Jump to content
EN
Play

Forum

[Vishesh] Iron Days Lekh Pratiyogita!


Recommended Posts

wM8ECmK.png

id2.png

hWP02gJ.png

 

 

Namaste doston, Tanki Online mein har sal jaise hi 2017 ke 'Lohe ke Din' aa gaye hain. Aapne dekha hi hoga ki Tanki kitne ache ache taufe aapke liye laya hai. Ab itne ache samay mein, ek pratiyogita to banti hai! Hume dikhaiye aap ne kaise Iron Days ke dohran battles khelein, gold box pakdein aur bahot kuch!

 


 

Spardha ka laksh:

 

Iss spardha ka laksh ye hai ki aapko, ek lekh likhna hoga, images se bharpoor, ki kaise aapne Iron Days ka samay Tanki Online mein bitaaya.

 

Pratiyogita ke Niyam:

 

Kisi bhi Niyam ka ullanghan karne se aapko puraskaar nahi milenge, isliye dhyaan se padhiye.

  • Likha hua lekh kam se kam 300 aur jyada se jyada 500 shabdon ka hona chahiye. Iss lekh mein aap tasveeron (screenshots) ka bhi upyog kar sakte hai, jaise ki Iron Days ke dohran aapne kiye hue battles ya phir holiday paint ke saath koi screenshots.
  • Likhe hue lekh mein kisi bhi prakaar ke apshabdon ka upayog nahi hona chahiye.
  • Lekh ki shabd-maryaada kam hai isliye, achhi bhaasha aur lekhan kaushalya ki ummeed hai.
  • Jab bhi aap tasveer le, tab ye dhyaan mein rakhe, ki aapne Holiday Paint (premium bhi chalega) liya hua ho.
  • Kisi se bhi nakal karna (plagiarism) mana hai. Aise lekh yadi paaye gaye to unhe puraskaar nahi milenge.
  • Ek player ka sirf ek lekh sweekara jayega.
  • Aap Devanagari ya phir Latin script, dono mein se ek ki madad se likh sakte hain.
  • Itna dhyaan de, ki aapka lekh "Spoilers" ke bheetar hi rahe.

Tippaniyaan:

  • Jitna ho sake lekh ko seedha-saadha rakhein.
  • Tasveeron ka hona anivaarya nahi, par ve lekh ko ache se darshaate hai. Aap ki bhasha ko hi praathamik mahattva diya jayega.

 

 

Puraskaar:

  • Pehla sthaan - 30,000 z3p5.png
  • Doosra sthaan - 25,000 z3p5.png
  • Teesra sthaan - 20,000 z3p5.png

Iske saath hi, teen anya logon ko bhi 10,000 z3p5.png ke puraskaar mil sakte hain, jinka lekh sammanjanak hoga.

 

 

 

Chalo, keval chaar din hai. Aap ke paas 27th February, 23:59 UTC tak ka samay hai. Aap sabhi ko meri or se shubhkaamnayein. Ummeed hai Iron Days ka ye samay aapke liye bahut accha ho. Dhanyavaaad!

 

Logo.png

 

 

gR0TJlE.png

Edited by Tofu
  • Like 4

Share this post


Link to post
Share on other sites

Garage mein gear par chhoot, Iron Days ke vishesh paints, gold boxes, developers ka livestream - inn sab ka mazaa aap kaise utha rahe hain? Hume screenshots aur apne shabdo ke saath jaroor batana, aap ko shayad puraskaar hi mil jaye!

  • Like 2

Share this post


Link to post
Share on other sites

500 word jada hai

Actually, I was thinking of 1k words. But I was assisted by Zenith that, 1k words is too much. After all you are writing an article.. At least 500 words man.

Share this post


Link to post
Share on other sites

Yeh duniya kisi kaam ki nhi

Kyu? This contest is not so hard. You can just write what you've done during the Iron day Celebs. That's it.

What I consider is only vocabulary and language. I don't think it's at that impossible level

Share this post


Link to post
Share on other sites

500 word jada hai

Agar aap ko lagta hai ki aap ko 500 se kam shabdo mein prize mil jayega to aap waise kar sakte hain, kyunki word limit jyada se jyada 500 hai.

