Jump to content
EN
Play

Forum

[Ank 6] Zone mein XP/BP


Recommended Posts

rRxHrKd.png7FbtakZ.png

9aplcn.png

hWP02gJ.png

 

Zone ek anokha map hai. Ye naksha DM, CTF, CP aur TDM sab ke liye achaa hai, per XP/BP CTF ke liye ye sabse mashhoor hai aur Zone ke issi ansh par adharit aapke liye ek guide prastut kar raha hoon - dekhte hain Zone par XP/BP!

 

 

Nakshe ko Jaane

 

1zmyogz.png

 

Jo vyakti Zone per pehli bar khel raha hai, uske liye ye naksha bahut avyavasthit dikhega. Idhar-udhar pade props, koi samrupta nahi aur hilne ke liya bahut kam jagah kisi bhi samajhdar vyakti ke liye chaap hogi. Isi vajah se khiladi Zone ko napasand karte hain. Wo isse samajh nahi pate hain or koshish karne ke liye aalsi hote hain. Zone ek jatil naksha hain, mein manta hun, per yeh mashhoor bhi hain. Kai mashhoor khiladion ka yeh manpasand map hain. Zone ki prasiddhi ka raaz ye hai ki ye naksha aap ke khel ke har ansh ko jaanchta hai. Ismein aapke paas accha nishaana, acchi movement tatha achhi tarike se dushman ko chakma dena bhi aana chahiye.

 

Meri salah - Nakshe mein pravesh kare aur usme ghumein. Alag-alag raaste aur aavaran dhundein aur abhyaas karein. Har baar aap nakshe ke bare mein aur jaankari payenge. Niche diye image mein maine Zone ke kshetra dikhaye hain. 

 

1rry87.jpg

 

Kshetra  1 aur 2

 

Yeh kshetra poore map ka mukhya aakarshan hain. Jo insaan ismine maahir hai, wo Zone mein maahir ho sakta hai. Iss kshetra mein mukhya yeh paristithi aati hai -

 

14xdvy8.png

 

Aisi paristithiyon mein aapka nishaana bilkul seedha aur uttam hona chahiye. Halka sa bhi ishar-udhar aur fir kaam tamam. Iss tarike se apne dushman ko mare -

 

2ronn5s.png

 

28bqohg.png

 

Meri salah - Aisi paristithiyon mein dushman per nishaana naa lagain. Apna nishaana un sankirn antar par rakhe aur dushman ko apne aap hi haani pahunch jayegi.

 

Agar aap ulte paristithi mein ho, to idhar udhar hile.Ek jageh par khade na hon.

 

Iss shot mein kushalta pane ke liye practice avashyak hai. Yeh shot atyant jarrori hai, issi shot ka sabse jyaada upyog hota hai, to abyaas karne se naa jhikjhikaayein.

 

Kshetra 3 aur 4

 

Iss kshetra se jitna ho sakta hai utna bache. Pul aapko benakaab bana deta hai, aur aapko haani avashya hi hogi. Pul ke niche sankirna raste par bhi jaane se bache. Khai mein girne ki sambhavna adhik hai, aur khai mein girna sharm ki baat mani jati hai.

 

Kshetra 5,6 aur 9

 

Ye kshetra Zone ke mukhya aavara hai. Kshetra 5 aur 6 mein sankirn antar hain, jiske dwara ham haani pahuncha sakte hein. Inke seema ke aspas ghumne ka abhyaas kare. Kshetra 9 ki seema per dhyaan dein. Iske seema jo dikhti hai, vo hoti nahi hai aur maahir dushman iska laabh uthate hain. Iss kshetra ki seema ko jaan kar is aavaran se shot lene ka abhyaas karein.

 

Kshetra 7,8 aur 10

 

Inn kshetron ka hamare raaste mein aane ke alawa koi kaam nahi hai.  Inn kshetron se bach kar idhar-udhar ghume, varna ve aapke raaste mein aakar aapka nishaana bigaad denge.

 

 

Kuch baatein jo har Zone ke khiladi ko pata honi chaahiye -

 

  1. Zone mukhya roop se dvandvayudh (duel) naksha hain.
  2. Zone ki suraksheet jagahon ka sahi upyog atyant jaroori. Jo uska sahi upyog karta hai ussi ko jeet hasil hoti hai. Bina matlab ke unse bahar naa aaye.
  3. Jaroori khel mein, apne majbootiyon ke saath rahein. Jhokim bhare shots naa khele. Apne kamzoriyon per abhyaas karen.
  4. Khai mein naa kude.
  5. Bunyaadi XP/BP shishtachaar ka palan karen.

Aage badhte hain, Zone ke vastavik gameplay ki taraf.

 

Gameplay

 

Shuruvat aap hamesha kshetra 1 ya 2 se karte hain. Dushman ke dhwaj ke paas shuru karen. Yaad rakhe jisne haani pehle pahunchaahi uske paas fayda hain.

 

Dhwaj ko paana - Kshetra 1/2 se bahaar aate hi suraksheet jagah mein jayein. Aavarn 5/9 uchit hai. Vaha se dushman ko haani pahunchaanein ka prayas kare. Shot maarte hue jagah se jyaada bahar naa ayein. Aisi paristithiyan ka aapko saamna karna padega:

 

qy9sma.png

 

Iss paristithi mein aap aise shots kar sakte hain:

 

acbfo0.png

 

e67f5c.png

 

Inn shots mein apka nishaana accha hone jaroori hai. Aur agar apne miss kar diya to dushman ko aap pe hamla karne ka asan mauka mil jayga. Isliye in shots ko karte hue saavdhan rahein.

