Jump to content
EN
Play

Forum

Aaj ka Maanav | Hindi

 Share

Recommended Posts

Aaj ka Maanav

Namashkar! Mai, apka mukhauta wala dost, aaj pehli bar apke samne kuch sacchai pesh karne ja raha hoon.

Maanav yani manushya. 21vi sadi ka ye jaanvar, khudko pragat kehlata hai.Ye to hamare aakhon ke samne hai ki aaj kya kya mumkin ho gaya hai jo hamare poorvajon ne kabhi socha bhi nahi tha.

Manushya ki pragati ka prarambh kahanse chalu hua ye kehna mushkil hoga lekin uski adhogati usi din chalu ho gayi thi jab usne sirf apne bare mein sochna chalu kar diya. Udaharan ke roop mein ye soch ke dekhiye ki aapne apne mata-pita se kitni bar jhooth bola hai? Aap shayad kahenge ki, 'Bhai, ye to hamari majboori thi.'

Par aap ye bhool rahe hai ki is samasya mai aap majboori ke karan nahi balki aap apne hit ka soch rahe hote hai. Jaane-anjane mein aapne ye sab apke aas-pados mein dekha hoga, apne doston se seekha hoga. Koi shak nahi ki in sab baaton ka prabhav hamare upar padta hai lekin aap to apne khud ke malik hai. Hai ki nahi?

Ye to aapke haath mein hai ki aap is prabhav mein rahe ya aap khud apna prabhav dusron ke upar daale (Jabardasti nahi)
Log kehte hai ki nayi peedhi mein bahut badlaav aaya hai. Kam umr mein we sab seekh jate hai. Iska karan hai aaj ka maanav. Jo hum dekhte hai, sunte hai, wo hum karke dekha chahte hai. Yaani, hamare poorvajon ne jo bhala-bura kiya, uska prabhav unke aapatya par jaroor pada hoga. Ye aaj tak chala aa raha hai aur chalta hi jaega.

Ye aaj ke Maanav ko kya hua hai? Ab ye hamare haath mein hai ki aane wali peedhi hum se accha hi sikhe. Dusron ka prabhav hamare upar jaroor padne de lekin is prabhaav mein sirf acchi cheezein hi ho iska dhyaan rakhe. Usse hi aane wali peedhi is 'mein' se chutkara paa sakti hai. Socho agar aaj ka Maanav ye sab sochne ka bal rakhta hai to baaki ke manushya kaha kho baithe hain?

Aapka mukhaute wala dost,
Anup

Edited by Tofu
  • Like 7

Share this post

Link to post
Share on other sites

Approved

-Font ko Trebuchet MS mein badla

-Changed 'kahase' to 'kahanse'

-Kuch shabdon ko capitalize kiya

-Halki si formatting

Halki si punctuation per dhyaan dein. Aapko har do-teen lines ke baad naya paragraph shuru karne ki zaroorat nahi hai. Achaa article hai, per halka sa chhota hai. Manushya ki stithi ke baare mein kayi logon ne kayi vichaar diye hai, per unmein se kisi ko bhi sahi thehrana galat hai. Aapke bhaav sochne yogya jaroor hai.

  • Like 4

Agla lekh in cheezon ko dhyaan rakhte hue prakasht karunga :)

Naya Sinhgad Parisar mein bhi iska bahut upayog hoga!!

Maf kijiye lekin mein ye shabd pura nahi likh pa raha hu 'prakasht'

English issues with that word :| (4 asterisks)

Edited by TheMask321

Aap Prakashet likh sakte hain.

Share this post

Link to post
Share on other sites

Waiting for "Kal ka Manav".

Approved

-Font ko Trebuchet MS mein badla

-Changed 'kahase' to 'kahanse'

-Kuch shabdon ko capitalize kiya

-Halki si formatting

Halki si punctuation per dhyaan dein. Aapko har do-teen lines ke baad naya paragraph shuru karne ki zaroorat nahi hai. Achaa article hai, per halka sa chhota hai. Manushya ki stithi ke baare mein kayi logon ne kayi vichaar diye hai, per unmein se kisi ko bhi sahi thehrana galat hai. Aapke bhaav sochne yogya jaroor hai.

Halki si formatting, Kitni "halki" thi?

Its Thodi si formatting not Halki si formatting..:P

  • Like 3

Share this post

Link to post
Share on other sites

Approved

Halki si punctuation per dhyaan dein. Aapko har do-teen lines ke baad naya paragraph shuru karne ki zaroorat nahi hai. Achaa article hai, per halka sa chhota hai. Manushya ki stithi ke baare mein kayi logon ne kayi vichaar diye hai, per unmein se kisi ko bhi sahi thehrana galat hai. Aapke bhaav sochne yogya jaroor hai.

Its thoda sa xD. 

Acha hai article aapka themask!

  • Like 2

Share this post

Link to post
Share on other sites

Accha laga ye dekhkar ki aapko mera lekh pasand aya :)

Kal ka maanaav to tarangi hai (unpredictable). Isliye agla lekh to is mudde par nahi hoga.

Share this post

Link to post
Share on other sites

 Share

×
×
  • Create New...