Jump to content
EN
Play

Forum

[Vishesh] Artillery Turret par Prathamik Vichar


Recommended Posts

wM8ECmK.png

GTkBhGM.png

hWP02gJ.png

 
Kuch saal pehle kiye gaye Vulcan aur Hammer inn turrets jaise hi ab Striker ke baad ek aur turret aane waala hai. Abhi ke liye issey "Artillery" iss naam se sambodhit kiya ja raha hai aur iski rachna par bahot charcha chal hi raha hai. Socha aap sab ko bhi hamare vichar likh kar dikhayein.
 



 
Mool Banavat
 
Artillery ek ranged weapon hai jo kuch hi dino mein Tanki ke turrets mein sama jayega. Jaise V-Logs mein bataya gaya hai, iske projectiles ko parabolic trajectory hogi. Artillery ki ye trajectory uske 'angle' aur di gayi 'velocity' bar nirbhar hogi. Yaani ki ye kitni unchayi par pahunch kar kitne door jayega ye do cheeze uske angle aur di gayi velocity se bata chalegi. Inn dono ki maatraye chunna aap ke haath mein hoga.
 

palmaria_l1.jpg'Palmaria' howitzer, jo dekha jaye to Artillery se kaafi samaan hai. (Credits - military-today.com)

 
Purane kaal mein iss tarah ke hathyaro ke badle gherabandi ke hathyaro ka upyog hota tha, aur inn mein bhi kai prakar the uss waqt - jaise ki trebuchet, mangonel, onager, ribault, ballista, adi. Iss tarah ke adhunik weapons jyadatar 3 prakar ke hote hain - cannon, howitzer aur mortar. Toph (cannon) flat trajectory ke saath shoot karte hain aur unke projectiles bhaari gole jaise hote hain. Inke barrels bhi kaafi lambe hote hain. Mortars ke barrels sabse chhote hote hain aur ye 'shells' shoot karte hain. Mortars ke trajectory unchi hoti hai, aur ye unche pahado ke upar se dushmano ko marne ke liye upyogi hote hain. Howitzer inn dono ke beech waale hote hain, inke barrels madhyam hote hain, aur trajectory bhi.
 
Artillery ke karya ki koi seema nahi hai, lekin mujhe lagta hai ki iski rachna ek howitzer se sabse milti-julti hai. Parantu, ye dhyaan rakhein ki ye toph aur mortar jaise bhi kaam kar sakega. Artillery ka barrel kaafi lamba hai, lekin iske barrel ka 'bore' thoda chhota lagta hai. Isiliye agar aap ne V-Log mein dekha hoga to iska shot bhi kam calibre ka lagta hai. Lambe barrel se durupyog bhi ho sakega, bata nahi.

 

xePe6pQ.png

M0 modification ki rachna

 
Artillery ke M0, M1, M2 aur M3 modifications ki rachna hume V-Log #123 mein dikhayi gayi thi. Agar dhyaan se dekho to dikhega ki sach much turret ka niche waale bhaag fix kiya hua lagta hai. Uske upar do unche khade component khade hain, jinke theek beech mein se Artillery ka barrel shuru hota hain. Angle change karne ke liye sirf barrel ke hisse upar ya niche hilte hain. Lamba barrel hone ki vajah se uska ek acchadan bhi hai. Shot marne par recoil ki vajah se barrel isi ke andar-bahar karega, jissey hydraulic recoil mechanism kaha gaya hai.

 

Artillery kaise chalega
 
Artillery turret ye baaki 12 turrets se controls mein sabse anokha hai. Kyon? Kyunki iska turret gol-gol ghum hi nahi sakta. Yaani ki Z ya X dabane par turret ghumega nahi, aur aap ko vividh dishao mein shoot karne ke liye aap ke hull ko hi ghumana padega. Hai na anokha? Ye hone se Artillery kam furteela hoga lekin aisa lagta hai ki isko suraksheet jagaho se chaturayi se upyog karoge to iska kam farak padega.

