Jump to content
EN
Play

Forum

[Ank 7] Adhyayan - Update #450 aur #451


Recommended Posts

rRxHrKd.png7FbtakZ.png

oiYPKde.jpg

hWP02gJ.png

 

Namaste! To doston, umeed hai aap sab sakushal honge. March ke mahine mein humne anek update dekhe hai par Update #450 se bada update kuch manheeno mein nahi dekha gaya hai. Iss update mein Magnum naamak ek naya hathiyaar game mein laya gaya hai. Itne bade badlaav baar baar nahi hote. Isliye aaiye baariki se dekhte hai un sabhi badlaavon ko, ek-ek karke. Aur saath hi ham janenge ki in badlaavon ka khel par kya asar padta hai...

 

>> Iss update ke baad aaye Patch #451 ke baare mein padhein <<

 

 

Parichay

 

March mein mahinein mein ek ke baad ek update aaye hain aur har update ka khel par bahut bada prabhaav pada hai. Par yeh spasht hai ki #450 se bada badlav kuch mahinon mein nahi dekha gaya hai. Isme ek naya hathiyaar 'Magnum' game mein daala gaya hai aur iss update ke zyaadatar ansh isi se sambandhit hai. To phir ab hum iss update ke mukhya aakarshan, Magnum, ke baare mein aur jaante hain.

 

Magnum

 

long_EN1.jpg

 

 

'Artillery' ya 'Magnum' turret game mein aa chuka hai! Iss hathiyaar ka kayi mahinon se bekabri se prateeksha thi, isliye iske aane se sabko chain mila. Magnum M3 dikhne mein esa lagta hai:

 

Turret_magnum_m3.png

 

Magnum aur Striker dono hi saath hi mein develop kiye jaa rahe the, par Magnum ko jyaada samay laga uske bhinn prakar ki aavazon ki kaaran, aur hydraulic recoil ke animation ke kaaran. Striker ke hi tarah, Magnum mein atyant kshamta hai aur taakat bhi, jo iss table se dekha jaa sakta hai: 

 

 

 

Rh7UZ9d.png?1

 

 

 

Iska damage bahut zyaada hai, itna ki ve Double Damage sahit samanya modification ke kisi bhi tank ko maar sakta hai. Iska Thunder ke tarah splash damage bhi hai, par Magnum ka splash damage poore game mein sabse zyaada hai. Iske upar, Magnum ka damage antar ke saath kam nahi hota, jiska matlab yeh he ki jitna damage aapke saath khade hue tank ko pahunchaate hain utna hi damage aap map ke dusre kone mein khade tank ko bhi pahunchaa sakte hain.

 

Iss ki itni zyaada range hai ki aap laghbhag kisi bhi map ke kisi bhi ansh ko maar sakte hain. Shot maarte hue aap Shaft ki tarah kisi 'Sniper Mode' mein nahi jaate hain, jisse aap apne aaspaas kisi aate hue tank ko bhi dekh sakte hai. Par isse door khade tank ko maarna aur kathin ho jaata hai. Isliye jab aap shot maareinge, tab aapke shot ka raasta (trajectory) aur saath hi saath, angle aur power ki maatra aapko dikhaya jaati hai. Isse aap apne agle shot ko sudhaar sakte hain.

 

Upyog

 

Magnum mein itne saare badhiya visheshtayein hai, ki aisi kya cheez hai jo isko Tanki par raaj karne se rok rahi hai. Yeh vastu hai iska kathin prayog karne ka tareeka. Magnum ko baayen aur dayen nahi ghumaya ja sakta aur keval upar niche hi kiya jaa sakta hai. Tanki ke itihaas mein aisa prayog kabhi nahi hua hai. Saare hathiyaar daayi aur baayi or ghoomte hain, par Magnum nahi. Iska yeh gun isse khelna atyant mushkil bana deta hai.

 

kpy7q0Y.png

 

  • Turret ko upar niche hilaane ke liye 'Z' aur 'X' ka upyog karein.
  • 'C' turret isko 10 degree ke angle par laa deta hai.
  • Space bar ko hold karne se aap shopt kar sakte hain. Jitni der tak Space bar hold karenge, utni hi zyaada shakti se shot jayega.

 

Iske saath, Magnum ke saath khelne ka tareeka baaki hathiyaron se bahut alag hai, aur khiladiyon ko isko samajhne mein bahut samaye lag jaye ga. Ismein bahut kshamta hai, par khiladiyon ko iss kshamta ka sahi istamal karne mein kuch samaye lagega. Par jab iska sahi upyog seekh liya jaayega, to isko rokne ka saahas kisi mein nahi hoga.

