Jump to content
EN
Play

Forum

[Ank 5] Ek Turret, Anek Roop - Alterations! - II


Recommended Posts

rRxHrKd.png

7FbtakZ.png

8Z9aRTY.png

 

Pichle ank mein humne kuch turrets ke alterations dekhkar aur unke saath khelne se kya badlaav aata hai ye dekh liya. Ab baari ati hai baaki bache turrets ke alterations ke baare mein jan-ne ki. Chaliye iss baar ke alterations apne turrets ka kaise rupantar karte hain ye dekhein!



Iss baar hum bache hue panch turrets (kyonki abhi tak Striker ke alterations nahi nikale gaye hain) - Isida, Freeze, Firebird, Twins aur Ricochet, inke M1 aur M2 alterations ko dekhenge. Pichli baar ki tarah hum dono alterations ko ek saath upyog karne se kya hoga ye bhi dekhenge.

Isida

Broadband Emitters (M1)

Isida ke dono alterations, Broadband Emitters aur Support Nanobots, uske modification se mehenge hain. Lekin phir bhi agar aap ka andaaz alteration ke badlaav se milta-julta ho, to woh upyogi ho sakte hain. Broadband Emitters alteration se Isida ki range 30% ghat-ti hai par 'cone angle' ki maatra 200% se badh jaati hai. Cone angle badhne se aap ko dushmano par apni 'beam' rakhne mein bahot aasani hogi aur jyada gati se idhar-udhar karte hue dushmano par bhi nishana kayam rakhne mein madad hogi. Agar aap ko Z aur X dabane mein kathinayi hoti ho to aap issey jaroor kharidna. :P



Broadband_emitters.png
 

Broadband Emitters ka alteration mere khayal se jyada light hulls pe base Isida ke liye accha hoga, kyonki iss alteration se range kaafi ghat jaati hai. Isiliye, Viking se niche waale hi hulls iss ke saath jyada kaam aayenge. Usi kaaran se aap ko iss alteration se bade maps mein khelna padega, wo bhi jyada tar chhipav mein reh kar. Iske alawa aap badhe hue cone angle ka upyog apne team ke khiladi ko piche se chhip kar 'heal' karne mein ya phir dushmano ke aas-paas gati se chakkar lagane mein hoga. Badalte hue unchayi waale maps, jaise Silence ya Noise mein ye accha rahega.

Support Nanobots (M2)

Support Nanobots ke alteration se Isida ka self-healing dugna ho jaata hai, parantu prati-second damage aur prati-second healing 30% aur 15% se kam hota hai. Aur to aur, iss M2 alteration se aap ko 4 seconds ki adhik energy bhi milti hai. Iska matlab hai ki Isida ka prati-second damage, jo pehle se hi Firebird aur Freeze se bahot kam hai, wo aur bhi kamjor ho jaata hai. Self-healing 20% hone ke bavajood dushmano ko mar girane ke kaam mein Isida iss alteration ki vajah se ayogya ho jaata hai aisa bhi hum keh sakte hain, kyonki prati-second damage bhi kam hai.



Support_nanobots.png



Alteration ke vajah se healing rate bhi gir jaata hai, lekin wo damage rate se adhik hi rehta hai. 15% kam prati-second healing ko nazarandaaz nahi kar sakte, lekin 4 seconds ki adhik energy ka upyog kar ke aap ek se jyada team ke tanks ho heal kar sakenge, ya phir ek Vulcan ke piche chhipkar ussey jyada samay tak karyarat rakh payenge. Meri rai ye hai ki aap Hunter/Viking ke saath kisi akramak team player ke saath jaana ya phir rakshakon ke samooh mein Titan ke saath heal karna jyada pasand karte hain aur yada-kada hi dushmano ke aamne-saamne aate hain, to ye alteration thoda-bahot kaam aayega.

Isida ke dono alterations ek saath upyog karne par kuch khaas badlaav nahi dikhega. Chhote maps par 'healer' ki bhoomika mein accha hoga aur kam prayas se kaafi saara XP kamaane ke liye inka upyog karein.

Freeze

High Pressure Pump (M1)

Freeze ka ye M1 alteration sirf do badlaav lata hai. Pehle, aap ke turret ka 'cone angle' 70% kam hoga, aur doosra, max. damage ki range 100% badhegi (yaani ki dugni hogi). Max. damage range matlab wo antar jaha tak dushmano ko sabse jyada damage hota hai. Iski maatra M4 Freeze ke liye 10 metres hai, aur iss alteration se ye 20 metres ho jaati hai (tulna ke liye, 20 metres matlab lagbhag 4 props ki lambayi). Kam cone angle se aap ke Freeze ke 'spray' ka khada vistaar aur aada vistaar sadhaaran Freeze ke 30% ho jayega.