 

kpy7q0Y.png

Artillery ke angle ka vistaar

 

To phir kya Z aur X keys kisi kam ke nahi hogi? Jee nahi. Z aur X keys se aap Artillery ka angle badal sakoge. Angle ka bahot jyada mahatva hoga, kyonki angle se hi aap aapke nasdik ya door ke nishano tak imarato ya phir props ke upar se pahunch sakoge. Varna aap ka projectiles unse takkar kha kar vyartha ho jayega. Jaise ki aap jaante honge, agar aap ka angle 0 degrees ho, to aap ka shot seedha nahi, to dheere dheere niche mudte hue jayega kyunki iski trajectory projectile ke tarah hai, aur gravitational force ki vajah se ye niche ki taraf jayega.

 

Waise hi, agar aap ne 90 degrees ka angle liya to aap ka projectile seedha upar jayega aur ek unchayi tak pahunchne par aap ke upar hi girega (iska accha upyog karne ki bhi sambhavna hai, agar dushman aap ka peecha kar rahe ho..). Isiliye agar angle 90 ke aas-paas bhi ho to self-damage ki sambhavna hogi. Sabse jyada antar tak golibaari karne ke liye aap ko lagbhag 45 degrees ka angle chunna hoga. Issey aap sabse door khade dushmano par nishana saadh sakoge. Lekin ye karna itna aasan nahi hoga, kyunki jitna door nishana hoga, utni der lagegi projectile ko waha tak pahunchne ke liye.

 

y5B7jyE.png

V-Log #124 mein kaha gaya hain ki pichle shot ki angle aur velocity ke numbers kisi tarah se turret par dikhaye jayenge.

 

Angle ye ekmev aisi cheez nahi hai, jisse Artillery ke trajectory mein parivartan hoga. Aap projectile ke velocity ko bhi badal sakenge, jaisa V-Log mein bataya gaya hai. Jitna aap apne spacebar ko dabaye rakhenge, utni jyada velocity aap ke projectile ko milegi. Aur spacebar ko chhodte hi projectile apni trajectory par chal padega. Sirf sahi angle chunne se aap safal bilkul nahi honge. Agar sahi velocity nahi di, to projectile nishane tak pahunch hi nahi payega. Inn dono cheezon ke kai saare combination honge. Jaise ki -

  • Bada angle aur jyada velocity - dushman ke base mein chhipe hue dushmano ke liye
  • Bada angle aur kam velocity - nasdiki props ke upar se marne ke liye
  • Chhota angle aur jyada velocity - bridges ya khuli jagaho mein hote waqt toph jaise war karne ke liye
  • Chhota angle aur kam velocity - sabse nasdik waale nishano ke liye ('canister shot' jaise)

Saath hi saath, Artillery ke splash damage par bhi bahot charcha hui hai. V-Log mein ek baar bola gaya tha ki iski splash damage ki range (radius) khel mein sabse badi hogi, yaani ki abhi ke Striker aur Thunder ke range se bhi jyada. Iska bahot upyog hoga, aur chakma de kar bhi dushmano ko nuksaan sehna padega. Splash damage se aap dushman ke samooh par bhi acche se niyantran la sakenge.

 

q80u5MM.png

Projectile ka zameen par girne par explosion

 

Meri rai ye hai ki iska impact force aur explosion impact bhi kaafi jyada hoga. Impact force shayad aas-paas se hamla karne waale tanks ki chaal ko asthir karne ke liye kaafi hoga. Recoil to aap ne V-Log mein dekha hi. Ek Wasp iss turret ke saath Brest map par chhalang lagate dikh raha tha. Iska recoil mechanism animated hoga ye bhi bataya gaya hai (hydraulic recoil) aur iski maatra bhi kaafi hone se ye shayad heavy hulls ke saath mazboot pradarshan karega. Medium hulls ke saath bhi kaafi accha hoga kyunki unke vajah se map mein apna sthan badalne mein aasani hogi.

 

Sach mein, jaisi ki developers ne pichle ek V-Log mein kaha tha, ye turret shayad Tanki ki sabse kathin turret hogi, khelne ke liye. 

 
Artillery Pratiyogita se kuch Rachnaye
 
V-Log #122 ki ek pratiyogita hui thi, jismein hum khiladiyon ko Artillery ki rachna ka chitra nikalna tha aur sabse acche aur uchit lagne waale chitro ko puraskaar milein. Theek Artillery jaise dikhne waale chitra to maujood nahi the, lekin hum sab ko kuch anokhe vichar chitrit dekhne ko mile. 