Share this post


Link to post
Share on other sites

 

 

Namaste Doston, Humare pyare khel Tanki Online mein har saal ki taraha isse sale bhi Iron Days ka ayojan kiya gaya. Lakin isse saal ye pichle salo ki  tulna mein kahi behtar tha. Jayda uphar, jayada gold box aur behtar sale. Mein apke sabhi k saath apna Iron Days ka anubav baatna chahunga.... :)

 

17 feb. ko aye V-log k baad sabhi khiladiyo ki taraha mein bhi Iron days k liye uthsahit tha aur mein 22 tarik ka basabri s intezar kar raha tha, taki pata chal sake akhir Iron Days mein ho ga kya. Phir 22 tarik ki sham ko Cedric Debono n Iron Days k bare mein bataya. :D

 

Iron Days isse saal 4 din (23 -27 feb.) manaye gaye. Charo din khiladiyo ko ek naya khoobsurat paint lene ka mooka mila. Iske sath hi nayi rooprekha k suchana-patt (Billboards), parachutes, jhande, gold box, gold box girne ka sthan aur naye gifts. Iske sath hi 2 sabse jaruri cheezein, jiska sabhi ko intezar tha sabhi upkarno par choote aur dugne gold box.

 

23 Feb. ko Iron Days ki suruat hui, iske sath hi manorajan ki bhi suruwat ho gayi. Game chalate hi sabse phele mujhe Iron Day ka Visesh mission mila, jisme mujhe 250 doshmano ko phodne par 25-25 speed boost aur double damage ka uphar mila.

0_A26_DF4_F7_C494_C7_E072845_D6_C5_E4178

 

Uske baad meine game khelna suru kiya jisme naye rooprekha k shoochna-patt lage hue the aur lagbhag sabhi players Iron Days ka visesh paint ka upyog kar rahe the, jisse naksha kafi akarshak lag raha tha.

 

Iske baad bari ayi gold box ki. Jaise ki aap sabko pata hai Iron days mein dougne gold box gire, isliye jiise nakshe mein khel raha tha usme bhi kayi gold box gire jisme mein kuch gold box mujhe bhi lene ka mauka mila. :wub:

gold.png

 

Iron Days k duran 3 naye uphare bhi uplabdhe hai, jinko aap apne pyare mitroon ko bhej kare apna pyaar jata sakte hai. Meine bhi apne kuch doston ko yudhe ka jurab (Combact Socks) uphar mein diya. (Lakin mujhe abhi tak koi gift nahi mila... :( ).

 

Iron Days k doran garage k sabhi upkarno par 30-40% ki choote di gayi aur shukshm unnyan par 50% aur gati tej karne par 70% ki choot mili. Meine isse doran apne kayi upkarno ka sukshm-unnyan (MU) kiya aur kuch nayi alterations kharide, jisse game khelna aur jitne mein bhut anandaya. B)

 

23 tarik ki saam ko hum sabhi k pyare Cedric Debono aur Hazel-Rah s batchit ka bhi sidha prasaran Tanki Online k Youtube channel par hua. Jisme unhone khiladiyo k sawalon k jawab diye aur nayi turrent (Artilery) k bare mein bataya aur use khel kar dikahaya.

 

Isse doran meine apne mitroon k sath Fire-Wasp ka khel ka bhi anand liya, jisme kayi goldbox gire aur unme s kuch meine bhi liye.

 

Isse prakar meine Iron Days ka bharpur anand liya, ummid hai apne bhi issi taraha Iron Days ka anand liya hoga. ;)

 

Asha karta hu aap sabhi ko y lekh padh kar anand aya hoga.

 

Dhanyawad.

 

Tankerkuldeep

 

 

Edited by tankerkuldeep
  • Like 4

Share this post


Link to post
Share on other sites

1 Question : can the entry be in alone English or alone Hindi or Hindi English mix?

The words you can't write in Hindi, such as Turrets, Hulls, Micro Upgrades, etc. you can write them in English itself ))

Share this post


Link to post
Share on other sites

pehle din ko meine kya kya buy kara aur kitne gold boxes liye, woh bhi likh sakte hai?

Topic hai - Aapne kaise Iron Days ka pura samay Tanki mein kaise bitaaya? 

It does mean that yes, you can add whatever you experienced. Good language and vocabulary is needed and if possible, pictures too, would be nice. Good Luck :)

Share this post


Link to post
Share on other sites

:excl: Update  :excl: 

 

Doston, Contest ke niyam mein ek chota sa badlaav kiya gaya hai. 

 

  • Shabdon ki maryaada ab kam se kam 300 aur jyada se jyada 500 shabd hai.

​Iss baat ka dhyaan rakhein, Chunauti poorn karne ke liye aap sab ko shubhkaamnayein.

 

Dhanyavaad :) 

 

~ I3.R.0

Share this post


Link to post
Share on other sites

 

:excl: Update  :excl: 

 

Doston, Contest ke niyam mein ek chota sa badlaav kiya gaya hai. 

