Jump to content
EN
Play

Forum

[Ank 10] Critical Errors ka Rahasya


Recommended Posts

t2gYEx2.png

ji79Uuj.png

8KIJ682.png

Technical error, jinhe Tanki Online ke khiladiyon ki bhasha mein "Critical Error" se sambodhit kiya jata hai ye Tanki Online mein shayad sabse pareshan kar dene waale ghatakon mein se ek hain. Kabhi bhi, kisi samay par ye errors 'trigger' ho sakte hain. Chaliye aaj jante hain iska karan kya hain aur inse bacha kaise ja sakta hain. 

 
 
 
Critical Errors ka Kaaran
 
V-Log 126 mein Boris Burangulov (Tanki Analyst) ne is scritical error ka kaaran bataya tha. Kaaran ye hain ki Tanki mein bahot saare updates hain. Agar aapko Tanki ka kaafi itihaas pata ho to aap jante honge ki shuruaat mein ye khel sirf iske manch ki shakti ka udaharan dene ke liye banaya gaya tha. Phir khiladiyon ki iss khel mein badhti dilchaspi aur hamesha badhti lokpriyta ko dekh ke developers ne iss khel ko jar rakhne ki soch ki. Shuruaat mein Tanki bahot buniyadi tha aur abhi ki tarah tarah ki visheshtayein nahi thi. Lekin ab Tanki Online ath (8) saal ki puraana khel ho gaya hai.
 

nq6UbH8ZSSCYEDelcO2mHA.jpeg

 

 
Iss kaafi bade samay ke dohran bahot saare updates vastav mein aa chuke hain. Lekin abhi bhi Tanki Online vahi purane waale manch pe hi chal raha hain. Kabhi kabhi ye manch itne saare updates ek saath nahi sambhal pata aur iss dabaav ki vajah se 'crash' hota rehta hain. Jaise ki chhoti se kaksha mein agar aap jyada vidyarthiyon ko bharti karna chahoge to aapko jyada vidyarthyon ke dvaara paida houe pareshaniya jhelni padegi.
 
Kuch aise hi sthitiyan jab Critical Error ka unchaha aagman hota hai/tha.
 
Vulcan iss turret ke mechanics bahot hi uljhe houe hain. Server ko har ek goli 'register' karni padti hai, agar kisi tank ko lage to uska damage, aur damage ke saath jo impact force hain uska bhi anuman lagana padta hai. Iske saath burn damage aur recoil bhi iss prakriya ko bahot uljha deta hai. Kehne ka matlab yeh hain ki Vulcan ke mechanics kisi duje update ke saath ek saath santulit reh kar har baar samkalin nahi reh pate hain. Isiliye server asantulit hota hai aur browser ko iski vajah se gadbada kar critical error dikhana padta hai. Ismein pareshani ye thi ki aapko critical error ka nishana banne ke liye sirf battle mein hona kafi hain, app uss Vulcan ko dekho ya na dekho isse koi farak nahi padta. Lekin ye jante houe ki iss kaaran se critical error ka aagman hota hai, Tanki developers ne iske saath nipat liya hai
 

mLfDAV1VToKGS2sRMvBg2A.png

 
Jaise hamne kaha tha, do updates ek saath nahi reh pate aur client mein error ka saamna ho jata hain. Ek aur udaharan sambandhit hai equipment badalne aur "Mouse Controls" se. To, koi khiladi khelne ke dohran keyboard ka upyog kar raha hain, phir garage mein jane ke liye mouse ka upyog karta hain, equipment badalne ke baad, battle mein laut-te samay wo game window mein click karta hain mouse controls ka upyog karne ke liye aur saath hi saath mar bhi jata hain (ha, mujhe pata hain ye samajhne mein mushkil tha -_-) to client mein critical error aa jata hain. 
 
Samajh lo, aise critical error hote samay, Flash aur Tanki server iss prakar ki baatcheet hoti hai.
 
Ek khiladi ne ek mine rakhi , aur ab wo garage mein jata hain equipment badalne ke liye. Agar koi khiladi mine ke pass mein ata hain aur mine use dikhne lagti hain to phir se vahi daraavne critical error ka aagman hota hai.
 
Flash server se poonchta hain: Kya yahan par mine hai?
 
Server jawab dete houe: Jee haan.. nahi jara ruko.. na, nahi hain.
 
Flash: Kya wo player jisne mine rakhi thi wo abhi bhi yuddhbhoomi mein zinda hain?
 
Server: Umm.... nahi to.
 
Flash: Kya wo abhi bhi battle mein hain?
 