 

Kaafi saare chitra 'mortar' aur 'rocket launcher' par adharit the. Jaise ki MarkoST202 ka chitra jismein ek chhote barrel ki gun hai, do chhote components ke sahare hull pe sthit. Baaki kuch chitra exitus746 ke Meteor turret jaise the, bade bore aur bade calibre waale gun. Kuch anokhe vichar bhi the, jaise ki Frederik723456 ke Undertaker turret jaise, jiska base bada hai, aur barrel usi ke andar se aata hai (lekin iska angle jyada nahi badla ja sakta hai).
 
Khel mein iski Jagah?
 
Lekin sahi waali rachna to ab bata chal gayi hai. Artillery turret theek kaise dikhega ye pichle do V-Logs ki madad se hum sab ko pehle se hi bata hai aur wo kaise kaam karega ye bhi humne thoda-bahot jaan liya hai. To kyon na khel mein bhi ye kaisa pradarshan kar sakega iska bhi vichar karein? 

 

Artillery turret ek sahayyak weapon hoga. Isida jaise hi aap Artillery turret ke saath shayad apne aap se raksha ya hamla nahi kar payenge. Aap ke team ke asli hamlavar ya rakshakon ki sahayta karna hi shayad Artillery ka kaam hoga. Ye ek accha camper bhi ho sakega. Apne base ke suraksha mein se doosri taraf bouchhar karna issey aasan hoga. Alag-alag angle aur velocity ki madad se aap Artillery se bade se bade maps mein kidhar bhi dushman chhipe ho to unhe mar sakenge. 

 

Ye camper hote hue bhi doosre campers ke liye maut la sakega, iske parabolic trajectory ke saath. Dushman ke samooh par war karne ke liye bhi accha chunaav hoga. DM mode mein ye kills churaane ke liye shayad accha hoga, lekin nasdiki saamno mein sabse kamjor hoga, aisa mera khayal hain. Lekin isi ke saath TDM ke liye bahot logon ka pasandeeda turret bho ho jayega. Parantu, iska durupyog bhi bahot tareeko se hoga - kam furtee, dushmano ko pratiuttar dene mein jyada samay aur aamne-saamne reh kar kam prabhavipan. 

 

 

Shayad abhi ke liye meri bhavishyavani bas ho gayi. :P Agle kuch dino mein shayad hum Artillery ke baare mein kuch aur jaan payenge. Abhi ke liye Artillery ka naamkaran bhi nahi hua hai, aur iske stats aur iske tareeke bhi testing ke dohran badle ja rahe hain. Thodi aur der ke baad to hum sab Artillery turret ko khud istemaal kar sakenge.

 

Hum tab phir likhenge Artillery ke baare mein, lekin abhi ke liye bas itna hi. Ummeed hain aap ko kuch nayi baatein sunne ko mili ho. Aap ke Artillery par adharit vichar jaroor sunana. Dhanyawad!

 

gR0TJlE.png

Edited by Tofu
  • Like 8

Share this post


Link to post
Share on other sites

nya hull

Bata nahi. Mujhe aisa lagta hai ki naya hull banana kathin hoga kyunki hull mein jyada variations nahi hote hai, sirf health, speed, acceleration aur weight. Doosri taraf turrets mein aisi duvidha nahi hai isliye jyada turrets hain.

  • Like 1

Share this post


Link to post
Share on other sites

For the first time I am seeing Hindi newspaper in English font.Respect the language when you want to publish it in Hindi do it with its own font.


मुझे आशा है की तुम समझ गए होगे। 

Share this post


Link to post
Share on other sites

 

Respect the language when you want to publish it in Hindi, do it with its own font.

 

We have answered this problem time and again. By using phonetic Hindi we can reach out to a larger reader base and it is also easier for us to write. By doing so we are in no way disrespecting the language at all.

  • Like 1

Share this post


Link to post
Share on other sites

We have answered this problem time and again. By using phonetic Hindi we can reach out to a larger reader base and it is also easier for us to write. By doing so we are in no way disrespecting the language at all.

Zenith ekdam sahi bol raha hai. Aur devnagri script ko padhne main time lagta hai mujhe :P

Share this post


Link to post
Share on other sites

 

For the first time I am seeing Hindi newspaper in English font.Respect the language when you want to publish it in Hindi do it with its own font.

मुझे आशा है की तुम समझ गए होगे। 

 

Mein appki baat s sehmat hu... :)

Share this post


Link to post
Share on other sites

 Share

×
×
  • Create New...