 

  • Shabdon ki maryaada ab kam se kam 300 aur jyada se jyada 500 shabd hai.

​Iss baat ka dhyaan rakhein, Chunauti poorn karne ke liye aap sab ko shubhkaamnayein.

 

Dhanyavaad :) 

 

~ I3.R.0

 

Nice... meine 496 words ka likha hai... :D

Share this post


Link to post
Share on other sites

Meri entry..

 

Aaya, Dekha OMG iron days!! Net lag out ho gya. Khatam.

Minimum 300, Maximum 500. I guess you should've read the rules. Was it kinda, just for fun? If yes then this is not the best place to do that.

  • Like 1

Share this post


Link to post
Share on other sites

8S1IBue.png

 

Namaskar dosto!
ChugChug_MainHo_Railgaadhi ki taraf se aap sabko hardik subhkaamnaye “Iron Days” ki bhaari Chuth ke liye. Har saal aane wale in dino main Tanki Online ka vikasit karne walo ki taraf se hame kcuh chand din milte hai jha par hum apne dosto ke saath manoranjan karte hai. Maine apne kuch gine chune dosto ke saath is din ka intezaar kiya aur ab mian apne dosto ke saath maps main bas Gold Box ka wait karta ho and hum sab khelte hai saath saath.Par jis cheez se hum dosto ko bhadi dikaat hoti hai who hai *LAGS* . Hamari kismat kharab hai ki Server Lag tabhi ata hai Jab kisi ladai main Gold Box girne wala hota hai, paranto kya hua :P agar hum nhi to hamare dsot hi sahi jo le lte hai Gold Box.
Baaki cheze jo hame in “Iron Days” main hua hai who hai Daily Mission. Bhale hi 250 bechaare logo ko maarna todha muskil kaam hai par uske fal bhi hume ache milte hai jaise “4 Gold Box” ya bahut saare crytals. Humne to sales ke liye bhi bahot sapne dekhe the but kuch khaas ni hua. Hum samajh sakte hai ki Developers ki taraf se lagatar Valentine Day or ab Iron Days ki sale hui hai but duno Sales main se zyada kuch chuth nhi mile. But Iron Days main hamne khoob maje kiye hai jaise naye paints jo behadh khoobsurat hai or bulk main garage ke offer jo kisi bhi tanker ke liye ke saapne jaise hai. Mughe to holiday paint bada hi acha lga hai paranto mere pass abhi itne crytals nhi hai ki main us pyare paint ko kharedh sako.
Baaki sab dekha jaaye to Iron Days ke apne hi maje hai chaahe naye poster ho ya in-game cheeze pe choth or Naye texture ke goldbox!
Main aasha karta ho ki aap sab bhi in kuch ache dino ke maje le or hamesha khush rhe. ^_^
Time aa gya hai is railgaadhi ka vidha lene ka!

 

Edited by Cyborg
  • Like 8

Share this post


Link to post
Share on other sites

Mera Lekh

 

 

 

Iron day har saal ki tarah is saal bhi 23 February ko bnaya ja rha hai. Iron day Russian ki red army kay Defender of the Fatherland Day ko samarpit hai.  Iron day tanki online mey bhi har saal bade utsha kay sath bnaya jata hai. 2016 ka iron day mera phela iron day tha tanki online mey aur ye mere liye bhut khas sabit hua kuki mne Red suit paint kharida aur aaj mera ye mera sabse khas paint hai mne 680 ghante is paint kay sath khelte huye bitaye .

 

Screenshot_15.jpg

 

2017 ka iron day logo key ummed kay viprit  jada discount aur adhik majedar hai. Aur  vishesh daily mission aur doguna gold drop ney to sone par suhaga kar diya. Dosto kay sath khelne ka ise acha mauka to ho hi nhi sakta. turret aur hull par 40% discount hai halaki mujhe  hull aur turret discount  ha kuch laabh nhi hai( mey phele hi sab kharid chuga hu :P ) par mere dost is discount to kafi khush hai.

 

Iron day kay phel hi din mere liye bheterin sabit hua 3hr premium aur  3500 crystals mission mey mile aur fir Cedir aur Hazel-Rah ka live strem mey sab se phele mey prashan ka uttar diye jana aur nay turret ka game play aur ane vale do nay turret ki ummed ne to meri prashanta mey too char chand lga diye. Aur fir eke k bad ek gold ney too shama hi bandh diya.