High_pressure_pump.png



Jaise ki aap soch rahe honge, max. damage range mein badhav lane se aap bade maps mein aur acche se Freeze ka upyog kar sakenge. Agar aap Viking ya Hornet ko Freeze ke saath le kar bade maps mein jayenge to aap ke score par accha asar hoga, kyonki bade maps mein dushmano ke samooh bhi jyada tar kam hote hain, aur isliye kam cone angle se kuch haani nahi hogi. Iske alawa, chhote ya madhyam aakar ke maps mein raksha ke liye aap Freeze aur Titan/Mammoth ka iss alteration ke saath prabhavi upyog kar sakenge aisa mujhe lagta hai. DM mode mein ek ke baad ek tank par akraman karne mein aap jyada safalta payenge.

Corrosive Mix (M2)

Corrosive Mix ko aap 100,000 crystals se kharid kar aap Freeze ke prati-second damage (PSD) 10% se badha sakte hain. Lekin, iska durupyog bahot hi bheeshan hai. Issey Freeze ka jo vishesh samarthya hai - dushmano ko barfile 'spray' se rukana, vahi chala jaata hai. Iska matlab hai ki aap ko aur jyada savdhani se dushmano par akraman karna hoga - piche se aane par bhi wo aap ko nuksaan pahuncha sakenge. 10% jyada PSD ki vajah se aap Firebird ke damage aur burn ka aur acche se mukaabla kar sakenge.



Corrosive_mix.png



Freezing effect ke gayab hone se aap raksha ki bhoomika nah nibha payenge, kyonki ismein dushmano ki gati kam kar ke unko rukana hi aap ka karya hota hai. To phir iss alteration ka kaha upyog hoga? DM aur CP mode mein. Inn dono game modes mein PSD ka mahatva jyada hota hai, isiliye aap Corrosive Mix se badhe hue PSD ka sahi upyog kar sakenge. Mere khayal se ye alteration medium hulls ke saath hi labhdayak hoga, kyonki aap madhyam speed aur HP se dushman ko poora nuksaan pahuncha sakenge.

Corrosive Mix aur High Pressure Pump ek saath kuch jyada vishesh badlaav nahi late. Dono ek saath upyog karne se madhyam-bade maps mein DM/TDM mein madad hogi.

Firebird

High Pressure Pump (M1)

Firebird ka M1 alteration, jo doosre baar laye gaye alterations ke samooh mein se ek tha, wo Freeze M1 ke alteration ki pratikriti hai. Issey bhi 70% turret 'cone angle' kam hota hai, aur max. damage ka antar dugna (2x) ho jaata hai. Issey hue badlaav bhi, jaise Freeze mein apeksheet the waise hi hain.



High_pressure_pump_%281%29.png



Iss alteration ki madad se aap Viking ya phir light hulls ke saath Firebird se bade maps mein accha pradarshan kar sakte hain. Jyada lambayi tak jyada nuksaan pahunchane ke samarthya se aap short-range ke badshah ban sakte hain. :P Raksha ki bhoomika mein bhi thoda bahot upyogi hoga. Cone angle kam hone ki vajah se aap ko dushmano ke samooh par akraman karte waqt unke gol-gol ghumkar war karna hoga, taaki sab tanks par jalan dikhe aur aap unhe jyada nuksaan pahunchaye.

Compact Tanks (M2)

Keh sakte hain ki inn dono mein se jyada upyogi hai ye Firebird ka M2 alteration, jiska naam hai 'Compact Tanks'. Compact Tanks ka alteration kaafi prabal badlaav lata hai aur wo bhi sabse jyada Firebird ke jalan mein. Compact Tanks se heating rate 300% se badhta hai, yaani ki dushman tank 4 guna jyada (0.8 prati-second) gati se jalta hai. Iske baad, iss alteration se jalte hue tank ka maximum temperature bhi 150% jyada hota hai, yaani ki M4 Firebird ke liye 2.5 units. Iss alteration ka dosh ye hai ki ye aap ke Firebird ka 'energy consumption' rate adha kar deta hai. Iska matlab hai ki 5 second lagatar dushmano ko jalane ke baad aap ko 6 seconds rukna padega.