 

Bhoomika

 

Yeh hathiyaar attack ke liye upyogi nahi hai, par dusri team ke rakshak udaane mein maahir hai. Isse cover ke pichhe door chhipe hue rakshak aasani se udaye jaa sakte hain. Agar ek baar aapka angle set ho jaaye to aap ek jagah khade map ke kisi bhi ansh par war sakte hain. Iska khel par bahut bada prabhav padhe ga.

 

Iske saath mazboot aur bhaari tanks hi kaam karne yogya hai, kyunki iska lamba reload time aur splash damage isko hamlon se asuraksheet bana deta hai.

 

Prabhav

 

Yeh shayad tanki ka sabse dilchasp hathiyaar hai. Isski khel mein bhoomika amulya hai. Yeh map ke kisi bhi kone mein shoot sakta hai, isliye rakshak ko ab ek jagah khade naa ho kar idha udhar ghumnaa padega. Isse rakshak ke dwaara 'camping' bhi kam ho jaayegi aur pura khel badal jaayega. Ab aap Magnum se kisi bhi jagah suraksheet nahi hogein aur isse bahut saare khelne ke naye takneek banayein jayenge. Yeh hathiyaar Tanki ke liye bahut manoranjak sabit hoga, iska mujhe koi shak nahi hai. 

 

 

Naye Modules

 

Magnum ke saaath usse se sambandhit naye modules bhi aaye. Yeh naye modules Tanki mein daale gaye:

  • Falcon S-C -> Magnum
  • Eagle D-E -> Magnum, Shaft
  • Panda D-D -> Twins, Magnum
  • Panda D-E -> Ricochet, Magnum
  • Panda D-F -> Hammer, Magnum
  • Ursa T-H -> Isida, Ricochet, Magnum
  • Ursa T-J -> Twins, Striker, Magnum
  • Kodiak T-K -> Freeze, Striker, Magnum
  • Kodiak T-L -> Firebird, Vulcan, Magnum
  • Griffon T-F -> Striker, Magnum, Shaft
  • Griffon T-G -> Hammer, Magnum, Shaft
  • Griffon T-H -> Ricochet, Magnum, Shaft

ygWp4Jt.png

 

 

Ye modules Magnum ki shakti ka saamna karne mein maddad karegein, aur uska khatra halka kam jaroor karenge. Magnums ko apne hi turret se haani na hone ke liye Falcon S-C jaisa module lena padega. Magnum ke dushmano ke liye Griffon, Kodiak aur Ursa ke jo saat modules hain wo bade upyogi honge.

 

 

Naye Product Kits

 

SYMinH2.png

 

Modules ke saath naye Magnum-sahit product kits bhi dale gaye hain. Har modification ke liye 3 kits daalein gaye hain isliye aapke paas chunav ke liye vikalp bahut saare hain. Lekin yeh kits Garage se nahi khareede jaa sakte hain, keval Shop se hi inhe paaya jaa sakta hai.

  • "Gustav" Kit = Magnum M3, Titan M3, Griffon T-H M3 aur Jeans ($77.19)
  • "Siegfried" Kit = Magnum M3, Hunter M3, Kodiak T-L M3 aur Inferno ($80.99)
  • "Bertha" Kit = Magnum M3, Mammoth M3 , Ursa T-J M3 aur Sweater ($81.99)
  • "Hyacinth" Kit = Magnum M2, Mammoth M2, Ursa T-H M2 aur Soft Flowers ($39.99)
  • "Excalibur" Kit = Magnum M2, Viking M2, Kodiak T-K M2 aur Disco ($38.99)
  • "Ballista" Kit = Magnum M2, Hunter M2, Griffon T-G M2 aur Lead ($37.99)
  • "Unicorn" Kit = Magnum M1, Hornet M1, Panda D-D M1 aur Pixel Heart ($9.99)
  • "Archer" Kit = Magnum M1, Hunter M1, Panda D-E M1 aur Harlequin ($9.99)
  • "Panther" Kit = Magnum M1, Dictator M1, Panda D-F M1 aur  Night ($9.99)

 

Jaise ki Striker ki kits bhi sirf Shop mein hi uplabdh thi, Magnum ke saath bhi yahi hoga. Mujhe esa lagta hai ki yeh baat jyaada laabhdayak sidh nahi hogi. Yeh ek naya turret hai, aur log esse jokhim bhare turret nahi khareedna pasand karte. Koi iske saath maahir bhi nahi hai, iss karan se log isse khareedna nahi chahenge.