 

Screenshot_1.jpg

Screenshot_16.jpg

 

Dusre din bhi vishesh mission mila par dusre din ka khash aakarshan apni clan kay sath ek kay baad ek jeet thi. Mere clan ney ek kay bad ek pach 100 CP XP/BP khele aur 4 mey jeet prapat ki. Gold drop ki to ginti hi nhi hai :P

 

Tanki online duaara diya gya vishesh hoiday paint bhut hi khubsurat hai aur mey mre tank par kafi jach rha hai mey soch rha hu ki ise apna bna lu, par mujhe intazar to micro update sale ka hai taki mey abne Viking ki shamta badha saku aur abne titan ko aur bhi ajaya kar saku.

 

Screenshot_17.jpg

 

aur ab kuch Iron day mey bitaye mere kuch khas pal

 

Screenshot_18.jpg

Screenshot_19.jpg

Screenshot_13.jpg

 

Screenshot_20.jpg

 

 

Screenshot_9.jpg

 

 

Aur koi holiday bina rankup kay kse pura ho sakta hai

 

 

Screenshot_11.jpg

 

 

 

 

aasha kartu ku aap logo ne bhi mere jeetne hi maje kiye hoge :)

Dhanyewad

Edited by KILL_BILL_CHAUHAN
  • Like 3

Share this post


Link to post
Share on other sites

MERE TANK KE BACHPAN KA SAPNA KAISE HUA IRON DAYS ME POORA!

 
jan ne ka intezar nahi :lol:  spoiler kholiye aur khud jan jaiye


to bat hai 2013 ki jab mere tank ka janm hua tha, tab wo kafi kamzor tha twins aur wasp- m0 ke sath. Har samay uske sapne aur man mai sirf yahi bat chalti thi ki kaise wo aur mazboot ban sake aur doosron ke samne apne aap ko sabit kar sake.
usne sare mashoor tankon ko dekha aur seekhne ki koshish bhi ki lekin kaushalta ke sath mazboot shareer(equipment) ki bhi zaroorat hai.
 
Mere tank ke bachpan ka sapna tha ki wo bada hokar titan m3 + twins m3 ka sanyojan banakar saktishali banega  :wub:
usne har bharpoor koshish ki lekin kamiyabi nahi mil payi.
 
kareeb 4 sal beet gaye aur use akhbar mai khabar mili ki iron days ki shuruat ho chuki hai. In dinon mai jo tank jitni kathin mehnat karta hai use utna hi meetha fal milta hai.
 
long1.jpg
 
dugni gold box girne ki sambhavna muft mai kuch dinon ke liye shandar rang(paint), shaktishali turret aur hull khareedne mai choot aur sunhere avsar pratiyogitayen jitne ki, ihni sab cheezon ne mere tank ko lubhaya aur use char guni mehnat karne pe majboor kar diya.
 
aur isi tarah mere tank ka 4 dinon ka kathin safar shuru hua!!
 
kade parishram aur mehnat se usne itni kamai karli ki wo apne sapnon ke sanyojan ko hasil kar sake lekin use teesre din ka intezar karna pada taki turret khareed par kuch choot mil sake
aur isi tarah intezar poora hua  :rolleyes:

 

akhir kar do muha shaitan meri kaid mai a hi gaya  :lol: 
twins.png

 

 

akhir kar uske bachpan ka sapna poora ho hi gaya aur usne sabse shaktishali aur prabhav shali sanyojan pa hi liya

paint.png

 

mai shukra guzar hun iron days ke micro upgrade choot ka jisse mera tank aur bhi zyada mazboot ho saka

 

image.jpg

 

 

ab bacha tha to sirf is combo ko istemal karna.

wo bhi bade dhamakedar dhang se hua.

 

 

 

win35.jpg

 

 

 

lekin itni choti si jeet se mera tank santusht nahi hua aur wo apna prabhav badi jung mai dikhana chahta tha  

 

 

 

win36.png

 

ant hoti hi maine apna premium mission sakriya kar diya  :)

 

 

 

Ab apna sapna poora hote dekh aur usse achche parinam pakar mera tank bohot khush hua aur khushi manane ke liye mere tank ne kai tofe bhi apne priya mitron ko bante 

is iron days ke tyohar mai hame teen naye tofe dekhne ko mile 

 

 

gift1.jpg

 

 

 

ye teen naye tofe the - combat socks, binoculars, crimson beret.

isi ke sath achchi yadon ko lekar mera tank apse alvida le raha hai asha hai apse fir kisi naye romanchak safar mai mulakat hogi 

 

Dhanyawad  ^_^

 

 

 

  • Like 2

Share this post


Link to post
Share on other sites

​My Entry
 


 
 
