Jump to content
EN
Play

Forum

[Vishesh] Doosri Supply Experiment


Recommended Posts

Notif_EN2.png     Notif_AR2.png


wM8ECmK.png

482.png

 

Kareeb ek-do hafte pehle, humne tanki mein ek Supply experiment ka anubhav kiya tha. Iss saptaant mein bhi humne pichle prayog jaisa ek aur nazara dekha.. Chaliye vistaar mein baat karte hain... 

 

 

Supply experiment, Tanki mein kai karanon se hua tha. Supplies ke istemal se aap samanya khiladi se 4 guna takatwar ho jate hain. Kaise? Double Damage aur Double Armor dono ke sath upyog karne se. Aur upar se aap Speed Boost ke sath Repair Kit ka bhi istemaal karte hain jo ki aapko apaar shakti de deti hai doosron ke mukable, isiliye iss naye system ke mutabik aap takatwar to ho rahe the lekin kam samay ke liye. Supplies ka sakriya samay jo kam kiya gaya tha. Anek maatrayein badli gayi thi.

 

Chailye ab iss ke baare mein jaankari prapt karte hain.

 

Prayog ke baare mein Jaankari

 

NOTE: Ye badlaav PRO battles ke liye lagu nahi the.

 

  • Repair Kit
    • Cooldown: 60 seconds
    • Smart Cooldowns: 50% kam
  • Double Armor
    • Lambayi: 30 seconds
    • Cooldown: 30 seconds
    • Smart Cooldowns: 50% kam 
  • Double Damage
    • Duration: 30 seconds
    • Cooldown: 30 seconds
    • Smart Cooldowns: 50% kam 
  • Speed Boost
    • Lambayi: 30 seconds
    • Cooldown: 30 seconds
    • Smart Cooldowns: 50% kam
  • Mine
    • Cooldown: 45 seconds
    • Smart Cooldowns: 50% kam

 
Saath hi cooldown mein ek badlaav hua - Cooldown respawn ke baad apne aap poora nahi ho raha tha.
 
Battle shuru hone par -

  • Sabhi supplies ka cooldown shuru ho rahe the.
  • Ye cooldown sadhaaran cooldown ka 1/3rd samay tha.

Pehle prayog se antar -

  • Smart cooldowns rakhe gaye lekin thode badle gaye.
  • Cooldowns bhi badle gaye lekin #1 prayog se kam maatra se.
  • Prayog ki maatraon se pata chalta hai ki pehle prayog aur abhi ke Supplies se thode ansh liye the iss prayog mein.

Prayog se hua Parinaam

 

Experiment ke dohran aap sare supplies ka upyog ek saath kar sakte the, bina zyada der intezaar kiye. Iska aap badi acchi tarah se labh le sakte the. Lekin iska dosh ye tha ki aap mukhya teen Supplies (Double Armor, Power aur Speed Boost) ko ek saath sirf 20 Seconds ke liye upyog kar sakte the (agar teeno mein se koi bhi Drops se nahi mila ho to, DA, SB aur phir DD iss kram mein). Aur ek baar sabke khatam hone ke baad aapko jyada samay tak apni skills pe nirbhar rehke apna bachav karna pada.

 

Iss experiment ne smart cooldowns ko badi tarah se pichey kar diya. Aisa laga ki smart cooldowns the hi nahi. Lagbhag 15 seconds mein aap 2,4,3 ya phir 3,4,2 iss kram mein Supplies ka upyog kar sakte the. Lekin is experiment ne supplies ke beech cooldown badha diya tha, taaki aap ek saath Supplies ka upyog kar sakein, lekin aisa karne baad aapko thoda rukna padein.

 

Iska matlab ye hi hua ki aapne agar ek baar mein 2,3,4 use kar liye to ab thode time ke liye kripaya karke shant rahe aur apne supplies ko cool down hone de. Aur to aur aap respawn hone ke baad bhi is cooldown ko apne paas rakhe. 

 

Inventory_double_armor.pngInventory_nitro.pngInventory_double_power.png

 

Battle mein enter hone ke baad Supply ka upyog na kar pana accha tha. Iske karan aap sidha supply ka upyog karke marte nahi par aap ye jaan pate ki apne dushman kya kar rahe hain aur kis tarah se unka virodh kiya jay. Ek tarah se ye hame kehna chahta hain ki bina kisi jaankari ke aap hamla na bolde aur apni Supplies ka sahi tarah se sahi dimag se upyog karein. Isi ke saath, agar teams mein asantulan ho to khel ko ek-tarfa hone se ye badlaav kabhi bacha raha tha. 

 

Doosri taraf iske karan aap battle mein aake apne khel ki tezi se shuruat nahi kar sakte. Matlab? Jaise agar aap base defender hai to aapka kaam sirf Mines rakhna aur apne base ki raksha karna hota hain. To iske karan aap ye nahi kar pa rahe the. Asan shabdo mein, ye battles ko sahi mein shuru hone mein thoda samay rokta hain. Battle shuru ho chuki hain. Nahi, ruko, supplies aye phir asal mein. 

 

Ab aap 2,3,4 ka upyog ek saath asani se kar sakte the - matlab aap ye saare supplies ko saath le sakte the par ek baar kar liya to doosri baar karne mein samay bitana padta tha. Agar marne se theek pehle kisi supply ka galat samay par upyog kiya to respawn hone par aap kamjor ho sakte the. Iske karan aisa lagta hain jaise Supplies apke dost nahi the. Aapke saath ate hain, chale jate the aur phir bahot samay baad wapis aate hain. Ye accha hain unke liye jo apne supplies ka upyog kam maatra mein nahi kar pate. Iske karan aap apne supplies jyada aasani se khatam nahi karenge aur aapko aisa lagega ki aap apne supplies ka asal mein "upyog" kar rahe hain. 

 

Aisa nahi ki aap sirf Supplies ka upyog karne se jeet sakte hain. Je haa Supplies aapko jaroor takatwar banati hain par uske saath apko apne taraf se bhi kuch lagana padta hain. Thoda to apne dimag ka bhi upyog jaroori hain. Aur jo kehte hain ki Supplies skill ko harate hain. Waisa dekha jaye to inka saamna kar pana hi skill hai.  Main khud ek drugger hone ke nate kehna chahunga ki kuch bhi ho jaye, druggers ka virodh karne waale kai honge, aur ve bina smart cooldowns ke Supplies ya phir ulta hone par bhi virodh karenge. Main khud jab unka saamna karta hu tab hamesha battle mein wo ek player hota hain jo apni skills ka upyog karta hain aur druggers ke samne chunauti rakhta hain.

 

 

Aakhir mein Tanki ke kadmon ko salaam. Inn dono experiments ki vajah se bahot data aur kai prakar ki pratikriyayein mili hongi. Meri taraf se itna hi ki koi bhi tarah se Supplies ko badla jaye, hamesha unhe sahi tareeke se istemaal karna hum khiladi jaan lenge. Mujhe ummeed hain ki aap sabne Supplies ko nayi tarah se istemaal karke dekha ho, aur dekhte hain aage Supplies ke saath kya kya kiya jaata hai.

 

gR0TJlE.png

Edited by Tofu
  • Like 7

Share this post


Link to post
Share on other sites

 Share

×
×
  • Create New...