Server: Poori tarah se nahi..
 
Aur iss dohran jo khiladi mine ke paas aaya tha... *An Error Occured*
 
Sujhaav ke kadam Tanki developers dvaara.
 
Critical error ko 'disable' karna kaafi nahi tha. Ab bhi jyadatar log ko naye tarah ke notification de kar aane waale error se saamna karna padta hain. Lekin acchi baat ye hain ki aap ke pass battle ke andar phirse aane ka mauka hota hain, jispar click karne par aapka browser refresh hoga aur aap jaha khel rahe thein waha wapis sahi salamat pahunch jayenge. Ye feature sirf browser par khelne waale khiladiyon ke liye hain, client players ko manually client ko band karke phirse se shuru karna padta hain. 
 
Drop zones pichle ek patch update ke baad door se bhi dikhte hain. Drop zones ke update ke paschat agar aap kisi supply ke drop zone ke nazdik pahunchtey the tabhi aapko uska chinh dikhta tha. Iske kaaran logo ke paas mein achanak se 'Gold Box' ke drop zone aane ke karan kabhi critical error trigger hoti thi. Lekin jaise ab hume ye sab door se dikhne lage hain to ye gayab nahi hote (gold box ke alawa) aur isi vajah se drop zones ke kaaran critical error trigger hone ki sambhavna safalta se kam ki gayi hain. 
 
Ab ye error hum sab aise to jhelte nahi reh sakte, iska koi ilaj karna padega. Agar aap Tanki V-Logs ka chayan karte rahe hain to aap ye jante honge ki Tanki Online HTML5 ka manch apnane waala hain. HTML5 par jane ka kaaran ye hain ki abhi saare browsers Adobe Flash se door ja rahe hain aur HTML5 ke adhunik zamane ke codes se chalega to Tanki Online apne saare updates ka vazan jhel payega aur critical errors bhi hamesha ke liye nikal jayenge, jisse khelte waqt shaanti milegi.

 

Agar HTML5 se critical error hat jayenge to phir kis baat ka intezaar?
 
Jaisa aap jante hain Tanki mein kai saare updates hain. To inn sabko naye manch par bina kisi fer-badal ya pareshani ke le jane mein thoda to samay lagega. Aur ye bhi pakka nahi hain ki critical errors hat jayenge ya sirf unki teevrata kam hogi. Ye sab tay karne ke baad sahi tarah se HTML5 par tanki ko liya jayega. Ishi karan abhi saare bade updates ko kuch waqt ke liye ruka kar rakha hain, jaise ki Tanki Online ka mobile version. Ye saare bade updates Tanki Online ke HTML5 ke parivartan ke baad honge.
 
Aur kya fayda hoga HTML5 ka?
 
HTML5, jaise aap jaante hain ki ek adhunik manch hain, jo Tanki ke liye naye updates lane mein aasani kar sakta hain aur naye tarah ke updates ke baare mein sochne ke liye anumati dega. Mobiles mein Adobe Flash player na hone ke kaaran Tanki ko release hone mein der lag gayi thi.
 
Matchmaking, aap jante honge ki Tanki mein battle button ka upyog karke aap kisi bhi non-pro battle mein randomly ja sakte hain. Iss vishay par sudhar karna jaroori hain kyunki iske kaaran mobile version pe battles dhoondna aasan hoga, aur yahi developers ko chahiye. Aisa hona chahiye ki aap ek hi click/tap mein aapke liye sahi battle mein pahunch jaye. 
 
Jyada manpasand updates, hum sabhi ki Tanki Online ki taraf khwaishe hain jo hum sab dekhna chahte hain kabhi na kabhi. Kya pata kis kaaran se humne Ideas & Suggestions mein development se sambandhit vichar asweekar kar diya gaya tha. Kaaran ye bhi ho sakta tha ki Tanki aise stithi mein nahi tha jo ki aapne soche houe updates le paye.
 
Pehle se hi updates jo maujood hain un mein hi khel shuru rehna mushkil hota tha aur acche vicharon ko iske kaaran asweekar karna padta hain. HTML5 ke karan ye sab pareshaniyan gul ho ja sakti hain. HTML5 mein kaam karna aasan aur jyada tezi se hoga to hame naye updates milte rahenge. Aapka kya maanna hai? Aapki pratikriya jaroor dena.
 


ji79Uuj.png

yx3eKq2.png

  • Like 2

Share this post


Link to post
Share on other sites

Can you please translate this article in English.

If you want, send me a PM and I'll summarize this article in English for you :)

Share this post


Link to post
Share on other sites

 Share

×
×
  • Create New...