 

 

Map Pool Mein Badlav

 

Magnum ke saath kuch aur badlaav bhi game mein laye gaye. Map pool mein kuch badlav kiye gaye hain. Map Pool wo maps ka samooh hain jinme se aap ke dwaara 'Battle!' button dabane par aapko bheja jaayega. Iska matlab yeh he ki 'Battle' button dabane par aap kuch chune hue maps par hi jaa sakte hain aur baki maps par khelne ke liye aap ko Pro Battle Pass ke dwaara ek game banane padegi.

 

Is badlav mein Tanki ne Map Pool mein 3 naye map, Novel, Esplanade aur Lost Temple daale hain. Iske saath atyant lokpriya map, Noise, Map Pool se hataya gaya. Iska kayi karan ho sakte hain. Noise lokpriya hone ke baad bhi santulit nahi tha, aur Red team ke paas fayda hota tha. Iske saath Magnum ka prabhav bhi iss game mein adhik hota tha. Logon ko maarna atyant aasaan bhi ban gaya tha.

 

 

Baaki Badlaav

 

  1. Firefox ke users ko game kholne aur load karna mein kayi dikkaton ka saamna karna pad raha tha, aur iss update se vo dikkatein ka kam karna ka prayas kiya gaya hai
  2. Payment system error ke baare mein kayi shikayatein aa rahi thi, aur iss update se uss halat par bhaari badlav aaya hai.
  3. Tanki ki team ne kayi Critical Errors ko theek karne ka prayatn kiya hai.
  4. Striker aur Magnum ke achivements game mein aa chuki hain.

 

7ae9021a2a5845ffb937a3400d45a67f.png

 

 

 

Ese bade update kabhi kabhar hi aate hain, to phir unka sahi adhayan avashyak hai aur asha karta hun ki aap ko isko padhkar nayein chizon ke baare mein gyaat hoye honge. Fir milenge kisi din, alvidaa. Aur haan, neeche ka update #451 par adharit lekh padhna na bhhoolna!

 

 

NmiR818.png

Edited by Tofu
  • Like 3

Share this post


Link to post
Share on other sites

news_forum_vk_fb-1.jpg

 

Aur aaj phir hum ek aur patch update ko dekh rahe hain Tanki Developers ke taraf se. Iss baar bhi pichle update ki tarah micro-upgrades ke saath bade badlaav aaye hain. Chaliye sari baatein vistaar mein jante hain...

 

 

Micro upgrades

 

Jaisa humne pichle updates mein dekha tha. Micro upgrades ko M1 aur M0 ke liye 50 se 10 kar diya gaya tha. Iss update mein bhi kuch waisa hi hua hai. Ab M2 ke liye bhi wahi niyam lagu hota hain. M3s ke liye ye thoda sa alag hain. M3s ke liye micro upgrades 50 se 20 kar diye gaye hain. Yani ab pichle update ke M3 Micro upgrades ab ke 2.5 Micro upgrades ke barabar hain. Matlab Agar aapke paas M4 thein, Yani 50/50 M3, to ab wo 20/20 ho jayege. Agar aapke pass 10 Micro upgrade thein to ab wo ab ke 4 MUs ke barabar honge.

 

 

 

MPRXi33.png

3d0e95aeb4f946bbbb0c9be7c1cc9762.jpeg

 

 

 

Daily Missions

 

Ab koi bhi mission aap karenge to wo tabhi count honge agar aap Non-PRO battles mein poorn karenge. Ye jaroori tha kyunki jyadatar players chhote missions ko PRO Battles mein jake jaldi aur badi hi aasani se khatam kar dete the. Jaise 'Finish First in _ Battles' mein, players sirf 1 player per team ki size ki battle banake join karte thein. Ab to bilkul samanya baat hai ki wo hi 1st ayega. Aur to aur ye aur kam samay mein karne ke liye inko 1 flag ke bana dete the. Jisse ye battles aur bhi jaldi khatam ho jati thi. Wahi collect boxes ke liye bhi karte the. 

 

Yani Daily Missions karna kuch jyada hi aasan ho gaya tha. Haalaki iss update ki vajah se un khiladiyon ko kathinayi hogi jo PRO battles, jaise ki XP/BP format battles mein hi din-raat khel kar apne missions, khaas kar ke supermissions poore karte the. Lekin, ab inhi missions ko acchi tarah karne ke saath rewards bhi 10% jyada ho gaye hain. Ab rewards mein apko 10% extra crystals aur supplies milenge. Lekin ye sirf Supplies aur Crystals pe lagu hota hain. Premium samay ke missions pe ye lagu nahi hoga. 