Kisi  bhi tanki khelne wale ko intezaar rhta h to wo h tanki mei  chhuttiyon ke samay ka kyuki in dino mei bhaari sales , ache uphaar aur bhot aur cheeze hoti h. Aur is baar tanki hammare liye “Iron days le kr aaya h aur ye hmaare saare umeedon  pr khda utra h.
Iron days phli baar 2013 mei mnaaya gya tha (meri zaanch ke hisaab se) aur tb bhi logo ne ise bht psnd kiya tha.
30ac48163b.png
 
Aur aise hi 2014, 2015 aur 2016 mei ye dhoom dhaam se mnaaya gya tha. 2016 ke iron days ke baare mei janne:- https://www.youtube.com/watch?v=SjEiI1ai7lA
 
aur ye dekhe
30ac25f380.png
Is saal bhi ye dhoom dhaam se mnaaya ja rha h. Is baar ke iron days aur pichli baar ke iron days mei
​bhot antr (difference) h. Is baar gold box ka girna dugna h , chhoot jada h aadi (etc.) . Ye mera phla iron
day celebrations tha aur mai is se bhot khush hu.
Aur jaankari ke liye :- http://tankionline.com/en/2017/02/discounts-and-goodies-for-the-iron-days-celebrations/

 
Jaise hi mujhe V-log 125 se iske baare mei pta lga to mai bhot khush ho gya kyuki mere 21 pharavaree (february) ko paper khtm hone the aur uske baad mujhe 2 hfte ka avkaash tha. To maine socha ki mai in chuttiyo ka tanki mei poora fayda uthauga. Mai bs us din se iron days ke aane ka intezaar krne lg gya.
V-log 125:-


 
Aakhir kaar 23 pharavaree aa hi gyi. Mujhe sbse phle to tanki ke nye holiday paint se hi pyaar ho gya.. mujhe ye paint bhot acha lga.  Paint ke saath saath game ke andr ki sajaawat bhi bht achi lgi.[/size]
30ac982a5b.png
Maine in dino mei apna kaafi time tanki khelne mei lgaaya. Maine angrezi newspaper ki khaas pratiyogita mei bhi hisa liya aur mujhe iske parinaam ka bhi bht intezaar h. uske liye hme ek aisa screenshot kheechna tha jismei hm apni battle mei apni team mei phle 3 sthaano mei se ek mei hona tha aur hmaare point 300 se jada hone chahiye agr hm cp/ctf/tdm mode mei h aur agr hm dm mei hai to hme phle 3 sthaano mei hona chahiye aur hmne 30 ya us se zada log maare ho.
30ac8d230e.png
Iron days ke karan battles mei dugne gold box gir rhe the. Meri battles mei bht saare gire aur mai unmei se ek gold box pkdne mei kaamyaab hua..mujhe iska bhot naaz h pr jb maine apni mhnt (hardwork) se ek goldbox pkda to mujheek khiladi hacker khne lg gya.. mujhe bhot bura lga ki agr log gold box nhi pkd pate to km se km jinho ne pkda h unhe itna gnda to na bole L.  Pr fir maine apne aap ko smjhaya ki aise log karan apna mood khraab nhi krna chahiye.
30aca91907.png
Sales mei main upgrades pr sale hone ka intezaar kr rha tha kyuki mai apna twins m1 ko 38 tk to upgrade kr hi chuka hu aur bs thora sa hi rh gya tha. Aur fir 26 tareek ko unpr sales ho gyi aur maine uska poora labh uthaya.
30ac954054.png
 
In dino mei tankers ko khaas mission bhi mil rhe the jo thore se kathin the pr unke puruskaar bhi bde the.. Mujhe phle din hi ek khaas mission mila aur maine use do ghnto mei khtm kr ke 51 speed boost ka inaam paaya. Mai asha krta hu ki mujhe aur khaas mission mile jis se mai aur inaam paa sku .
30ac900077.png
 
Ant mei mai khna chahta hu ki mujhe tanki ke iron days mei bhot mazaa aaya aur mujhe bhot laabh bhi hua aur mai aane waale saalon mei bhi iron days ka ntezaar kruga. J


Edited by shurlygoel

Share this post


Link to post
Share on other sites

:excl: Apne lekh bhejne ke liye keval ek din bacha hai. Yadi aapke paas koi lekh tayyaar hai, to use jald hi bhej de. 27 Feb, 23:59 UTC ke pashchaat koi bhi lekh ka chayan nahi hoga. 

Iron Days ki aap sabhi ko shubhkaamnayein :)

Share this post


Link to post
Share on other sites

This topic is now closed to further replies.
 Share

×
×
  • Create New...