Jump to content
EN
Play

Forum

[Ank 74] Khatron Ke Khiladi: Wasp


Recommended Posts

mBJ7lS.pngazbPgu.pngpozvgzr.jpg

NSD2c3.png

 

Namaskar Doston! Aasha hai ki aap sahi salamat ho aur tanki ka pura anand utha rahe ho. Aaj mein aap sabhi ko iss lekh ke dhvara bataunga ki kaise wasp ke saath aap khatarnak aur saphal attack kar sakhte hai.

________________________________________________________________________________________________________________________________________

 

Shuruvaat karte hai,

#1 Protection module,

Apni protection module aacha sa lenna aur sahi vala bhi. Aeisa na ho ki defender ke pass twins hai aur app fire, freeze, aur isida vala protection lekar unpe humla bol rahe ho. Toh joh defender ke pass turrent hai uska protection aapko lena hi hoga agar saphalta pana chahete hai. Ek salaah hai aapke liye, jyada tar defenders twins, freeze, aur smoky ka istamal karte hai, kyunki twins mein reload ki koi jhan-jhat nahi hoti, freeze se attackers freeze ho jaate hai aur smoky ki reload speed tez hai aur damage bhi bohot jyada karti hai.

 

u3QV9w.png

________________________________________________________________________________________________________________________________________


#2 Jump marke flag lena

Agar dushman defender bada sa hai toh aap usko dhakka marne ka toh soch bhi nahi sakhte. Isliye aap ke pass ek hi upaye hai, dushman ke upar se flag leke bhaag jana. Agar aap Rio mein khelte hai toh aapko pata hi hoga ki kitna aasan hai red team ke liye upar se chalaang marke blue team ka flag lekar bhaag na. Par aap yeh sabhi map mein nahi kar sakte. Toh baki sabh map mein aap kya kar sakte hai? Aapke pass ek hi upaye hai, parkour karke.

Jab aap dushman ke karib ho tab aapko hawa mein shot kare aur ussi vakt thoda sa tank piche karke aap aapne tank ko aage se thoda uncha kar sakhte hai jisse dushman tank ke seer pe chadh sakte hai aur flag le kar bhaag sakte hai.

________________________________________________________________________________________________________________________________________


#3 Hide and Go (chhup ke hamla kare)

Aapki takat hai aapki raftaar, toh iska istamal sahi tarah se kare. Aur aapki kamzori hai aapki heath jyoki dushman titan aur mamoth ke mukable bohot hi kum hai. Agar ho sakhe toh chhupke chhupke unke base mein jaiye. Aapko koshish karni hai ki aapki heath puri ho jab aap dushman flag ke karib poheche varna dushman ke liye aasan hoga aapka katal karna :P. Aur ek baat, ho sakhe toh aap dushman titan yah toh mamoth ke piche se flag lekar bhagiye kyunki titan aur momoth ki kamzori hai raftaar aur aapki takat hai aapki raftaar, isse aapko aasani hogi dushman base se bahar nikal kar flag cap karne mein.

 

tm6P7w.png

 

Ek saalah,

Aap apne kisi saathi ke tank mein ghus kar aap flag le sakhte hai. Is trick ke liya aapko jab aap respawn ho rahe ho tab aapko pura respawn nahi hona hai aur turant kissi saathi ke andar chale jana hai. Aur aapko dushman flag ki oar badhna hai. Jab aap dushman flag ke karib poheche tab aap bahar nikal kar flag ko utha kar bhag sakhte hai aur aapke saathi dushmano ko rok kar rakh sakhte hai aur aap dusre saathiyon ki madat se flag cap kar payenge.

________________________________________________________________________________________________________________________________________


#4 Driving Skills

Iss game mein aur real life mein driving aachi honi bohoot hi jaroori hai. Real life ke baare mein toh aap samajte hi honge per chalo baat karte hai Tanki mein driving ki. Kyunki aap wasp use kar rahe hai toh aapki raftaar thodi bohot tez hongi toh aapko aachi driving aani jaroori hai varna aap dusre khiladiyoon ke saath aur sabhi imaraaton ke saath takra jaenge aur isse aapka vakt zaya hoga. Dusri baat, mines se bhi bach ke rahena mitron. Agar aap uske upar aagaye toh aap phat bhi sakhte hai yah toh palat bhi sakhte hai. Kripaya driving karte samay aankhe chaudi aur dimag khula rakhe. Apne attack ka rasta aisa chuney, jaha pe zyada open space ho aur aapke aur enemy flag ke bich me ek obvious rasta na ho. Obvious jagh-ho pe log mine karte hain jisse aapko bachna hain.

 

Aj6bXV.png

 

evdOo1.png

________________________________________________________________________________________________________________________________________


#5 No fight Please (bohot ladai nahi karni)

Dushman aapse kumsekum 2 guna jyada takatvar hoga. Kyun ladai karke vakt zaya karna hai? Aapka kam yehi hai ki kissi tarah flag leke bhag jaye aur cap kare. Kissi dushman ke muh nahi lagna hai aapko. Haan agar aapke pass pakki khabar hain ki dushman kumzor hai aur aap usko asani se maar sakhte hai toh zaroor maar dale aur baad mein flag le.

 

5GWgUL.png

________________________________________________________________________________________________________________________________________


#6 Mine when leaving (mine gira ke jana hai)

Agar aap Flag leke bhag rahe ho toh kripiya ek mine aapni tanki mein se gira dena. Pehle toh, kyunki mine ka koi cooldown nahi hota, woh aapni marzi ka malik hai. Aur dusri, agar dushman ki health kum hai toh woh mine pe aakar phat jayega, yah toh woh mine dekh leh toh woh ruk kar uske baju mein se jani ki koshis karega, isse aapko thoda jyada vakt milega apne base mein pohachne mein.

 

DRpDQC.png

________________________________________________________________________________________________________________________________________


Toh doston aasha hai ki aapko mera yeh lekh aacha laga hoga aur kuch naya seekhne ko mila hoga. Ab fir kabhi mulakat hogi ek aur naye aur taaza lekh ke saath, tab tak ke liye alvida!

 

azbPgu.png

lWwONf.png
  • Like 2

Share this post


Link to post
Share on other sites

 Share

×
×
  • Create New...