 

Auto Finish System

 

Tagde khiladi jante honge iss feature ke bare mein. Ye feature tab shuru ho jata hai jab team battles mein red or blue teams samaan na ho aur kisi ek team mein bahot hi kam khiladi ho. Agar aapne iss feature ko kabhi nahi dekha to iska karaan hain PRO battles. PRO battles mein ye feature ko disable kiya ja sakta hain.

 

  • Iss update ke baad battles jinme auto-completion ki jaroorat hain, unmein auto-completion 3 guna jaldi shuru hoga. Yaani har ek round ke baad ek time limit hoti hain. Iss time limit ke dohran auto-completion nahi shuru ho sakta. Ye samay pehle 3 Minutes ka tha, jo ab 60 Seconds kar diya gaya hain.

 

 

 

93a3333d62234fb79af452d7d75a40e5.jpeg

 

 

 

  • Jo time limit hoti hain jisme mein battles khatam ho jati hain, wo pehle 30 Seconds thi ab wo 15 seconds ho gayi hain. Iska matlab battles ab jyadatar auto-completion se khatam ho jayengi. Ab auto-finish ka timer aapko sirf 15 Seconds dega, aur tab tak team balance ho saki to hi battle jari reh payega. Iss dohran agar teams balanced na ho pai, to battle kahtam ho jayegi aur sabko apne-apne crystals mil jayenge. 

 

 

 

0801922245de462798ded8a854c6b220.jpeg

 

 

 

  • Aur agar teams phirse samaan ho gayi, lekin phirse ek team mein kam khiladi paye gaye ye system 10 seconds ke cooldown se wapis shuru ho jayega. Pehle se cooldown time 25 Seconds ka tha. Ye sabse zyada jaroori tha kyuki kai sare khiladi sirf masti ke liye harne waali team ko samaan karne ke liye join karte thein aur jeetne waali team ko apna samay barbaad karna padta tha.

 

Battle Ranks

 

Abhi tak Legends ke saath battle karne ki anumati Lieutenant Colonel se shuru hoti thi. Ab ye limit ko Captain tak kar diya gaya hain. Ye baat rahi Non-PRO battles ki, jo 'Battle!' ki vajah se dikhti hain. PRO battles mein legends ab Major rank tak battles bana sakte hain. 

 

f6a8a58f773b4e138f72acce2d808859.jpeg

 

Iski apni khoobiyan aur kamiyan hain, Acchi baat ye hain ki ab jyadatar players apne rank ke anusar servers pe kehlenge. Vahi servers jinmein unke rank ke liye sabse jyada uchit battles ho. Har baar Tanki mein login karne paar aapko aise hi server pe bhej diya jata hain. Vahi server jo server ki list par click karne se 'highlighted' dikhayi deta hai.

 

High rank khiladiyon ke liye ye museebat bhi hain. Ab bahot se low rankers bhi unke rank ke saath khel sakte hain. Matlab saral hain. Zyada anchahe mults.

 

Aakhir mein..

 

Kai tarah ke bugs Magnum ke saath theek kar diye gaye hain. Aur sabse bada, critical errors ka ant. Hum sab bahot pareshan the critical errors se. Har baar ek error ki vajah se mujhe apne Browser/Client ko refresh karna padta tha. Mubarak ho ab ye karne ki koi zaroorat nahi. Pehle critical error aane pe aapko server se disconnect kar diya jata tha. Jiske karan battle mein jaldi wapis na aane se aapko battle mein se bhi kick kar diya jata tha. Ab ye critical errors nahi dikhayi dengi. Lekin critical errors hongi zaroor, aisa maniye ki ye error ab 'passive error' hain. Jissey hamare khelne par kam asar padega. Ye errors dikhayi dengi lekin hume wo 'critical error' ka message nahi dikhaya jayega.

 

 

Aur jab apne is update ke bare mein jyadatar jan liya hain to ab jaiye aur kehliye aur apne aap dekhiye aapko is update ke baare mein kaisa lagta hain. Yaad rakhein aap sabki raay aur pratikriya se hi ye updates laaye jaate hain. 

 

mp4rsxW.pnghM5Vegh.png

  • Like 3

Share this post


Link to post
Share on other sites

Bada accha kaam kiya hai tum dono nei. Well written

Edited by Tofu
Dhanyawaad!

Share this post


Link to post
Share on other sites

 Share

×
×
  • Create New...