Jump to content
EN
Play

Forum

[Ank 5] Striker se Dhamaakedar Khel


Recommended Posts

rRxHrKd.png
7FbtakZ.png

8RwEfoo.jpghWP02gJ.png

 

Tanki ke sabse naye turret Striker ko khelna kuch aasan nahi hai. Jaise developers ne bataya hai, Striker, aur aane waale Artillery turret ki kathinayi Railgun se tulna karne layak hai. Kya aap Striker ke saath apni skill dikha sakte hain?



Striker ko Tanki mein aye kaafi samay ho chuka hain. Striker ne itni lokpriyata nahi payi hai jitni Hammer aur Vulcan ne payi thi, phir bhi kaafi diggaj khiladi aapne Striker ke saath lajawab khelte dekhe honge. To iss contest mein aapka lakshya Striker ke saath dhamaakedaar khel dikhane ka hain. Aapko Striker ka upyog karke video banana hain.

Niyam:

• Video mein aap sirf aur sirf Striker ka upyog kar sakte hain.
• Video mein Striker ke saath koi bhi hull ka upyog kar sakte hain.
• Video jyada se jyada 30 seconds lamba banaiye.
• Video mein poora Tanki ka screen dikhna chahiye. Ek player sirf ek video bhej sakta hai.
• Video mein kuch mazedaar, kathin aur dhamaakedaar hona chahiye. Kuh naye andaaz se Striker ka khel uttam hoga.
• Supplies on/off se farak nahi padega.
• Video ke dohran aapke tank pe White paint ka hona avashyak hain.
• Video kisi random Deathmatch mein lijiye.
• Dosto ke saath milke private battle mein bani banai battle nahi chalegi.


Puraskaar:

Pehla Sthaan: 30,000 crystals
Doosra Sthaan: 25,000 crystals
Teesra Sthan: 20,000 crytals



Agar aapko abhi bhi Striker ke saath kehlne mein dikkat hoti hain to iss ank ke lekh - Striker ka Sahi Upyog - ko padhey. Adhiktar jaankari ke liye

mein Pro's Advice dekhein.

 

 

Aap sabhi ko partiyogita ke liye shubh kamnaye! Shukriya bhaag lene ke liye aur aise hi baaki ki hamari pratiyogitaon mein bhaag jaroor lena. Aap ko 28th February 23:59 UTC 30th March 23:59 UTC tak aap ka video bhejna hai.

 

mp4rsxW.png
hM5Vegh.png

Edited by Tofu
  • Like 4

Share this post


Link to post
Share on other sites

 

Niyamo mein likha hai.

 

• Video kisi random Deathmatch mein lijiye.

• Dosto ke saath milke private battle mein bani banai battle nahi chalegi.

Share this post


Link to post
Share on other sites

This topic is now closed to further replies.
 Share

×
×
  • Create New...