman ki gayi shreni anant hai. Aap Legend 1 ho sakte hai ya phir Legend 10, ya Legend 100 bhi.

 

Iss rank ka logo kaafi sundar hai, aur ek tanker ko apni mehnat se kamaye hue game experience ki yaad dilata hai. Iss rank ka ruby beech mai ke shaktishali tanker ki pehchan hai. Uss ruby ke baju mein chandi ki seema ek mazboot or samajhdhar tanker ki nishani hai. Iss prateek mein teen line dono taraf de gayi jo hame kisi pankhon ki yaad dilate hain. Iska bahari rup ke trikon ki tarah hai jo ek tanker ko apne upar garah rakhne ki sahanubhuti deta hai.

 

 

77Uthpn.png

 

Jiss tanker ke pass 1.6 million experience hota hai yeh rank uss tanker ko milti hai. Yeh rank har 200 000 experience par badhti hai. Udaharan ke liye agar kisi tanker ko Legend 2 rank 1.8 million experience par millegi. Har baar legend rank ko prapt karne par tanker ko 40 000 crystals milte hain. Aur jab kisi Legend ko maara jaata hai toh uske 9.9 crystals battle fund par judte hain. Jo log iss rank ko prapt karenge voh in-game battles sirf Legend rank ki bana sakte hain. Agar aapko kisi player ki legend rank level dekhne mai dilchaspi hai toh aapko uski profile par jana hoga aur aapko us player ki rank uske naam ke daayi aur milegi.

 

 

klSoQO6.png

 

Iss rank ne tankers ke andar naya jazba aur romanch paida kar diya hai. Ab tankers ke pass nayi rank ko leke kaafi utsah aur urja dikh rahi hai. Iska mukhya karan hai ki ab iss game ka koi ant hi nahi hai! Yeh game ab kabhi bhi "khatam" nahi hoga kisi bhi player ke liye. Pehle tankers ke paas Generalissimo rank ke baad utsah dheema ho jata tha lekin ab iss update ke karan logo ko iss game ko aur khelne ka man karta hai.

 

Isska ek aur fayda nazar aaya hai. Abh tankers "rank-up party" main Generalissimo ke baad bhi maze le sakte hain. Ab Generalissimo rank unki aakhri rank-up party nahi hogi. Iss wajah se tankers ko crystals kamane mai aasani aur apne M3 turret aur hulls ko M4 banane mai madad milegi. Aise anginat Generalissimos hain jinke paas jyada M3s nahi hai, unhe issey sabse jyada madad hogi.

 

Iss update se upar ki battles in rank range mai badlav aaya hai. Pehle Generelissimos Major rank tak apni battle banate sakte the. Lekin ab Legends apni battles Lieutenant Colonel rank tak bana sakte hain. Issey bahot Majors ko ab ek aur baar rank karna padega, apne Legend mitron ke saath khelne ke liye. RU1 server par bhi ab jyada se jyada format battles Lieutenant Colonel tak hote hain.

 

GebvJfR.png

 

Iss naye rank ke aarambh ke saath hi saath do aur bade update bhi aaye the. Unme se ek tha "Battle!" button ka aana. Battle button per click karne se aap koi bhi kramrahit (random) battles par pahunch jaate ho. Ye battle non-PRO battle hi hota hai, aur battle filters ke anusar hi milta hain. Issey aap login kar ke jald se jald koi battle join kar sakte hain. Battle dhoondne ki taqlif chali jaati hai, par aap ko kai baar Battle button click karne ke baad map ko dekhkar equipment badalni padti hai.

 

Nireekshan se bata chala hai ki Battle button ka aur bhi laabh hai. Agar aap ne gaur se dekha ho to inn dino battles vividh prakar ke bane ja rahe hain. Kolhoz, Solikamsk, Molotov aur bahot saare maps jinko pehle khiladi undekha karte the, wo achanak se maze se khele ja rahe hain!

 

mBY9BTO.png

 

Doosre update mein "Create Battle" ka button hataya gaya tha. Issey bhi thoda labh hi hua hai. Aaj kal lokpriya lekin eksure Polygon CP aur Noise CTF jaise battles kuch kam dikh rahe hain. Agar aap ko ye dono, ya fir koi alag prakar ke battles pasand aate hain, to aap PRO pass khareed kar inhe jaroor bana sakte hain. PRO battles bhi acchi maatra mein sabhi servers mein ab maujood hain, PRO pass ki keemat chhote ranks ke liye kam hone ki vajah se.

 

Ek aur chhote update mein 15-min ke battles ka "pause time limit" 2 minute kar diya gaya tha. Pehle ye limit 5 minute ki thi. Iss badlaav ki vajah se 'mults' ki kami mehsoos ho rahi hain har roz ke battles mein, jo jaroor ek accha badlaav hain!

 

 

Mujhe poora vishwas hai ki aapko bhi iss nayi rank ka anubhav aacha laga hoga. Aap bhi iss rank ka mazza uthaiye aur Tanki Online ka issi pyar dete jaiye. Dhanyawad! 

 

mp4rsxW.pnghM5Vegh.png

Edited by Tofu
  • Like 8

Share this post


Link to post
Share on other sites

As I have learned the art of empathy I know those who have worked hard to write or create something and present it to whole world, deep in their heart they have desire to get praised for their effort.

So i am here to fulfil the task :D

Lekh kafi vistrit hai aur legend rank ki visheshtayen sundar dhang se batayi gayin hai, legend rank ke logo ka warnan aur player ki khoobiyon ka jo comparison hai wo mujhe sabse pasand aya

  • Like 1

Share this post


Link to post
Share on other sites

As I have learned the art of empathy I know those who have worked hard to write or create something and present it to whole world, deep in their heart they have desire to get praised for their effort.

So i am here to fulfil the task :D

Lekh kafi vistrit hai aur legend rank ki visheshtayen sundar dhang se batayi gayin hai, legend rank ke logo ka warnan aur player ki khoobiyon ka jo comparison hai wo mujhe sabse pasand aya

Thanks :)

Share this post


Link to post
Share on other sites

 Share

×
×
  • Create New...