Jaise aap ko apeksheet hoga, iss alteration ke badlaavon ka sahi upyog hone ke liye aap ko apne khelne ke andaaz ko kuch tareeko se badalna padega. Pehle to ye ki iss ke saath jyada se jyada light hulls, ya phir chhota map ho to Hunter ya Viking ka upyog karna hoga, kyonki ab aap kam samay ke liye fire kar payenge aur reload ka samay uss samay se bada hone se, aap ko chhip-chhip kar, ya phir map ke kone mein se hokar war karna hoga. Bade hulls tez nahi hote aur kam firing time hone se aap ka jyada health kuch kaam nahi aayega.



Compact_tanks.png



Iss alteration ka sahi tarah se istemaal karne ke liye sirf 5 seconds ke liye fire karein, aur phir picche hat kar 'jalan' ko apna kaam karne dein. DM mein ya phir bade CP maps mein dushmano par ghat lagakar hamla karein. CTF mein bhi aisa hi khelne ka tareeka apnayein. Aap ko maloom hona chahiye ki ab aap kam deri mein aur jyada temperature tak (jiska matlab hai jyada nuksaan ke saath) dushmano ko jala sakte hain. Har baar dushmano ke aamne-saamne aana jaroori nahi hai.

Agar aap chahte hain ki aap ke dushman aap se nafrat karein, to High Pressure Pump alteration Compact Tanks alteration ke saath milaiye aur dekhein. Light hulls ke saath aap dushmano ke piche se aakar jala denge aur agar unhone aap ka picha kiya to aap jyada max. damage range ka upyog kar ke unhe jaldi se khatam kar payenge.

Twins

Plasma Core Accelerators (M1)

Twins aur Ricochet inn dono turrets ka sirf ek hi alteration abhi ke liye kharid sakte hain. 'Plasma Core Accelerators' se aap ke Twins ke reload ka samay 20% badh jayega. Iske badle aap ko 100% jyada range aur 100% jyada projectile ki gati di jaati hai. Reload ka samay pehle se hi bahot chhota hone se agar aap usmein hua badhav nazarandaaz karein to ye aap ke Twins ke liye ek upgrade jaisa hi mana ja sakta hain.

 

Plasma_core_accelerators.png

 

Issey bahot saare tareeko se upyogi kiya ja sakta hai. Jaise ki Viking-Twins aur badhi hui projectile speed se dushmano ko tang karna ya phir Mammoth-Twins ke kam tezi ko badhe hue range se jodkar aur bhi accha rakshak banna. Jyada reload ki vajah se aap ko tez dushmano ko mar girane ke liye turret jyada ghumana padega, lekin badhe hue range aur projectile speed ka aap ko sabhi jagah munaafa hi hoga.

Ricochet

Minus-Field Stabilization (M1)

Ricochet ke M1 alteration 'Minus-Field Stabilization' se hue badlaav Twins ke M1 alteration ke samaan hain. Issey projectile ki gati aur range dono dugne ho jaate hain lekin reload ka samay, jo Ricochet ke liye hum nazarnadaaz nahi kar sakte, wo 20% badh jaata hai.

Minus-field_stabilization.png

 

Badhe hue range ki vajah se aap Ricochet ke vishesh kshamata ka jyada azadi se upyog kar sakoge. Aur to aur, iski vajah se aap Bobruisk, Brest ya Solikamsk jaise bade maps mein apne base se dushman ke ilaakon mein projectile shoot kar sakoge. Lekin dhyaan rahe ki kam reload ke kaaran aap ka PSD kam rahega aur aap short-range mein kam prabhavi ho jaoge.

Agar aap ne pichle ek V-Log mein suna hoga to developers ne kaha tha ki Twins aur Ricochet ke agle alterations mein unke projectiles ko splash damage diya jane waala hai. Mujhe aisa lagta hai ki inke ke aaath abhi ke alterations acche se judenge. Inn aane waale alterations ka durupyog kya hoga issey janne ke liye bhi mein utsuk hoon.




Asha hai ki aap ko mera alterations par adharit ye maargdarshan accha laga ho. Aaj ke liye bas itna hi, aur dekhte hai ki bhavishya mein developers M0, M3 aur saath hi saath Striker ke alterations kaise banate hain!

 

mp4rsxW.pnghM5Vegh.png

Edited by Tofu
  • Like 6

Share this post


Link to post
Share on other sites

 Share

×
×
  • Create New...