 

Ab aap done ek dusre ke dhwaj ke paas hain par dono mein se koi bhi pehla kadam uthane nahi chahta hai. Iss paristithi mein yaa to aap ruk sakte hai, ya aap pehle kadam utha sakte hai. Dono hi paristithiyon mein, aise shots kaam karte hain:

 

mr4zl.png

 

Iss shot ki practice khel ke dohran anek baar hota hai, par isme kushal hona itna aasan nahi hai. Isme hamein ek antaral ke bich se, ped athva dibbon/pipe ke beech se apne dushman ko haani pahunchaani hoti hai. Aur yaad rakhein, shot maarte samay aap benakaab hote hain, to saavdaan rahe. Iss shot mein pura khel badalne ki kshamta hai.

 

Dushman ko maarna - Dhwaj pane ke baad aapko apne dhwaj ke paas jaakar capture karna hota hai. Par aap ke raaste mein khada hai aapka dushman. Dushman ko marna kathin hota hai, khaas tor par jab aapki health kam ho. Is samay koi jald baazi mat karein. Sirf wo hi shots karen jisme aapko vishvaas tatha praveenta hain. Dikhava ke liye shots naa karen. Buniyaadi shots per dhyaan dein aur props ka sahi upyog karen.

 

Dhwaj ko vash mein kar lena - Dushman ko marne ka baad pehle aap ko apne dhwaj ko lauta kar dushman ke dhwaj ko capture karna hai. Isi dohran dushman ko marne ke baad wapas bhi aa jaata hai. Dushman ko maarte samay uske paas rahe taaki apna hwaj lautane mein jyaadi samay vyateet na ho. Dhwaj lautane ke baad apne dhwaj ke paas pahunchane ke liye sabse chota raasta apnaaye. Kabhi Kabhi dushman vaapas aa jata hai aur aap capture nahi kar paate hai. Jab yeh pakka hai ki capture nahi ho payega, to uska prayatn naa karein. Aapki maut nischit hai, to ussey haani pahunchaane ke baad hi marne ki koshish kare. Iss paristithi mein dushman ke dhwaj ke sabse door vale sthaan per jaakar marein (apne mare hue tank ka bhi raasta rokne ke liye istemaal karein). Issey dushman ko vaapas jane mein samay lage ga aur aap vahi kar sakte hai jo usne aap ko kiya tha.

 

Agar aapke dwara dhwaj lene ke kuch seconds baad hi dushman wapas aata hai, to uske base mein hi ruk kar usko haani pahunchaiye. Usko haani pahunchegi, ve aapko maarega aur jab tak ve aapke base tak pahunchega, tab tak aap uske liye taiyaar honge.

 

Tricks

 

Zone mein bahut tareeke ke kamal ke shots mare jaa sakte hein. Do zabardast khiladi ke khel mein, dono hi saadharan shots karne main maahir hote hain, tab aise shots karne ki kshamta hi unke beech ka antar hota hain.

 

Dhyaan dein- Yeh shots ka prayatna tab tak na kare jab tak aapne apni baki anshon ko sudhaar nahi liya ho aur unme praveenta nahi haasil kardi ho.

 

8z1biq.png

 

Yeh shot khelke dauran upyogi hai, par nishaana accha hona aavshyak hai.

 

 

2z7h5c1.png

 

Yeh shot apekshakrit aasaan hai aur upyogi bhi. Par iss shot ke dauran dushman bhi aap per hamla kar sakta hai isliye saavdhani avashyak hai.

 

 

15oufc4.png

 

 

191tas.png

 

Pul ka durlabh upyog, isse aap chupe hue dushman ko maar sakte hain. Dono mein aapko apne tank ki sahi upyog kar dushman ko ascharyachakit karne ka mauka prapt hota hai.  

 

 

292pk5x.png

 

Pul ke dwara nuksaan ka udharan, ye shot atyant kathin hai aur ismein aapke nishaane ki antim pariksha hoti hai.

 

 

 

XP yaa BP?

 

To fir aakhri sawal, iss map mein XP behtar hai yaa BP? Zone mein raftaar ki zaroorat hoti hai per shots lagna ussi bhi jaroori hota hai. Jo khiladi zone mein naye hain unke liye XP behtar hai kyunki veh apne shots sahi tarike se maar payenge. BP unse sambhala nahi jaata aur we nahi jeet pate hai na hi Zone ke maze le paate hein.

 

Mahir khiladi, jo BP mein kushal hai, BP pasand karte hai. Ve shots lene mein anubhavi to hai hi aur BP unhe raftaar se dhwaj aane-lejaane mein madad karta hai. Zone mein flip hone ka zyaada khatara nahi hai, to BP ki mukhya samasya Zone mein koi kaam ki nahi hai. Isliye, mere hissab se Zone mein aam taur par XP behter hai, lekin jo vyakti BP mein kushal hai uske liye Zone mein BP badhiya hai.

 

 

To main aasha karta hoon ki yeh maargdarshan aap ke liye upyogi saabit hoga aur aapko issey padhne mein utna hi maza aaya hoga jitna mujhe isko likhne mein aaya tha! To fir doston iss guide ka sahi upyog kar Zone mein kushalta paayien, alvidaa!

 

Pichle lekh

> Deck-9 mein XP/BP <

 

mp4rsxW.pnghM5Vegh.png

Edited by Tofu
  • Like 13

Share this post


Link to post
Share on other sites

 Share

×
×
  • Create New...